*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaykum warahmatullah
Kya Electric Shot se marne wale ko Shaheed kaha Jayega???
Rehnumai Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis zamaney men fiqh ki kitaben likhi gayin thi tab electricity nahi thi to uska zikr kitabon men direct us naam se nahi milega ... Bahar e ShariAt men hai ke jal kar marney wala bhi Shaheed hai. Iski raushni men electricity se jalkar marney wala bhi shaheed ke Hukm men hoga
*📚Bahar e ShariAt hissa 4th*
*✍Al-Jawab:- Hazrat Janab Masood Noori Sahab, Jaipur Rajasthan*
Allama Alauddin Haskafi Alaihir Rahma Farmate he,
والغریق والحریق الخ....
*📚(DURRE MUKHTAR MA'A RADDUL MOHTAR, J-2, A-252, DAEUL KUTUB)*
Shohdae hukmi me se doob kar marne wala or jal kar marne wala bhi he.
Bijli aag ki Aala Qism he lihaza us se jal kar marne wala bhi shahadat ka darja Payega.
*✍ Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Muhammad Shakeel Akhtar Qadri Barkati Sahab Qibla*
*_📬Shaikhul Hadees Ba-Madrasarul Banat Maslake Aala Hazrat Sadrus Soofa, Hubli Karnataka_*
Sab se Pahle ye Jaan le ki Shaheed ki 2 qisme he,
1 Shaheede kamil:
Jo Dunya or aakhirat dono ke aetbar se shaheed ho. Yaani aakherat me bhi us ko shahid ka sawab milta he or dunya me bhi uska hukm aam mardo se alag hota he. Usko gusl nahi diya jata or us ke kapde wagairah nahi utare jate..
2. Shaheede Hukmi:
Jo sirf Aakherat ke aetbar se Shaheed ho yaani usko Aakherat me shaheed ka sawab milta he. Albatta dunya me us ka hukm aam murdo ki tarah hota he. Ki gusal wagairah diya jaye jo aam muslim murde ke sath karte he kiya jaye.
Shaheede Hukmi ki Ek taweel Faherisht he, jis me se ek Jal kar marne wala bhi Shamil he.
_Jaisa ki bahare Shariyat Me He,_
Shahadat sirf usi ka naam nahi ki jihad me qatl kiya jaye balki ek hadis me farmaya, uske siwa 7 shahadate or he,
1. jo Ta'aoon se mara shaheed he.
2. Jo Doob kar mara shaheed he.
3. Zaatul Janab (Nimonya) me mara shaheed he
4. Jo pet ki Bimari me mara shaheed he.
5. Jo jal kar mara shaheed he.
6. Jis ke uper diwar wagairah dhah pare or mar jaaye shaheed he.
7. Aurat ke bachcha paida hone ya kuware pan me mar jaye shaheed he.
*📚(Sunan Ibne Maja, Hadis-1597, J-2, S-266)*
*📚(Musnad Imam Ahmad bin Hambal, Hadis-1734, J-1, S-429)*
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-4, S-208)*
Lihaza Jal Kar marne wala bhi shaheed ka Sawab milta he.
Or Bijli aag ki aala Qism me se he is ls liye bijli se jal kar marne wale ko bhi shaheed(hukmi) ka sawab diya jayega.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲8487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment