Mooe Zere Naaf , Bagal , nakhun kab katna sunnat wajib or mustahab ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mooe zere naaf , bagal ke baal , or nakhun 40 din ke andar katna hai to kya ye sunnath hai ya wajib hai ? Aur kya 40 din rakhliye baad kaantna gunah hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

Mooe zere naaf yaani naaf ke niche ke baal or bagal ke baal or nakhun ka tarashwana mutlaqan sunnat he. Hafte me saaf karna mustahab he, Afzal ye he ki jumaa ke roz saaf kare or agar jumaa ko saaf na kar paya to pandarhve din saaf kare or uski intehai muddat 40 din he. 40 din se zyada din tak saaf na karna makroohe tahrimi or aysa karne wala gunahgar he.

_Huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Har jumaa ko agar nakhun na tarashwae to pandarve din tarashwae or uski intahai muddat chalis 40 din he iske ba'ad na tarashwana mamnoo'a he. Yahi hukm munchhe tarashwane or muye zere naaf door karne or bagal ke baal saf karne ka he ki chalis din se zyada hona mana'a he.

Mooe  zere naaf door karna sunnat he. Har hafta me nahana, badan ko saaf suthra rakhna or mooe zere naaf door karna mustahab he, or bahetar jumaa ka din he, or pandarhve(15) roz karna bhi jaiz he or chalis roz se zaaid guzar dena makrooh w mamnoo'a.
*📚(BAHARE SHARIYAT,. H-16, S-584)*

_Or Aala Hazrat alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Chalis roz se zyada nakhun ya mooe bagal ya mooe zere naaf rakhne ki ijazat nahi, ba'ad chalis roz ke, gunahgar hoge, ek aadh baar me gunahe Sageera hoga aadat dalne se kabeera ho jayega fisq hoga.

Durre Mukhtar me he,
کرہ ترکہ وراء الاربعین
Chalis roz se zyada chhor dena makrooh he۔
*📚(Durre Mukhtar, J-2, S-250)*

ای تحریما لقول المجتبی ولا عذر فیما وراء الاربعین ویستحق الوعید۔

Yaha karahat se makroohe tahrimi murad he. Almujtaba ke is qaul ki wajah se chalis din se zyada der lagane me koi azr (maqbool) nahi, lihaza agar aysa kiya to fir azab ki dhamki ka mustahiq he.
*📚(Raddul Mohtar, J-5, S-261)*
*📚(FATAWA RAZVIYA, J-22, S-667)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts