Eid Ki Namaz Me Sajda E Sahw He Ya Nahi ?

*🌹SAWAL🌹*
Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh kya Eid ki namaz mein sajde sahu ho sakta hai

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam w Rahematullah,

Ji Eidain Ki Namaz Me Bhi Sahw Hone par Sajda e Sahw he. Agar Muqtadio Ki Ta'adad Zyada ho to bahetar ye he ki Sajda e Sahw Na kare.

_Jaisa Ki huzur SadrushShariyah Alahir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he_

Eidain Ki sab takbire ya ba'az bhul gaya ya zaaid kahi ya gair muhal me kahi un sab soorto me sajda e sahw wajib he.

Imam Takbirate Eidain bhul gaya or Ruku'a me chala gaya to lot aaye or masbook Ruku'a me shamil hua to Ruku'a hi me takbire kahe.

Eidain me dusri raka'at ki takbire Ruku'a bhul gaya to sajda e sahw wajib he or pahli raka'at ki takbire Ruku'a bhula to nahi.

Juma W Eidain Me sahw waqe'a huva or jama'at kaseer ho to bahetar ye he ki Sajda e Sahw Na kare.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, S-64, Application)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲848792

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts