Salatul Asrar Namaze Gausiya Ka Saboot Or Tariqa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki salatul asrar jise namaj e ghousia bhi kaha jata hai uski asl kya hai? Use padhne ka tarika aur uske pdhne ki wajah kya hai... Tafseel ke sath javab ho to jald ata karen.. Zazkallah

*🌹JAWAB:-🌹*

Wa Alaikum Assalam Wa Rahematullah,

Salatul Asrar Jise Namaze Gausiya Bhi Kaha Jata He, ise padhne se allah ta'ala Padhne wali ki hajat puri karta he.

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Abu Dawood Huzaifa RadiAllahu Ta'ala Anhu se raavi, kahte he: Jab Huzure Aqdad  ﷺ ko Koi amr aham pesh aata to namaz parhte.
*📚(Sunan Abu Dawood, Hadis-1319, J-2, S-52)*

Is liye do Raka'at ya chaar parhe. Hadees me he, pahli raka'at me sura e fatiha or teen baar aayatul kursi parhe or baaqi teen raka'ato me sura e fatiha or Sura e Ikhlas Or Sura e Falaq Or Sura s Naas, ek ek baae parhe to ye aysi he jese shabe qadr me chaar raka'ats Parhe. Mashaikh farmate he: hamne ye namaz padhi or hamari hajat puri hui.

*_▶isi tarah se Salatul Asrar Ya namaze Gausiya Yane Namaze Hajat Ke Ta'alluk se Huzur SadrushShariyah aage Taherir farmate he,_*

Neez iske ta'alluk se(Yane Hajat Puri Hone ke Ta'alluk se) Ek mujarrab (yani tajarba ki hui) namaz salatul asrar yane namaze Gausiya he jo imam abul hasan nooruddin ali ibne jareer lakhmi shatnaufi *📚Bahjatul Asrar* me or Mulla Ali Qari w Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi RadiAllahu Anhum Huzur Saiyeduna Gause Aazam RadiAllahu Ta'ala Anhu se riwayat karte he, ia ki tarkeeb ye he ki ba'ad namaze Magrib sumnate parh kar do Raka'at namaz nafl parhe or bahetar ye he ki Alhamdu ke Baad har raka'at me gyarah gyarah baar Sura e ikhlas parhe salam ke baad allah ﷻ ki Hamdo sana kare fir Nabi  ﷺ par gyarah baar duroodo salam arz kare or gyraah(11) baae ye kahe,

یا رسول اللہ یا نبی اللہ اغثنی وامددنی فی قضاء حاجتی یا قاضی الحاجات
(Tarjama: Ay Allah ﷻ Ke Rasool ! Ay Allah Ke Nabi  ﷺ ! merj Fariyad ko Pahunchye or meri madad kijye, meri hajat puri hone me, Ay Tamam Hajato ko pura karne wale.)

Fir Iraq Ki janib gyarah(11) qadam chale, har qadam par ye kahe,

یا غوث الثقلین و یا کریم الطرفین اغثنی وامددنی فی قضاء حاجتی یا قاضی الحاجات.
(Tarjama: Ay Jinno Ins ke Fariyad ras or ay dono taraf (maa baap) se buzurg ! Meri fariyad ko pahunchye or meri madad kijye, meri hajat puri hone me, ay hajato ke pura karne wale.)
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-37)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲84

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

1 comment:

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts