Mahar ki Kitni Qisme He Or Unke Ahkam kya he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mahar ki kitni Qisme he ? Or unke Ahkam Kya he ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mahar Us maal ka naam he jo shohar ke zimme biwi ke munafe'a nafs ke auz mukarrar karne par ya sirf aqd nikah se wajib hota he.

_Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat me he_

Mahar ki kul 3  Qisme he,
1. Mahre Muajjal: ki khalwat se pahle maher dena qarar paya ho.
2. Mahre Maujal: jis ke liye koi me'ayad mukarrar ho.
3. Mahre mutlaq: jis me na to khalwat se pahle maher dena karar paya ho or na hi uske liye koi me'ayad mukarrar huva.
Aysa hi *📚(Bahare Shariyat, H-7, S-65,67)* par he.

*_👉Mahare Muajjal Ke Ahkam:_*
Mahre Muajjal hone ki soorat  me aurat ko ye Ikhtiyar hasil he ki jab tak mahar wasool na karle shohar ko watee or muqdamate watee se baaz rakhe or shohar ko halal nahi ki aurat ko majboor kare agarche us se qabl aurat ki razamandi se watee w kahlwat ho chuki ho yaani ye haqqe mahar jab tak wasool na karle aurat ko hamesha hasil he.
Agar Shohar aurat ko safar me le jana chahta ho to aurat inkar kar sakti he. Mahar muajjal lene ke liye aurat agar watee se inkar kare to uski wajah se nafqa saqit na hoga.
Mahare muajjal ada na karne ki soorat me aurat bila ijazate shohar ghar se bahar balki safar me bhi ja sakti he jab ki Zaroorat se ho.
Aysa hi *📚bahare Shariyat, H-7, S-65,67* par he.

*_👉Mahare Maujal Ke Ahkam:_*
Agar maujal yaani me'ayadi he or me'ayad majhool(maloom na hona) he to mahar fauran dena wajib he. Hañ agar maujal he or me'ayadya thahri ke maut ya talaq par wusool karne ka haq he to jab tak maut ya talaq waqe'a na ho aurat mahar wasool nahi kar sakti or talaq ya maut waqe'a hui to ab ye bhi muajjal ho jayega yaani fil haal mutalba kar sakti he agar che talaq raja'ee ho magar raja'ee me Ruju'a ke baad fir maujal ho jayega.
Mahare maujal yaani me'ayadi tha or me'ayad puri ho gai to aurat apne nafs ko rok sakti he.
Aysa hi *📚Bahare Shariyat, H-7, S-65,66* par he.
Lekin sahih ye he ki me'ayad puri hone ke baad aurat mahar ka mutalba kar sakti he Magar apne aap ko uske liye kabhi rok nahi sakti. Khusoosan jab ki rukhsat ho chuki ho. Aysa hi *📚Fatawa Raviya, J-5, S-523* par he.

*_👉Mahare Mutlaq Ke Ahkam:_*
Mahare Mutlaq ka madar urf or aadat par he jis khitta me aam taur par ye riwaj ho ki maslan kul ya nisf ya rab'a ya kisi qadar peshgi lete he vaha itna peshgi dena hoga. Or jahañ urf yu he ki maut ya talaq ke bagair lena dena nahi hota.
(jaisa ki aam taur par Hindustan me yahi he) vaha jab tak zaujain me se kisi ka Inteqal waqe'a na ho mutalba ka ikhtiyar hasil na hoga.
Aysa hi *📚Fatawa Raviya, J-5, S-316* par he.

*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-1, S- 424)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts