Kya Garib Nawaz ki Gause Aazam Se Mulaqat Hui Thi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Sarkar Gause Aazam or Sarkar Garib Nawaz Ki Mulaqat Sabit He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Khwaja Garib Nawaz Or Sarkar Gause Aazam RadiAllahu Anhum Ki Zahir Mulaqat sabit Nahi.

Chand Gair Moatebar kitabo me is tarah ke waqeaat darj he jin se zahir hota he ki hazrat gause aazam or sarkar garib Nawaz Alaihir Rahma ki mulaqat hui he lekin haqiqat ye he ki dono buzurgo ki mulaqat sabit Nahi.

_Is ki tafsil bayan karte huye Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haqq Amjadi Alaihir Rahma likhte he._

Is par sare muarrikheen ka ittefaq he ki sarkar gause aazam RadiAllahu Anhu ka wisal 561 hijri me huva he, is par bhi qareeb qareeb ittefaq he ki sarkar Garib Nawaz RadiAllahu Anhu ki Wiladat 537 hijri me hui or is par bhi ittefaq he ki hazrat garib Nawaz ne 15 saal ki umr se Ilme Zahiri ke husool ke liye safar kiya. ek muddat tak aap samarqand w bukhara me ilm hasil karte rahe.
Uloome  zahiri ki takmeel ke ba'ad murshid ki talash me nikle fir 20 saal tak Murshid ki khidmat me hazir rahe. 20 saal ke ba'ad khilafat se sarfaraz farmaye gaye fir madina e munawwara me hazir huye or sarkare aazam ﷺ ne Hindustan ki Wilayat ata farmai.

Ab Hisab Lagaye ki 15 saal ki umr tak hazrat Garib Nawaz Apne watan me rahe or 20 saal tak Ilme Zahiri talab farmate Rahe to ye (20+15) 35 saal ho gaye. 537 Hijri me wiladat hui, 35 Saal tak Ilme Zahiri ki talab me rahe, (35+537) yaani 572 Hijri me aap ne iraq ka rukh kiya jab ki sarkar Gause Aazam RadiAllahu Anhu Ka wisal 561 Hijri me ho chuka tha yaani hazrat Khwaja Garib Nawaz Alaihir Rahma ne jab iraq ka rukh kiya us se 11 saal pahle huzur Gause Aazam RadiAllahu Anhu ka Wisal ho Chuka tha fir Mulaqat kese hui ?
*Makhuz: 📚(FATAWA SHAREH BUKHARI, J-2, S-128 ta 131)*

Zahir Yahi He Ki Sarkar Garib Nawaz Or Sarkar Gause Aazam Ki Zahiri Mulaqat Kisi bhi moatebar kitab se sabit nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

2 Raka'at wali namaz me galti se tisri Raka'at ke liye khada ho jaye to kya kare

*🌹SAWAL:-🌹*

2 Rakat Wali Sunnat Padh Raha Tha Lekin Galti Se Teesri Rakat Ke Liye Khadha Ho Gaya Alhamdo Padhte Waqt Yaad Aaya Ab Ka Kre.

REHNUMAI Farmaea

*🌹JAWAB:-🌹*
Vapas aaye agar tashhud vagera pehle padh chuka hai to baith kar forn sajdah e sahv kare aur pehle qaida hi nahi kiya  hai to ab baithe tashahhud padh kar sajdah e sahv kare..phir namaz mukammal kare.

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879286
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Safed Darhi rakhna kesa ? Kya safed darhi Rakhna Yahudiyo ki nishani he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Darhi or sar ke baal safed ho jaye to kya khizab lagana zaroori he  ??
1 sahab ne safed darhi rakhne walo par aitraz kiya ki ye yahudiyo ki mushabehat he to ab unhe kya jawab diya jaaye ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Malfoozate Aala Hazrat me aala Hazrat Se sawal kiya gaya ki khizab lagana kesa ?

Aala Hazrat Alaihir Rahma ne Farmaya Burha bail sing katwale to bachhra nahi ho jayega.

Lihaza kaale khizab se bache mahendi istemal kar sakte he jaisa ki ahadis me aaya he,

Sab se achchi cheez jise se safed baalo ka rang badla jaaye mahendi or kutum he.
Lekin aysi mahendi istemal ho jo siyahi ki taraf maail na ho.

Or ye kahna ki safed darhi rakhna ye yahudyo se musabehat he sarasar galat he.

Kyu ki gair qaum se mushabehat us waqt lazim aayegi jab ye 3 baate us me paai jaye.

1. Ayai alamat ho jo gair qaum ke sath khas ho or unki qaumi alamat ho Musalmano me aam na ho.

2. Us alamat ko us qaum se Muhabbat ki wajah se Ikhtiyar ki jaye.

3. Or us qaum se mushabehat ka irada bhi rakhe.

Jab koi aysi cheez ya alamat ko ikhtiyar kare or usme ye tino baate paai jaaye tab kahege ye us gair qaum ki mushabehat he.

Ab raha darhi or sar ke baal mahendi se rangna to ye sunnato mustahabba he.

Ab agar koi nahi rangta to ye nahi kaha jayega ki Yahudio se mushabehat he.

Kyu ki safed darhi kisi qaum ki qaumi alamat nahi or na koi Musalman kisi gair qaum ki mushabehat me safed darhi rakhta he or na safed darhi rakhne me kisi qaum se mushabehat ka irada hota he.

Balki Musalman safed darhi or safed baal is liye rakhta he ki islam me safed baal ka ho jana ye insan ke allah ki bargah me waqar ki daleel he or is liye bhi rakhta he taki sunnate mustafa ada ho jaye jaisa ki sharah mishkat me he sarkar  ﷺ ki darhi mubarak me panch baal or sare aqdas me 14 baal safed the.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹JAWAB:-🌹*
Ye hadish Khizab Lagane Ke Ta'alluk se he,

Is hadish ka mafhoom ye he ki Yahudi or nasrani khizab nahi lagate to tum khizab laga kar unki mukhaleta karo.

Or kisi ka ye kahna ki Safed baal rakhna yahudyo se musabehat he to ye galat he.. or hadish ka galat ma'ana w mafhoom garhna hua, Aysa kahne wala sakht gunahgar he jald taubah kare or apne qaul se Ruju'a kare.

Us Hadish shareef Huzur  ﷺ ne khizab ke ta'alluk se mushabehat ka farmaya ki yahudi log khizab nahi lagate tum unki mushabehat na karo balki khizab laga kar unki mukhalefat karo, na ki darhi me safed baal rakhne ko Yahudio ki mushabehat farmaya.

Jaisa Ki Hadish shareef me he,

Burhhape(baalo ki safedi) ko (khizab ke zariye) badal dalo or (khizab na lagane me) yahudiyo ki mushabehat na karo.
*📚(Tirmizi Shareef, 1752)*

Ek dusri riwayat me he ki Aap   ﷺ irshad farmaya Yahudio or Nasrani khizab nahi lagate lihaza tum unke khilaf karo (yani tum khizab lagao)
*📚(Sahih Bukhari, 5899)*
*📚(Sahih Muslim، 2103)*

Safed Baal hona Musalmano ka waqar hone ki nishani he, jaisa ki Hadish Shareef me he,
Imam Malik ne Riwayat ki, Saeed bin musayyab RadiAllahu Anhu kahte the ki Hazrat Ibrahim Khalilur Rahman Alaihis Salato salam ne sab se pahle mahmano ki ziyafat ki or sabse pahle khatna kiya or sabse pahle munchh ke baal tarashe or sab se pahle safed baal dekha. Arz ki, ay rab ! Ye kya he ? Parwardigar tabarak w ta'ala ne farmaya Ay ibrahim ye waqar he. Arz ki, mere rab mera waqar zyada kar.

Ek or hadis me he,

Delmi ne anas RadiAllahu Anhu se riwayat ki, ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya jo shakhs qasdan safed baal ukhadega, qayamat ke din vo neza ho jayga, jis se us ko bhunka jayega.

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-224)*

Or Farmate he,
Safed Balo ko Ukhadna Ya kenchi se chun kar nikalwana makrooh he, haañ mujahid agar is niyat se aysa kare ki kuffar par us ka roab taari ho to jaiz he.
*📚(Aalamgiri)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-16, S-230)*

Safed Baal Hona Musalman ke liye Noor he, Or Allah Ta'ala uske badle neki likhega or uske gunah muaaf karega or uska darja baland karega.

Jaisa Ki Hadis Shareef me he,
RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki safed baalo ko mat ukhada karo, yaqinan ye qayamat ke din noor hoga, or jis shakhs ne islam ki halat me burhape ko paya, is safed baal ke badle me allah ta'ala uske liye ek neki likhega, uska ek gunah mu'aaf karega or uska ek darja baland karega.
*📚(Al-Moajamul Awsat LilTibrani, J-9, S-128)*
*📚(Musnad Ahmad J-11, S-160)*

Or ek hadis Shareef me he,
RasoolAllah ﷺ is baat ko napasand farmate the ki koi musalman apne sar or darhi ke safed baal ukhade.
*📚(Sahih Muslim, 2341)*

_Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Allama Manawi fir Allama azizi is hadis par tafreeh karte he
فنتفہ مکروہ وصبغہ بالسواد لغیر الجہاد حرام .
Yaani Pas Safed baal Ukhadna makrooh he or siyah khizab gair jihad me Haram.
*📚(Sirajul Muneer Sharah Jame'a us Sageer, J-2, S-352)*

Hakim kitabul kuni walAlqab me ba sanad hasan umme saleem RadiAllahu Ta'ala Anha se raawi hazrat poor noor  ﷺ farmate he,
من شاب شیبۃ فی الاسلام کانت لہ نورا مالم یغیر ھا .
Jise Islam me Sapedi aaye vo uske liye noor hogi jab tak badal na daale.
*📚(Kanzul Ummal, Hadis-17334, J-6, S-681)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-494)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Electric Shot se marne wala shaheed he ??

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaykum warahmatullah
Kya Electric Shot se marne wale ko Shaheed kaha Jayega???
Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jis zamaney men fiqh ki kitaben likhi gayin thi tab electricity nahi thi to uska zikr kitabon men direct us naam se nahi milega ... Bahar e ShariAt men hai ke jal kar marney wala bhi Shaheed hai. Iski raushni men electricity se jalkar marney wala bhi shaheed ke Hukm men hoga
*📚Bahar e ShariAt hissa 4th*

*✍Al-Jawab:- Hazrat Janab Masood Noori Sahab, Jaipur Rajasthan*

Allama Alauddin Haskafi Alaihir Rahma Farmate he,
 والغریق والحریق     الخ....
*📚(DURRE MUKHTAR MA'A RADDUL MOHTAR, J-2, A-252, DAEUL KUTUB)*

Shohdae hukmi me se doob kar marne wala or jal kar marne wala bhi he.

Bijli aag ki Aala Qism he lihaza us se jal kar marne wala bhi shahadat ka darja Payega.

*✍ Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muhammad Shakeel Akhtar Qadri Barkati Sahab Qibla*
*_📬Shaikhul Hadees  Ba-Madrasarul  Banat Maslake Aala Hazrat Sadrus Soofa, Hubli Karnataka_*

Sab se Pahle ye Jaan le ki Shaheed ki 2 qisme he,

1 Shaheede kamil:
Jo Dunya or aakhirat dono ke aetbar se shaheed ho. Yaani aakherat me bhi us ko shahid ka sawab milta he or dunya me bhi uska hukm aam mardo se alag hota he. Usko gusl nahi diya jata or us ke kapde wagairah nahi utare jate..

2. Shaheede Hukmi:
Jo sirf Aakherat ke aetbar se Shaheed ho yaani usko Aakherat me shaheed ka sawab milta he. Albatta dunya me us ka hukm aam murdo ki tarah hota he. Ki gusal wagairah diya jaye jo aam muslim murde ke sath karte he kiya jaye.

Shaheede Hukmi ki Ek taweel Faherisht he, jis me se ek Jal kar marne wala bhi Shamil he.

_Jaisa ki bahare Shariyat Me He,_

Shahadat sirf usi ka naam nahi ki jihad me qatl kiya jaye balki ek hadis me farmaya, uske siwa 7 shahadate or he,
1. jo Ta'aoon se mara shaheed he.
2. Jo Doob kar mara shaheed he.
3. Zaatul Janab (Nimonya) me mara shaheed he
4. Jo pet ki Bimari me mara shaheed he.
5. Jo jal kar mara shaheed he.
6. Jis ke uper diwar wagairah dhah pare or mar jaaye shaheed he.
7. Aurat ke bachcha paida hone ya kuware pan me mar jaye shaheed he.
*📚(Sunan Ibne Maja, Hadis-1597, J-2, S-266)*
*📚(Musnad Imam Ahmad bin Hambal, Hadis-1734, J-1, S-429)*

*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-208)*

Lihaza Jal Kar marne wala bhi shaheed ka Sawab milta he.
Or Bijli aag ki aala Qism me se he is ls liye bijli se jal kar marne wale ko bhi shaheed(hukmi) ka sawab diya jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Chori Ke Kapde Pahan Kar Namaz Padna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Ne Chori Ka Kapra Pahan Kar Namaz Parha To Kya Uski Namaz Ho Gai❓
Agar Nahi To Haram Hai Ya Makruh Tahreemi Waghairah ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Chori Ke kapde pahan kar padhi hui namaz makroohe tahrimi wajibul Ae'aada hogi.

_Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Chori Ka Kapda pahan kar namaz parhne me agar che farz saqit ho jayega
 لان الفساد مجاور
 (kyu ki Fasad Namaz se  bahar he) magar namaz makroohe tahrimi hogi
 للاشتمال علی المحرم
(Haram Cheez Utha e huye hone ki wajah se) Ki Jaiz kapde pahan kar us ka Ae'aada Wajib
کالصلوۃ فی الارض المغصوبۃ سواء بسواء
(Jis Tarah Magsooba(chhini hui ya gazab ki hui) Zameen Par namaz ka hukm or ye barabar he)

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-7, S-395)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jis Janwar Ka Sing Toota Ho Uski Qurbani Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh
do bakre ke ladne ki vajah se ek bakre ka Singh toot Gaya hai mukammal Singh Nahin tuta  hai jar ke andar thoda Singh hai to kya use bakre ki qurbani jaiz hai

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'oola Me Us Bakre ki Qurbani Jaiz he Jis ka Pura sing na toota ho sirf upri hissa toota ho.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qurbani ke janwar ko ayb se khali hona chahiye or thora sa ayb ho to qurbani ho jayegi magar makrooh hogi or zyada ayb ho to hogi hi nahi. Jis ke pedaishi sing na ho us ki qurbani jaiz he or agar sing the magar toot gaya or meng tak toota he to najaiz he us se kam toota he to jaiz he.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-15, S-88)*

_Or Aala Hazrat Imam Ahemad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Qaran sing ke upri hisse ko kahte he jo zahir hota he vo agar kul toot gaya harj nahi, haañ agar andar se us ki jad nikal aai ki sar me jagah khali ho gai to qurbani najaiz he
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-480)*

Or Farmate He,

Sing Tootna Us waqt Qurbani se maane'a hota he ki jab ki sar ke andar jad tak toote agar uper ka hissa toot jaaye to maane'a nahi.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-20, S-451)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Cyber cafe pe kaam karna kesa ? Photo print karna?

*🌹SAWAL:-🌹*

Cyber cafe par kaam karna kaisa

(Photo copy nikalna, photo khichna wagaira)

*🌹JAWAB:-🌹*

Photo copy ek to photo istet he vo jaiz he, yani gair jandar ki tasweer jese gumbad, masjid, madaris w digar gair jandar tasweero ki copy nikalna nikalvana ya print out karana use photo istet kahte he or photo istet koi najaiz amr nahi he.

Lekin photo studio pe kaam jaiz nahi ki Jandar ki tasweer khinch kar print out karte he ye haram he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻 Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Koi Aalim Gunah arta Ho to Aam Musalman Ka Islah Karna kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat ki bargaah me sawal arz he ki agar ilm ka jaankaar(a'alim) sakhs koi fisq karta he yani sar e aam koi gunaah karta he
us pr zaid  jo ki kam ilm wala(example : aam momin) he uska islaah karna jaruri he ? aur agar zaid khamos raha to kya wo gunehgar hua jab ki us se jyada ilm wale bhi mojood hai
Rehmumai farmaaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Aalim Agar koi aysa gunah kare jo ki urf me mash'hoor he Sharab pina, gaane sunna, badkari karna , wagairah to zaid Zaroor us ki islah kare or agar zaid ke ilm me us amal ka gunah hona muta'ayyan nahi he to fir kisi or ke zariye islah karva de.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

 *_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Naat khwañ ya mukarrir ko ujrat lena or dena kesa ? Konsi soorat me kuchh ke sakta he ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Mukarrir Ya Naat Khwañ ko Ujrat Lena Dena Kesa ? Konsi soorat me vo kuchh le sakta he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Naat khwan ka ya Mukarrir ka is niyyat se na'at ya wa'az karna ki us par use ujrat milegi, ya Use pata ho ki na'at ya wa'az karne ki ujrat milegi in soorato me uska wa'az ya na'ata parhna or Ujrat lena  najaizo haram w gunah he.

_jaisa ki Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Ziyarate Quboor amwat ke liye Khatme Qura'an, Qira'at Milade Paak Saiyede Qainat  ﷺ, in amoor me ujrat mukarrar ki gai ya urfan ma'aloom he ki ujrat par parh rahe he ya parhane wale ujrat dege, agar ye na parhe to na de, or vo na de to ye na parhe to aysi soorat me lena or dena najaiz he, lene wala or dene wala dono gunahgar hoge, agar urf me ayse nahi he balki ye log allah Ta'ala ki Raza ke liye parhe or dil me kisi Auz ka khayal na kare hatta ki yaqeen bhi ho ki na dege uske bawajood parhe, aysi soorat me kisi lafzi ya urfi taqreer ke bagair parhne wale ko de to koi mazaiqa nahi aysi jagah jahañ urf me lena dena hota ho, parhne wale shart kare ki ham kuchh na lege or us ke ba'ad agar dene wale de to he bhi jaiz he kyu ki sarahat faiq hoti he dalalat par.

Jaisa ki Fatawa Qazi Khan me he,

Agar ujrat ki shart par parhna halal ho jaye to us ki soorat ye he ki Qura'a or huffaz hazraat ko mukarrara waqt maslan koi din hafta me ya ghante maslan subah se das baje tak apni khidmat me ya kaam ke liye mukarrara ujrat jis par fariqain raazi ho, ajeer banale, to utne waqt ke liye ye hazraat naukar hoge or apne aap ko paband banana wajib hoga to ujrat par rakhne walo ko haq hoga ki vo jo khidmat un se chahe le, unhi khidmaat me se milad khwani w Qura'an khwani bara e isale sawab falañ bhi hogi, is soorat me dena zaroori or lena jaiz hoga kyu ki ab unki zaat se munafa'a par ijrah he, ta'at w ibadat par nahi he,
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-19, S-495)*

Or Ek Or Jagah Farmate he,

Asl ye he ki ta'at w ibadat par ujrat lena dena (Siwa e ta'aleem Qura'an azeem w uloome deen w azano imamat wagairaha ma'adoode chand ashya'a ko jin par ijrah karna muta'akhireen ne bina chari w majboori banazre haal zamana jaiz rakha) mutlaqan haram he, or tilawate Qura'ane azeem bagarze isale sawab w zikr shareef millade paak Huzur  ﷺ zaroorate manjumla ibadat w ta'at he to un par ijrah bhi zaroor haram w mahzoor.

Or ijrah jis tarah sareeh aqd zaban se hota he, urfan shart ma'aroof a ma'ahood se bhi ho jata he, maslan parhne parhane walo ne zaban se kuchh na kaha magar jante he ki dena hoga vo samaj rahe he ki kuchh milega. Unhone is taur par parha unhone is niyyat se Parhaya, ijrah ho gaya, or ab do wajah se haram huva, ek to ta'at par ijrah ye khud haram, dusre ujrat agar urfan mu'ayyan nahi to us ki jahalat se ijrah fasid, ye dusra haram.

Pas qarar daar kuchh na ho na huva lain dein ma'ahood hota ho to ba'ad ko bataure sila w husne sulook kuchh de dena jaiz balki hasan hota he.

ھل جزاء الاحسان الا الاحسان ۳؎ o واﷲ یحب المحسنین ۴؎o
Ahsan ki jaza sirf ahsan he or allah ta'ala ahsan karne walo ko pasand farmata he.
*📚(QUR'AN KAREEM, SURAH-55, AAYAT-60)*
*📚(QUR'AN KAREEM, SURAH-3, AAYAT-134)*

Magar jab ki is tariqa ka vaha aam riwaj he to soorate saniya me dakhil ho kar haram mahaz he, ab us ke halal hone ke do tariqe he: awwal ye ke qabl qira'at parhne wale sarahatan keh de ki ham kuchh na lege parhane wale saaf inkar karde ki tumhe kuchh na diya jayega, is shart ke ba'ad vo parhe or fir parhane wale bataure sila jo chahe de de, ye Lena dena halal hoga.

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-19, 485)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kisi pagal ka musalman hona malooom na ho to use kafan dafan kese kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki ek shaks hai jo pagal hai aur pata nahi hai ki musalman hai bhi ya nahi lekin allah allah uske muh se nikalta hai use kalma.padhate hai to wo nahi padhta aaise me uska inteqal hojae to uske sath kya kiya jae? Rehnumai farmyen

*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'oola me ye dekha jayega ki uski waza'a qata'a Musalmano ki he ki nahi. Agar uski  waza'a qata'a  Musalmano ki ho to fir usko gusl or kafan dafan wagairah muamlaat kiye jayege jo ek Musalman ke sath kiye jate he. Or  ye baat uske  muh se" Allah Allah ki sada e buland hoti he "to is se ye zahir hota hai k voh  Musalman he, is bina par uske sath musalamano  jaisa sukuk kiya jaye yani  use gusl bhi de namaze janaza bhi pade or use Musalmano ke kabrastan me dafnaya jaye.

Fatawa Aalamgiri me  he,
ومن لا یدری انه مسلم او کافر فان کان علیہ سیما المسلمین اوفی بقاء  دار الاسلام يغسل  والافلا کزافی معراج الدرایۃ
Jiska Tarjama yu he:
Ki murda mila or ye maloom nahi ki Musalman he ya kafir to agar uski waza'a qata'a  Musalmano ki ho ya koi alamat esi ho jisse musalman hona sabit hota he, ya Musalmano ke muhalle me mila to gusl de or namaz padhe or agar inme se koi bhi alamat na mile to fir usko na gusl dege, or na hi Musalmano jesa uske sath sulook karege, yani gusl kafan dafan or Musalmano ke kabrastan me dafan nahi karege.

Aysa hi Bahare Shariyat Me bhi he.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mukarrir Ya Naat khwañ ko sirf khayal aaye ki use nazrana ya bakhsish milegi to kya hukm he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
SAWAL

AGAR KISI NAATKHWAN YA MUKARRIR KO NAAT PADHTE YA FIR TAQREER KARTE WAQT YE KHAYAL AAYE KE PAISO KE LIYA YA DIGAR KOI CHEEZ KE LIYE NAAT PADH RAHA HAI YA USME  BAKSHISH MILEGI YA KOI INAAM DIYA JAYEGA YE IRADA YE TO WO CHEEZ HARAM HAI YA HALAL...?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khatib ko ya Naat Khwañ ko Daurane Mahefil Sirf Khayal aane se ki use naat parhne ka ya wa'az karne ka nazrana ya bakhsis milegi isse us par koi sakht hukm Nahi.
agar Azme musammam ho yane pukhta irada isi par ho tab us par hukm he ki aysi naat ya wa'az karna haram hoga. Lekin sirf khayal aaya or khayal aane ke baad fir hat gaya to us par kuchh azabo iqab ya gunah murattab nahi hoga..

ھذا ما ظھر لی و  اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Masjid Me GumShuda Cheez Talash karna kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

👇Hazrat Mera Ek Sawal Hai'??

Kya Masjid Me Gumi Hui Chiz Ko Dhund Sakte Hai Agar Wo Chiz Kheemti Hoto'???

👆Hazrat Jawab Inayat Famayiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Masjid Me GumShuda Cheez ka Dhundhna Mana'a He, Ye aadabe Masjid Ke Khilaf He. Ye hukm Aam he..

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Masjid Me Gum Shuda Cheez ka talash karna mana'a he. Hadish Shareef me he, Jab Dekho ki Gumi hui cheez masjid me talash karta he, to kaho, khuda us ko tere paas wapas na kare ki Masjide is liye nahi bani.
Is hadish Ko Muslim ne abu Hurairah RadiAllahu Anhu ne riwayat kiya.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, S-215)*

_Or Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

_Sahih Muslim Me Abu Hurairah RadiAllahu Ta'ala Anhu se  RasoolAllah ﷺ farmate he:
من سمع رجلا ینشد ضالۃ فی المسجد، فلیقل لاردھا اللّٰہ علیک، فان المساجد لم تبن لھذا.

Jo Gumi cheez ko masjid me daryaft kare us se kaho allah teri gumi cheez tujhe na milaye, masjide is liye nahi bani.
*📚(Sahih Muslim, J-1, S-210)*

Hadis Me Hukm Aam he Or Fiqh me bhk Aam rakha,

Durre Mukhtar me he,
کرہ انشاد ضالۃ..
Masjid me gum shuda cheez ki Talash Makrooh he.
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-93)*
To Agar Kisi ka mas'haf shareef gum ho gaya or vo tilawat ke liye dhundhta or masjid me puchhta he use bhi yahi jawab hoga ki masjide is liye nahi bani.

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-5, S-411)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mooe Zere Naaf , Bagal , nakhun kab katna sunnat wajib or mustahab ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mooe zere naaf , bagal ke baal , or nakhun 40 din ke andar katna hai to kya ye sunnath hai ya wajib hai ? Aur kya 40 din rakhliye baad kaantna gunah hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

Mooe zere naaf yaani naaf ke niche ke baal or bagal ke baal or nakhun ka tarashwana mutlaqan sunnat he. Hafte me saaf karna mustahab he, Afzal ye he ki jumaa ke roz saaf kare or agar jumaa ko saaf na kar paya to pandarhve din saaf kare or uski intehai muddat 40 din he. 40 din se zyada din tak saaf na karna makroohe tahrimi or aysa karne wala gunahgar he.

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Har jumaa ko agar nakhun na tarashwae to pandarve din tarashwae or uski intahai muddat chalis 40 din he iske ba'ad na tarashwana mamnoo'a he. Yahi hukm munchhe tarashwane or muye zere naaf door karne or bagal ke baal saf karne ka he ki chalis din se zyada hona mana'a he.

Mooe  zere naaf door karna sunnat he. Har hafta me nahana, badan ko saaf suthra rakhna or mooe zere naaf door karna mustahab he, or bahetar jumaa ka din he, or pandarhve(15) roz karna bhi jaiz he or chalis roz se zaaid guzar dena makrooh w mamnoo'a.
*📚(BAHARE SHARIYAT,. H-16, S-584)*

_Or Aala Hazrat alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Chalis roz se zyada nakhun ya mooe bagal ya mooe zere naaf rakhne ki ijazat nahi, ba'ad chalis roz ke, gunahgar hoge, ek aadh baar me gunahe Sageera hoga aadat dalne se kabeera ho jayega fisq hoga.

Durre Mukhtar me he,
کرہ ترکہ وراء الاربعین
Chalis roz se zyada chhor dena makrooh he۔
*📚(Durre Mukhtar, J-2, S-250)*

ای تحریما لقول المجتبی ولا عذر فیما وراء الاربعین ویستحق الوعید۔

Yaha karahat se makroohe tahrimi murad he. Almujtaba ke is qaul ki wajah se chalis din se zyada der lagane me koi azr (maqbool) nahi, lihaza agar aysa kiya to fir azab ki dhamki ka mustahiq he.
*📚(Raddul Mohtar, J-5, S-261)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-22, S-667)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iddat Me Damad Se Parde ka Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum

Aurat Iddat Kin Kin Logo Se Parda Kare,
Kya Aurat Daamat Se Mil Sakti Hai Iddat Me?
Tafsili Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Parde ke aitbar se Iddat me koi pabandi nahi hoti.
Har na mahram jin se nikah jaiz he unse parda hoga.

Ab aurat ke liye kon mahram kon na mahram iski tafsili ma'aloomat ke liye Fatawa Razviya, Bahare Shariyat w digar kutube fiqha ka muta'ala mufeed rahega.

Al-Hasil

Iddat se pahle jin se parda wajib daurane iddat bhi unse parda wajib.
Or iddat se qabl jin se parda nahi halate iddat me bhi nahi.

Ab raha damad to damad se parda nahi jaisa ki Qura'ane majeed me allah ta'ala ne farmaya
و امھت نسائکم
Yaani tumhari biwiyo ki maaye tum par haram he. lihaza aurat damad se or har mahram se Zaroori baat cheet kar sakti he lekin shariyat ki hudood se tajawooz na kiya jaye.

Yaani gair zaroori baate nahi karni chahiye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

•┈┈┈┈┈┈•• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Eid Ki Namaz Me Sajda E Sahw He Ya Nahi ?

*🌹SAWAL🌹*
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh kya Eid ki namaz mein sajde sahu ho sakta hai

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam w Rahematullah,

Ji Eidain Ki Namaz Me Bhi Sahw Hone par Sajda e Sahw he. Agar Muqtadio Ki Ta'adad Zyada ho to bahetar ye he ki Sajda e Sahw Na kare.

_Jaisa Ki huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Eidain Ki sab takbire ya ba'az bhul gaya ya zaaid kahi ya gair muhal me kahi un sab soorto me sajda e sahw wajib he.

Imam Takbirate Eidain bhul gaya or Ruku'a me chala gaya to lot aaye or masbook Ruku'a me shamil hua to Ruku'a hi me takbire kahe.

Eidain me dusri raka'at ki takbire Ruku'a bhul gaya to sajda e sahw wajib he or pahli raka'at ki takbire Ruku'a bhula to nahi.

Juma W Eidain Me sahw waqe'a huva or jama'at kaseer ho to bahetar ye he ki Sajda e Sahw Na kare.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, S-64, Application)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Huzur Ne Nasraniyo Ko Masjid Me Ibadat Karne Ki Ijazat Di ? Gair Muslim Ko Masjid Me Aana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya aaqa alaihissalam ne nasraniyo ko unke mazhab ke aitbar se ibadath ke liye masjid e nabavi me bulaaye they? MaazAllah.
Tafseer ibn kathir wa imam qurtabi ke hisab se  surah imran ki ayath 61 me shyad aisa likha hai wazahath farmadein

*🌹JAWAB:-🌹*
https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/07/kya-huzur-ne-nasraniyo-ko-masjid-me.html?m=1

Nabi e kareem ﷺ ne farmaya jis ne jaan bujh kar meri taraf jhuth mansoob farmaya vo apna thikana jahannam me bana le..

Huzure Akram  ﷺ ne hargiz har guz peshtagi nahi farmai thi. Asl waqe'aa is tarah he ki najran ilaqe se saath isaiyo ka ek wafd huzur  ﷺ ki khidmat hazir me hazir hua asr ki namaz ke waqt ye wafd bhi masjid me dakhil ho gaya.(us waqt musalman namaz padh rahe the)

Thodi der baad unki namaz ka waqt aa gaya to unhone apne tariqe ke mutabik masjide nabvi shareef me namaz shuru kar di. RasoolAllah ﷺ ne farmaya unhe chhor do. Un logo ne mashrik ki taraf munh karke namaz parhi.
*📚(Seerate Ibne Husham, J-2, S-574)*

Bahut se mufassireen ne use apni tafasir me bayan farmaya he magar unke asl makhuze takriba yahi he.

Ye Baat yaad rakhna zaroori he ke huzure akram  ﷺ ke paas masjid shareef ke alawa koi makhsoos mahman khana maujud na tha, har khaso aam ko wahi thahraya jata tha.. neez isaio ko aap  ﷺ ne khud masjide nabvi me namaz padhne ko nahi farmaya tha. Isaiyo ne huzur ﷺ se namaz ki ijazat bhi nahi mangi thi.. balki khud ba-khud namaz padhne lag gaye the to aap  ﷺ ne farmaya unhe chhor do..

_Imame Ahele Sunnat Aala Hazrat alaihir Rahmato Ridwan se kisi ne puchha ki masjid me hinduo se mimbar par lecture dilwaye gaye or kaha ki masjide nabvi me wafoode kuffar qayam karte the or apne tariqe se ibadat bhi karte the or kuffar ka dakhila makhsoos ba masjide haram ek khas waqt ke waste mana'a tha. Is ke jawab me Aap Alaihir Rahma likhte he..._

Ye kahna ki Masjidul Haram Shareef se Kuffar ka Mana'a ek khas waqt ke waste tha agar ye murad ki ab na raha to Allah ﷻ par sareeh iftra'a he,

قال اﷲ تعالٰی انما المشرکون نجس فلایقربواالمسجد الحرام بعدعامھم ھذا.
Allah Ta'ala ne Farmaya: Mushrik nare napak he to is baras ke ba'ad vo masjide haram ke paas na aane paye.
*📚(Sura E Taubah, Aayat-28)*

Yu hi Ye Kahna Ki wafoode kuffar masjide nabvi me apne tariqe par ibadat karte the, mahaz jhuth he, or Nabi e kareem ﷺ ke use jaiz rakhne ka ash'aar huzur ﷺ par iftra'e fujjar, hasha ki Allah ka Rasool go baar baar farmaye ki kisi masjid, na ki khas masjide madina kareem me, na ki khud huzure aqdas  ﷺ ke samne buto ya maseeh ki ibadat ki jaye.. jante ho ki us se unka maqsood kya he ki Musalman to usi qadr par naraz huye he ki mushrik ko masjid me Musalmano se uncha khara karke un ko wa'eez banaya vo to is tahiyya me he ki hinduo ko haq de ki masjid me but nasb karke unki dandoot kare, ghante bajaye, sankh phunke, kyu ke un muftariyo ke nazdik khud Huzure Aqdas ﷺ ki Masjid me khud huzur ke samne kuffar apne tariqa ki ibadat karte the.

ویلکم لاتفتروا علی اﷲ کذبا فیسحتکم بعذاب.
Tumhe kharabi ho Allah par jhuth na bandho ki vo tumhe azab se halak karde.
*📚(Sura E Taha, Aayat-61)*

Huzure Aqdas ﷺ ke liye masjide kareema ke siwa koi nashist gaah na thi jo hazir hota yahi hazir hota kisi kafir ki hazri Ma'azAllah bataure istilaa w iste'ala'a na thi balki zaleelo khwar ho kar ya islam laane ke liye ya tablige islam sunne ke waste, kahañ ye or kahañ vo jo bad khwahane islam ne kiya ke mushrik ko barauja ta'azeem masjid me le gaye use Musalmano se uncha khara kiya use Musalmano ka waeez w haadi banaya usme masjid ki tauhin hui or tauheene masjid haram, mushrik ki ta'azeem hui or ta'azeeme mushrik haram, bad khwahi muslimeen hui balki badkhwahi islam, fir use us par qayas karna kaisi sakht zalalat w gumrahi he tarha ye ki zabani kahte jate he ki mushrik ka bataure iste'ala'a masjid me aana zaroor haram he, or nahi dekhte ki aana bataure istila hi tha,

فانھا لاتعمی الابصار ولکن تعمی القلوب التی فی الصدور.
To ye aankhe andhi nahi hoti balki vo dil andhe hote he jo seeno me he.
*📚(Sura E Hajj, Aayat-46)*

Usi nabinai ki bina par ye Musalman ko dhoka dene wale yaha, hanfiya w shafaiya ka ikhtelafi mas'ala ke masjid me dukhoole kafir haram he ya nahi mahaz dhoka dene ko pesh karte he, qata'a nazar us se ki mas'ala me taheqiq kya he.
Awlan khud kutube muatameda hanfiya se mumane'at peda he,
Saniyan khud muharrire mazhab saiyedna imam Muhammad RadiAllahu Anhu ke irshad se huveda he.
Salisan aulma w sulha ka adab kya raha he ikhtilafe ahwale zamana w aadate qaum hamesba maail ta'azeemo tauheen me dukhul rakhta he.
Rabian gair islami saltanat or na Musalmano ki kasrat me ijazat ki isha'at or masajid ko pamali kuffar ke liye waqaf karna kis qadar bahi khwahi islam he.
Khamsan vo najis qaum ke ba nasse Qura'an is par hukm e najasat he or vo Musalmano ko milichh kahe, bhangi ke misl samje sauda beche to door se hath me rakh de, us ke najis badan, napak paanwo ke liye tum apni masjid ko waqaf karo ye kis qadar maslihate islam ke gahre rang me dooba huva he, in sab se qata'a nazar un harkaate shanee'aa ka us se kya ilaj ho sakta he.

(Usne guman kiya ke me ne uski misl kiya halanki vo larai ki justajoo karne wala us farq ko kese mahsoos kar sakta he)

Sahih Bukhari Shareef me Ameerul Mua'mineen Farooke aazam RadiAllahu Anhu se marwi he:
قَالَ کَانَتِ الْکِلَابُ تُقْبِلُ وَتُدْبِرُ فِی الْمَسْجِدِ فِیْ زَمَانِ رَسُوْلِ اﷲِ صَلَّی اﷲُ تعالٰی علیہ وَسَلَّمْ.
RasoolAllah ﷺ ke zamana me masjid shareef me kutte aate jate the.
*📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-29)*

Zamana e risalat me masjid shareef me kutte aate the ab tum khud kutte apni masjido or masjidul haram shareef ya masjide nabi ﷺ me le jaao or jumaa ke din imam ke daayeñ baayeñ mimbar par do kutte bithao tumhare istedalal ki nazar to yahi tak ho gai , kah dena kya zamana e aqdas me kutte masjid me na aate jate the, ham le gaye or mimbar par unhe bithaya to kya huva, or vo jo aane jane or yu le Jane or mimbar par unhe bithane ka farq he usse aankh band kar lena jaise yaha band karli, kon si aankh, dil ki ki.
وَلَٰكِن تَعْمَى الْقُلُوبُ الَّتِي فِي الصُّدُورِ.
Dil adnhe hote he jo seeno me he.
*📚(Sura e Hajj, Aayat-46)*

Balki khuda tumhe aqlo insaf de to ye bhi tumhare fe'al ki nazeer nahi, tum khateeb ke aas paas mimber par kutte bithao us se vo kutte khateeb na ho jayege, or tumne mushrikeen ko khateebe muslimeen banaya lihaza agar qadre fe'al se taqreeb chahi to un kutto ko sidhaao ke jab imam pahla khutba parh kar bethe vo nihayat baland aawaz se bhokna or rona shuru'a kar de ki bahar tak ke sab logo ko khabar ho jaye ki jalsa w dua ka waqt he, yu hi namaz ke waqt aath aath das das safo ke fasle se char char kutte saf me khare karo ki takbire Inteqal ke waqt cheekheñ or mukabbiro se zyada tablig ka kaam de or yahi hadeese bukhari hujjat me pesh kar dena ki dekho zamana e aqdas me kutte masjid me aate jate the balki unke aane se koi faida na tha or ham kutte se nafa'a e deeni ke liye le gaye, to badarja awla ye jaiz huva, vaha tak to qayas tha ye dalalatul nass hui or usme jo tumhare istedalal ki khabasat he na dekhna, kyu ki thahar gai he..
وَلَٰكِن تَعْمَى الْقُلُوبُ الَّتِي فِي الصُّدُورِ.

Dil andhe hote he jo seeno me he.
*📚(Sura e Hajj, Aayat-46)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-14, S-390-393)*

_Hakimul Ummat Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan naeemi sahab Alaihir Rahmato Ridwan zaroori note ka unwan qaim karte huye likhte he,_

Us wafd me masjide nabvi shareef me apni ibadat us waqt shuru'a kardi jab Musalman namaze asr parh rahe the. Musalmano ne ba'ade namaz unko unki ibadat se na roka. Is se ye lazim nahi aata ki ab ham mushriko ko apni masjido me pooja paat karne ki ijazat de. Unko na rokna aysa tha jaise ek badwi ne masjide nabvi shareef me peshab karna shuru'a kar diya to Huzur ﷺ ne farmaya ki use na roko. Usse masjido me peshab pakhana ki ijazat na hogi.
*📚(Tafsire Noorul Irfan, S-78)*

Mukhtasar yahi ki ye kahna ki Huzure Aqram  ﷺ ne Nasraniyo ko ya gair muslimo ko unke mazhab ke mutabik masjid me ibadat karne ki ijazat di, mahaz batil, or Allah w Rasool par Jhuth bandhna w iftra'a karna he. Or Jis ne Allah W Rasool par jaan buz kar jhuth bandha uska thikana jahannam he. Gair muslimo ko kisi bhi masjid me aane ki or unke mazhab ke mutabik ibadat ki ijazat dene ki hargiz islam me ijazat nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Biwi Inteqal Kar Jaye to maher ka kya hukm he ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Agar Kisi Shakhs Ne Maher Ada Nahi Ki Aur Uski Biwi Ka Inteqal Ho Gaya To Ab Kya Huqm Hoga...?

*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Shohar ne mahar ada nahi kiya or aurat bagair muaaf kiye mar gai to ab ye uska tarka he jo uske wariseen ka haq he.
Aysa hi *📚Fatawa  Amjadiya, J-2, S-148)* par he.
Aurat ke marne se mahar Shohar ke zimma se saqit nahi hoga balki mu'akad ho jayega or is soorat me vo wariseen ka haq hoga. Lihaza aurat agar aulad chhor kar faut hui he to mahar ka chothai hissa shohar ka he warna aadha uska he. Khuda e ta'ala ka irshad he,
وَلَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ أَزْوَاجُكُمْ إِن لَّمْ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٌ ۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٌ فَلَكُمُ الرُّبُعُ
*📚(Sura e Nisa, Aayat-12)*

Or maazi mahar aurat ke digar wariseen ka he shohar unhe unke hisse ke mutabik pahucha de to vo bari uz zama ho jayega.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-422)*

_Qur'an Majeed me rab Tabarak w ta'ala ka irshad he_
وَلَكُمْ نِصْفُ مَا تَرَكَ أَزْوَاجُكُمْ إِن لَّمْ يَكُن لَّهُنَّ وَلَدٌ ۚ فَإِن كَانَ لَهُنَّ وَلَدٌ فَلَكُمُ الرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْنَ ۚ مِن بَعْدِ وَصِيَّةٍ يُوصِينَ بِهَا أَوْ دَيْنٍ ۚ وَلَهُنَّ الرُّبُعُ مِمَّا تَرَكْتُمْ إِن لَّمْ يَكُن لَّكُمْ وَلَدٌ ۚ فَإِن كَانَ لَكُمْ وَلَدٌ فَلَهُنَّ الثُّمُنُ مِمَّا تَرَكْتُم ۚ مِّن بَعْدِ وَصِيَّةٍ تُوصُونَ بِهَا أَوْ دَيْنٍ ۗ وَإِن كَانَ رَجُلٌ يُورَثُ كَلَالَةً أَوِ امْرَأَةٌ وَلَهُ أَخٌ أَوْ أُخْتٌ فَلِكُلِّ وَاحِدٍ مِّنْهُمَا السُّدُسُ ۚ فَإِن كَانُوا أَكْثَرَ مِن ذَٰلِكَ فَهُمْ شُرَكَاءُ فِي الثُّلُثِ ۚ مِن بَعْدِ وَصِيَّةٍ يُوصَىٰ بِهَا أَوْ دَيْنٍ غَيْرَ مُضَارٍّ ۚ وَصِيَّةً مِّنَ اللَّهِ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ حَلِيمٌ
Or tumhari biwiya jo chhor jaaye usme se tumhe aadha he agar unki awlad na ho, fir agar unki awlad ho to unke tarka me se tumhe chothai he jo wasiyat vo kar gai or dain nikal kar or tumhare tarka me aurto ka chothai he agar tumhare awlad ho fir aathva jo wasiyat tum kar jaao or dain nikal kar, or agar kisi ayse mard ya aurat ka tarka batna ho jis ne maa baap aulad kuchh na chhore or maa ki taraf se us ka bhai ya bahan he to un me se har ek ko chhtta fir agar vo bahan bhai ek se zyada ho to sab tihai me shareek he mayyat ki wasiyat or dain nikal kar jis me usne nuqsan na pahuchaya ho ye allah ka irshad he or allah ilm wala hilm wala he.
*📚(SURA E NISA, AAYAT-12)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Mahar ki Kitni Qisme He Or Unke Ahkam kya he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mahar ki kitni Qisme he ? Or unke Ahkam Kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mahar Us maal ka naam he jo shohar ke zimme biwi ke munafe'a nafs ke auz mukarrar karne par ya sirf aqd nikah se wajib hota he.

_Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat me he_

Mahar ki kul 3  Qisme he,
1. Mahre Muajjal: ki khalwat se pahle maher dena qarar paya ho.
2. Mahre Maujal: jis ke liye koi me'ayad mukarrar ho.
3. Mahre mutlaq: jis me na to khalwat se pahle maher dena karar paya ho or na hi uske liye koi me'ayad mukarrar huva.
Aysa hi *📚(Bahare Shariyat, H-7, S-65,67)* par he.

*_👉Mahare Muajjal Ke Ahkam:_*
Mahre Muajjal hone ki soorat  me aurat ko ye Ikhtiyar hasil he ki jab tak mahar wasool na karle shohar ko watee or muqdamate watee se baaz rakhe or shohar ko halal nahi ki aurat ko majboor kare agarche us se qabl aurat ki razamandi se watee w kahlwat ho chuki ho yaani ye haqqe mahar jab tak wasool na karle aurat ko hamesha hasil he.
Agar Shohar aurat ko safar me le jana chahta ho to aurat inkar kar sakti he. Mahar muajjal lene ke liye aurat agar watee se inkar kare to uski wajah se nafqa saqit na hoga.
Mahare muajjal ada na karne ki soorat me aurat bila ijazate shohar ghar se bahar balki safar me bhi ja sakti he jab ki Zaroorat se ho.
Aysa hi *📚bahare Shariyat, H-7, S-65,67* par he.

*_👉Mahare Maujal Ke Ahkam:_*
Agar maujal yaani me'ayadi he or me'ayad majhool(maloom na hona) he to mahar fauran dena wajib he. Hañ agar maujal he or me'ayadya thahri ke maut ya talaq par wusool karne ka haq he to jab tak maut ya talaq waqe'a na ho aurat mahar wasool nahi kar sakti or talaq ya maut waqe'a hui to ab ye bhi muajjal ho jayega yaani fil haal mutalba kar sakti he agar che talaq raja'ee ho magar raja'ee me Ruju'a ke baad fir maujal ho jayega.
Mahare maujal yaani me'ayadi tha or me'ayad puri ho gai to aurat apne nafs ko rok sakti he.
Aysa hi *📚Bahare Shariyat, H-7, S-65,66* par he.
Lekin sahih ye he ki me'ayad puri hone ke baad aurat mahar ka mutalba kar sakti he Magar apne aap ko uske liye kabhi rok nahi sakti. Khusoosan jab ki rukhsat ho chuki ho. Aysa hi *📚Fatawa Raviya, J-5, S-523* par he.

*_👉Mahare Mutlaq Ke Ahkam:_*
Mahare Mutlaq ka madar urf or aadat par he jis khitta me aam taur par ye riwaj ho ki maslan kul ya nisf ya rab'a ya kisi qadar peshgi lete he vaha itna peshgi dena hoga. Or jahañ urf yu he ki maut ya talaq ke bagair lena dena nahi hota.
(jaisa ki aam taur par Hindustan me yahi he) vaha jab tak zaujain me se kisi ka Inteqal waqe'a na ho mutalba ka ikhtiyar hasil na hoga.
Aysa hi *📚Fatawa Raviya, J-5, S-316* par he.

*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S- 424)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Islam me Anda Khana kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Suwal:-
Kya Anda (egg) makruh hai? Bachpan se sunta aya hun  ke makruh hai to wazahth farmadein kyu makruh hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

_Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Anda Khana Jaiz he ki vo tanha mada ki mani mun'aqada mustaheel ba tayyab he jaise or ande nar w mada dono ki mani mustaheel.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-21, S-642)*

_or  farmate he,_

Halal janwar ka kacha paka anda sab halal he. Haañ vo ki khoon ho jaye najis w haram he.
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-21, S-664)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Salatul Asrar Namaze Gausiya Ka Saboot Or Tariqa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki salatul asrar jise namaj e ghousia bhi kaha jata hai uski asl kya hai? Use padhne ka tarika aur uske pdhne ki wajah kya hai... Tafseel ke sath javab ho to jald ata karen.. Zazkallah

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam Wa Rahematullah,

Salatul Asrar Jise Namaze Gausiya Bhi Kaha Jata He, ise padhne se allah ta'ala Padhne wali ki hajat puri karta he.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Abu Dawood Huzaifa RadiAllahu Ta'ala Anhu se raavi, kahte he: Jab Huzure Aqdad  ﷺ ko Koi amr aham pesh aata to namaz parhte.
*📚(Sunan Abu Dawood, Hadis-1319, J-2, S-52)*

Is liye do Raka'at ya chaar parhe. Hadees me he, pahli raka'at me sura e fatiha or teen baar aayatul kursi parhe or baaqi teen raka'ato me sura e fatiha or Sura e Ikhlas Or Sura e Falaq Or Sura s Naas, ek ek baae parhe to ye aysi he jese shabe qadr me chaar raka'ats Parhe. Mashaikh farmate he: hamne ye namaz padhi or hamari hajat puri hui.

*_▶isi tarah se Salatul Asrar Ya namaze Gausiya Yane Namaze Hajat Ke Ta'alluk se Huzur SadrushShariyah aage Taherir farmate he,_*

Neez iske ta'alluk se(Yane Hajat Puri Hone ke Ta'alluk se) Ek mujarrab (yani tajarba ki hui) namaz salatul asrar yane namaze Gausiya he jo imam abul hasan nooruddin ali ibne jareer lakhmi shatnaufi *📚Bahjatul Asrar* me or Mulla Ali Qari w Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi RadiAllahu Anhum Huzur Saiyeduna Gause Aazam RadiAllahu Ta'ala Anhu se riwayat karte he, ia ki tarkeeb ye he ki ba'ad namaze Magrib sumnate parh kar do Raka'at namaz nafl parhe or bahetar ye he ki Alhamdu ke Baad har raka'at me gyarah gyarah baar Sura e ikhlas parhe salam ke baad allah ﷻ ki Hamdo sana kare fir Nabi  ﷺ par gyarah baar duroodo salam arz kare or gyraah(11) baae ye kahe,

یا رسول اللہ یا نبی اللہ اغثنی وامددنی فی قضاء حاجتی یا قاضی الحاجات
(Tarjama: Ay Allah ﷻ Ke Rasool ! Ay Allah Ke Nabi  ﷺ ! merj Fariyad ko Pahunchye or meri madad kijye, meri hajat puri hone me, Ay Tamam Hajato ko pura karne wale.)

Fir Iraq Ki janib gyarah(11) qadam chale, har qadam par ye kahe,

یا غوث الثقلین و یا کریم الطرفین اغثنی وامددنی فی قضاء حاجتی یا قاضی الحاجات.
(Tarjama: Ay Jinno Ins ke Fariyad ras or ay dono taraf (maa baap) se buzurg ! Meri fariyad ko pahunchye or meri madad kijye, meri hajat puri hone me, ay hajato ke pura karne wale.)
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-37)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Namaze Gausiya Ki Asl Or Uska Tariqa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki salatul asrar jise namaj e ghousia bhi kaha jata hai uski asl kya hai? Use padhne ka tarika aur uske pdhne ki wajah kya hai... Tafseel ke sath javab ho to jald ata karen.. Zazkallah

*🌹JAWAB:-🌹*

Har Namaz allah hi ke liye padhi jati he.

Lekin iska tariqa kaar gause paak se sabit he is liye isko namaze Gausiya kahte he.

Ye namaz jamee'a hajat w maqasid me kamyabi ke husool ke liye parhi jaati he.

Parhne ka tariqa

Magrib ki teen farz or do Raka'at Sunnat ke ba'ad salatul Asrar ki niyyat se do Raka'at Allah Ta'ala ki qurbat or gause aazam ki rooh ko hadiya ke liye parhe har raka'at me sura e fatiha ke baad koi aasan surah parhe bahetar he gyarah martaba sura e ikhlas parhe salam ferne ke baad allah ﷻ ki hamdo sana us ki shan ke laeeq baja laye fir aaqa  ﷺ par gyarah martaba Duroode paak parhe bahetar he Duroode Gausiya parhe fir ye duaa gyarah (11) baar parhe.

یا رسول اللہ یا نبی اللہ اغثنی وامددنی فی قضاء حاجتی یا قاضی الحاجات.

Fir bagdad ki taraf gyarah qadam chale fir Allah se Gause Aazam ke wasile se duaa mange InShaAllah har hajat puri hogi.

Imame Ahele Sunnat Aala Hazrat Alaihir Rahma Ka Ek Risala He.
ازھار الانوار من صبا صلوۃ الاسرار

Is Risala me sarkar Aala Hazrat ne Namaze Gausiya ke muta'allik aham nikat or us ke parhne ka tariqa tafsil ke sath bayan farmaya he

Or ye tafsil *📚FATAWA RAZVIYA KI JILD-7* Me Maujud he.

Mukammal Tafsil ke liye is risale ka muta'ala mufeed rahega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:-Maulana Fahim Razvi Mustafai,*
*📬Khatibo Imam Noori Masjid, Mahudha, Gujarat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Koi Inteqal Kar Jaye Usi Din Fatiha Dilana Kesa ? Fatiha Jald dilana Bahetar...

*🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَّــلاَمُ_عَلَيـكُــم_وَرَحْـمَــةُ_اللهِ_وَبَــرَكـَاتــه
Agar Koi inteqal Kar Jaye Aur Usi Deen Tafdin Kara Jaye To Us Din Fatiha De Sakte Hai ??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Ji agar koi inteqal kar jaye to usi din fatiha dila sakte he, isme koi harj nahi, Mayyat ko isale sawab kisi bhi waqt kar sakte he. Or jitna jaldi kare utna bahetar he.

_Jaisa ki Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi Alaihir Rahma Taherir Farmate He_

Murda doobte huye aadmi ki tarah hota he use madad ki zaroorat hoti he is liye jitni jaldi ho sake use sawab pahunchaya jaye to bahetar he.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S-282)*

Isi Tarah Tadfin ke baad isale sawab karna or ijtemai  Dua mangna bhi jaiz he.

Hazrat Usman Bin Affan RadiAllahu Anhu se riwayat he ki aap  ﷺ jab mayyat ke dafn se farig hote to qabr par thaharte fir farmate ki Apne bhai ke liye astagfar karo or uski sabit qadmi ki duaa mango kyun ke us waqt us se sawal ho raha he.
*📚(ABU DAWOOD, 1/2)*

Isale Sawab Ke liye koi din mukarrar nahi, jab chahe jis waqt chahe Qura'an Paak parh kar ya sadqa ya khairat ya koi nek amal Zikro durood w tasbih parh kar bhi marhum ko ya puri ummate muslima ko isale sawab kar sakte he. Or jitna jaldi isale sawab kare utna bahetar he..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Jaan Bachane Ke Liye Kalma e Kufr Bolna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 10 12 hindu Milkar 1 Musalman ko Mare  Mar Mar Ke Bole bolo Jay Siyaram Jay Hanuman kya ya bolna thik hai Apni Jaan bachane Ke Liye aisa bol sakte hain
Rehnumai farmaye Hazrat ??

*🌹JAWAB:-🌹*

Agar Kisi Shakhs Ko Jaan Bachane ke liye kalma e kufr bolne par majboor kiya jaye to uska iman zaail nahi hoga, kyu ki Allah Ta'ala  ki taraf se us ke liye rukhsat he ki vo jaan bachane ke liye majbooran izhare kufr kare or dil me apne iman par qaaim rahe. Or agar kisi halat me sabr kare or use qatl kar diya jaye to use ajr milega or shaheed hoga.

_Jaisa Ki Bahare Shariyat Me he,_

Ba'az Soorato me Amal karna rukhsat he jaise ba karahate Qalb W ba Adame raza ba dile na-khwasta apni jaan bachane ki khatir faqat zaban se kalma e kufr ada kar dena.
*📚BAHARE SHARIYAT, H-19, S-1078)*

_Or Jaisa Ki Qura'an Majeed me Rab Tabarak w ta'ala Irshad farmata he,_

مَنْ كَفَرَ بِاللّٰهِ مِنْۢ بَعْدِ اِیْمَانِهٖۤ اِلَّا مَنْ اُكْرِهَ وَ قَلْبُهٗ مُطْمَىٕنٌّۢ بِالْاِیْمَانِ وَ لٰكِنْ مَّنْ شَرَحَ بِالْكُفْرِ صَدْرًا فَعَلَیْهِمْ غَضَبٌ مِّنَ اللّٰهِۚ-وَ لَهُمْ عَذَابٌ عَظِیْمٌ
Jo iman la kar allah ka munkir ho, siwa e us ke jise majboor kiya jaye, or uska dil iman par jama huva ho, Hañ vo jo dil khol kar kafir ho un par allah ka gazab he or unko bara azab he.
*📚(SURA E NAHAL, AAYAT-106)*

_is Aayat Ki Tafsir Me he,_

Halate Ikra me kalma e kufr kahme se muta'allik 4 Sharaee masail:

1. Is aayat se Ma'aloom huva ki Halate ikra me agar dil iman par jama huva ho to kalma e kufr ka zaban par jaari karna jaiz he jab ki aadmi ko(kisi zalim ki taraf se) apni jaan ya kisi auzu ke talf hone ka (haqeeqi) khauf ho.
(or us me ye bhi zaroori he ki agar koi do ma'ana wali baat kahne me guzara chal sakta ho jisse kuffar apni murad le or kahne wala us ki durust murad le to zaroori he ki aysi do ma'ana wali baat hi kahe jabke is tarah kahna janta ho).

2. Agar is halat me bhi sabr kare or qatl kar dala jaye to use ajr milega or vo shaheed hoga jaisa ki Hazrat khubaib RadiAllahu Anhu ne sabr kiya or vo sooli par charha kar shahid kar dale gaye. Sarkare do Aalam  ﷺ ne unhe Saiyedush Shohda Farmaya.

3. Jis Shakhs ko majbooran kiya jaye agar uska iman par jama huva na ho to vo kalma e kufr zaban par lane se kafir ho jayega.

4. Agar koi shakhs bagair majboori ke mazaq ke taur par ya ilm na hone ki wajah se kalma e kufr zaban par jaari kare vo kafir ho jayega.
*📚(TAFSIRATE AHMADIYA)*
*📚(TAFSIRE KHAZAINUL IRFAN, SURAH-16, AAYAT-106)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84879

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts