Kya Huzur Ne Nasraniyo Ko Masjid Me Ibadat Karne Ki Ijazat Di ? Gair Muslim Ko Masjid Me Aana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya aaqa alaihissalam ne nasraniyo ko unke mazhab ke aitbar se ibadath ke liye masjid e nabavi me bulaaye they? MaazAllah.
Tafseer ibn kathir wa imam qurtabi ke hisab se  surah imran ki ayath 61 me shyad aisa likha hai wazahath farmadein

*🌹JAWAB:-🌹*
https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2019/07/kya-huzur-ne-nasraniyo-ko-masjid-me.html?m=1

Nabi e kareem ﷺ ne farmaya jis ne jaan bujh kar meri taraf jhuth mansoob farmaya vo apna thikana jahannam me bana le..

Huzure Akram  ﷺ ne hargiz har guz peshtagi nahi farmai thi. Asl waqe'aa is tarah he ki najran ilaqe se saath isaiyo ka ek wafd huzur  ﷺ ki khidmat hazir me hazir hua asr ki namaz ke waqt ye wafd bhi masjid me dakhil ho gaya.(us waqt musalman namaz padh rahe the)

Thodi der baad unki namaz ka waqt aa gaya to unhone apne tariqe ke mutabik masjide nabvi shareef me namaz shuru kar di. RasoolAllah ﷺ ne farmaya unhe chhor do. Un logo ne mashrik ki taraf munh karke namaz parhi.
*📚(Seerate Ibne Husham, J-2, S-574)*

Bahut se mufassireen ne use apni tafasir me bayan farmaya he magar unke asl makhuze takriba yahi he.

Ye Baat yaad rakhna zaroori he ke huzure akram  ﷺ ke paas masjid shareef ke alawa koi makhsoos mahman khana maujud na tha, har khaso aam ko wahi thahraya jata tha.. neez isaio ko aap  ﷺ ne khud masjide nabvi me namaz padhne ko nahi farmaya tha. Isaiyo ne huzur ﷺ se namaz ki ijazat bhi nahi mangi thi.. balki khud ba-khud namaz padhne lag gaye the to aap  ﷺ ne farmaya unhe chhor do..

_Imame Ahele Sunnat Aala Hazrat alaihir Rahmato Ridwan se kisi ne puchha ki masjid me hinduo se mimbar par lecture dilwaye gaye or kaha ki masjide nabvi me wafoode kuffar qayam karte the or apne tariqe se ibadat bhi karte the or kuffar ka dakhila makhsoos ba masjide haram ek khas waqt ke waste mana'a tha. Is ke jawab me Aap Alaihir Rahma likhte he..._

Ye kahna ki Masjidul Haram Shareef se Kuffar ka Mana'a ek khas waqt ke waste tha agar ye murad ki ab na raha to Allah ﷻ par sareeh iftra'a he,

قال اﷲ تعالٰی انما المشرکون نجس فلایقربواالمسجد الحرام بعدعامھم ھذا.
Allah Ta'ala ne Farmaya: Mushrik nare napak he to is baras ke ba'ad vo masjide haram ke paas na aane paye.
*📚(Sura E Taubah, Aayat-28)*

Yu hi Ye Kahna Ki wafoode kuffar masjide nabvi me apne tariqe par ibadat karte the, mahaz jhuth he, or Nabi e kareem ﷺ ke use jaiz rakhne ka ash'aar huzur ﷺ par iftra'e fujjar, hasha ki Allah ka Rasool go baar baar farmaye ki kisi masjid, na ki khas masjide madina kareem me, na ki khud huzure aqdas  ﷺ ke samne buto ya maseeh ki ibadat ki jaye.. jante ho ki us se unka maqsood kya he ki Musalman to usi qadr par naraz huye he ki mushrik ko masjid me Musalmano se uncha khara karke un ko wa'eez banaya vo to is tahiyya me he ki hinduo ko haq de ki masjid me but nasb karke unki dandoot kare, ghante bajaye, sankh phunke, kyu ke un muftariyo ke nazdik khud Huzure Aqdas ﷺ ki Masjid me khud huzur ke samne kuffar apne tariqa ki ibadat karte the.

ویلکم لاتفتروا علی اﷲ کذبا فیسحتکم بعذاب.
Tumhe kharabi ho Allah par jhuth na bandho ki vo tumhe azab se halak karde.
*📚(Sura E Taha, Aayat-61)*

Huzure Aqdas ﷺ ke liye masjide kareema ke siwa koi nashist gaah na thi jo hazir hota yahi hazir hota kisi kafir ki hazri Ma'azAllah bataure istilaa w iste'ala'a na thi balki zaleelo khwar ho kar ya islam laane ke liye ya tablige islam sunne ke waste, kahañ ye or kahañ vo jo bad khwahane islam ne kiya ke mushrik ko barauja ta'azeem masjid me le gaye use Musalmano se uncha khara kiya use Musalmano ka waeez w haadi banaya usme masjid ki tauhin hui or tauheene masjid haram, mushrik ki ta'azeem hui or ta'azeeme mushrik haram, bad khwahi muslimeen hui balki badkhwahi islam, fir use us par qayas karna kaisi sakht zalalat w gumrahi he tarha ye ki zabani kahte jate he ki mushrik ka bataure iste'ala'a masjid me aana zaroor haram he, or nahi dekhte ki aana bataure istila hi tha,

فانھا لاتعمی الابصار ولکن تعمی القلوب التی فی الصدور.
To ye aankhe andhi nahi hoti balki vo dil andhe hote he jo seeno me he.
*📚(Sura E Hajj, Aayat-46)*

Usi nabinai ki bina par ye Musalman ko dhoka dene wale yaha, hanfiya w shafaiya ka ikhtelafi mas'ala ke masjid me dukhoole kafir haram he ya nahi mahaz dhoka dene ko pesh karte he, qata'a nazar us se ki mas'ala me taheqiq kya he.
Awlan khud kutube muatameda hanfiya se mumane'at peda he,
Saniyan khud muharrire mazhab saiyedna imam Muhammad RadiAllahu Anhu ke irshad se huveda he.
Salisan aulma w sulha ka adab kya raha he ikhtilafe ahwale zamana w aadate qaum hamesba maail ta'azeemo tauheen me dukhul rakhta he.
Rabian gair islami saltanat or na Musalmano ki kasrat me ijazat ki isha'at or masajid ko pamali kuffar ke liye waqaf karna kis qadar bahi khwahi islam he.
Khamsan vo najis qaum ke ba nasse Qura'an is par hukm e najasat he or vo Musalmano ko milichh kahe, bhangi ke misl samje sauda beche to door se hath me rakh de, us ke najis badan, napak paanwo ke liye tum apni masjid ko waqaf karo ye kis qadar maslihate islam ke gahre rang me dooba huva he, in sab se qata'a nazar un harkaate shanee'aa ka us se kya ilaj ho sakta he.

(Usne guman kiya ke me ne uski misl kiya halanki vo larai ki justajoo karne wala us farq ko kese mahsoos kar sakta he)

Sahih Bukhari Shareef me Ameerul Mua'mineen Farooke aazam RadiAllahu Anhu se marwi he:
قَالَ کَانَتِ الْکِلَابُ تُقْبِلُ وَتُدْبِرُ فِی الْمَسْجِدِ فِیْ زَمَانِ رَسُوْلِ اﷲِ صَلَّی اﷲُ تعالٰی علیہ وَسَلَّمْ.
RasoolAllah ﷺ ke zamana me masjid shareef me kutte aate jate the.
*📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-29)*

Zamana e risalat me masjid shareef me kutte aate the ab tum khud kutte apni masjido or masjidul haram shareef ya masjide nabi ﷺ me le jaao or jumaa ke din imam ke daayeñ baayeñ mimbar par do kutte bithao tumhare istedalal ki nazar to yahi tak ho gai , kah dena kya zamana e aqdas me kutte masjid me na aate jate the, ham le gaye or mimbar par unhe bithaya to kya huva, or vo jo aane jane or yu le Jane or mimbar par unhe bithane ka farq he usse aankh band kar lena jaise yaha band karli, kon si aankh, dil ki ki.
وَلَٰكِن تَعْمَى الْقُلُوبُ الَّتِي فِي الصُّدُورِ.
Dil adnhe hote he jo seeno me he.
*📚(Sura e Hajj, Aayat-46)*

Balki khuda tumhe aqlo insaf de to ye bhi tumhare fe'al ki nazeer nahi, tum khateeb ke aas paas mimber par kutte bithao us se vo kutte khateeb na ho jayege, or tumne mushrikeen ko khateebe muslimeen banaya lihaza agar qadre fe'al se taqreeb chahi to un kutto ko sidhaao ke jab imam pahla khutba parh kar bethe vo nihayat baland aawaz se bhokna or rona shuru'a kar de ki bahar tak ke sab logo ko khabar ho jaye ki jalsa w dua ka waqt he, yu hi namaz ke waqt aath aath das das safo ke fasle se char char kutte saf me khare karo ki takbire Inteqal ke waqt cheekheñ or mukabbiro se zyada tablig ka kaam de or yahi hadeese bukhari hujjat me pesh kar dena ki dekho zamana e aqdas me kutte masjid me aate jate the balki unke aane se koi faida na tha or ham kutte se nafa'a e deeni ke liye le gaye, to badarja awla ye jaiz huva, vaha tak to qayas tha ye dalalatul nass hui or usme jo tumhare istedalal ki khabasat he na dekhna, kyu ki thahar gai he..
وَلَٰكِن تَعْمَى الْقُلُوبُ الَّتِي فِي الصُّدُورِ.

Dil andhe hote he jo seeno me he.
*📚(Sura e Hajj, Aayat-46)*

*📚(FATAWA RAZVIYA, J-14, S-390-393)*

_Hakimul Ummat Hazrat Allama Mufti Ahmad Yaar Khan naeemi sahab Alaihir Rahmato Ridwan zaroori note ka unwan qaim karte huye likhte he,_

Us wafd me masjide nabvi shareef me apni ibadat us waqt shuru'a kardi jab Musalman namaze asr parh rahe the. Musalmano ne ba'ade namaz unko unki ibadat se na roka. Is se ye lazim nahi aata ki ab ham mushriko ko apni masjido me pooja paat karne ki ijazat de. Unko na rokna aysa tha jaise ek badwi ne masjide nabvi shareef me peshab karna shuru'a kar diya to Huzur ﷺ ne farmaya ki use na roko. Usse masjido me peshab pakhana ki ijazat na hogi.
*📚(Tafsire Noorul Irfan, S-78)*

Mukhtasar yahi ki ye kahna ki Huzure Aqram  ﷺ ne Nasraniyo ko ya gair muslimo ko unke mazhab ke mutabik masjid me ibadat karne ki ijazat di, mahaz batil, or Allah w Rasool par Jhuth bandhna w iftra'a karna he. Or Jis ne Allah W Rasool par jaan buz kar jhuth bandha uska thikana jahannam he. Gair muslimo ko kisi bhi masjid me aane ki or unke mazhab ke mutabik ibadat ki ijazat dene ki hargiz islam me ijazat nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts