Iddat Me Damad Se Parde ka Hukm ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum

Aurat Iddat Kin Kin Logo Se Parda Kare,
Kya Aurat Daamat Se Mil Sakti Hai Iddat Me?
Tafsili Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
Parde ke aitbar se Iddat me koi pabandi nahi hoti.
Har na mahram jin se nikah jaiz he unse parda hoga.

Ab aurat ke liye kon mahram kon na mahram iski tafsili ma'aloomat ke liye Fatawa Razviya, Bahare Shariyat w digar kutube fiqha ka muta'ala mufeed rahega.

Al-Hasil

Iddat se pahle jin se parda wajib daurane iddat bhi unse parda wajib.
Or iddat se qabl jin se parda nahi halate iddat me bhi nahi.

Ab raha damad to damad se parda nahi jaisa ki Qura'ane majeed me allah ta'ala ne farmaya
و امھت نسائکم
Yaani tumhari biwiyo ki maaye tum par haram he. lihaza aurat damad se or har mahram se Zaroori baat cheet kar sakti he lekin shariyat ki hudood se tajawooz na kiya jaye.

Yaani gair zaroori baate nahi karni chahiye.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487

•┈┈┈┈┈┈•• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts