*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
*Kya Ye Kalam Shia Ka He ? Or Kya Isme Koi Khilafe Shara'a She'ar He ? Iska Parhna Ya Sunna Kesa ??*
Jaanam Fida -e- Haideri Ya Ali Ali Ali
Hai Muhammad Mera Dil Tu Seena Ali
Mere Jinay Ka Waheed Qareena Ali
Deen -e- Islam Ka Ha Nagina Ali
Haq Ki Manzil Ka Pehla Hai Zeena Ali
Dasht Mai Abr Ka Pehla Qatra Ali
Mera Murshad B Aaqa B Mola Ali
Ali Mola Ali
Har Su Saday-e-Haideri Ya Ali Ali Ali
Subah Se Shak Tak Har Pahar Har Ghadi
Lab Py Apnay Rahy Nar-e-Haideri
Yani Khyber Shikan Yani Mushkil Kusha
Baad -e- Yazdañ K Hai Dosra Aasira
Mai Musibat Mai Ab Kyuñ Parishan Rahuñ
Gham Ke Maron Ka Hai Tu Sahara Ali Ali Mola Ali
Ramz -e- Baqa-e-hashmi Ya Ali Ali Ali
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aaj Kal Log Na Jaane Kis Kis Ke Kalam Or Ash'aar Parhte Hai Kuchh Pata Hi Nahi Chalta Ki Likhne Wala Kon Hai Or Kis Aqeede Ka Hai.
Khas Kar Upar Likhe Gair Ma'aroof Kalaam,, Jin Me Niche Unke Maujud Shayar Ka Naam Bhi Nahiñ Hota Ab Ayse Laa Waris Ke Bare Me Kaise Kaheñ Ki Kisi Rafzi Ka Takhayyul He Ya Sunni Ka... Bahut Se Sunni Kahalwane Waloñ Ke Ash'aar Bhi Aaj Kal Is Tarah Zad Me Milte Hai...
Ab Rahi Baat Is Kalaam Ke Ta'alluq Se To Yahañ Qabile Gaur Or Mahalle Nazar Baat Ye Misra'a He Jis Se Qaail Ke Rafzi Hone Ki Taraf Musheer He.
*Baade Yazdaañ Ke Hai Dusra Aasra*
Yazdaañ Ka Lafz Farsi Or Urdu Me Allah Ke Liye Hi Bola Jata He Lihaza Ab Ma'ana Ye Huve Ki Allah Pahla Sahara W Madadgaar Or Uske Baad Dusre Number Par Agar Koi Sahara Or Madadgaar He To Vo Hazrat Ali (رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ) Hai.
Matlab Saaf He Ki Khuda Ke Baad Ali Ka Maqaam !!! Ma'azallah
Agar Likhne Or Parhne Wale Ki Niyat Baad Az Khuda Buzurg Tooi (Khuda K Baad Tu Hi Sab Se Buzurg) Ki He To Beshak Ye Hazrat Ali Ko Huzure Paak ﷺ Or Tamam Ambiya Par Fazilat Dena Kahlayega.
Or Khuda Ke Baad Jo Sab Se Afzal Hai, Baaqi Sari Khalq Khuda Tak Rasaai Me Usi Ke Tufaili Hote Hai.. Is Soorat Me Huzur Or Tamam Ambiya علی نبیینا و علیہم السلام Hazrat Ali Ke Tufaili Hoñge... Ma'azallahi Ta'ala...
Or Gaire Nabi Ko Nabi Se Afzal Janna Kufr Hai,
*📚ManhurRauzil Azhar Me Safa۔ 121* Par Hai۔
أنّ الولي لا یبلغ درجۃ النبي، فما نقل عن بعض الکرامیۃ من جواز کون الولي أفضل من النبي کفر وضلالۃ وإلحاد وجہالۃ
K Wali Nubuwwat K Darje Ko Nahiñ Pahuñch Sakta Or Ye Jo Kuchh Karramiyo Se Manqool Hai K Wali Nabi Se Afzal Ho Sakta Hai Aysa Aqeeda Kufr O Gumrahi Aur Ilhad O Jahalat Hai.
*📚(Bahare Shariat Hissa-1, Aqaaid Muta'lliqa Nabuwwat, Aqeedah-22)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Qazi E Shahar, Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Markazul Uloomil Islamiyah Al-Madrasatul Alwiyyah, Petlad_*
*🗓️21 Sep 2021, 13 Safarul Muzaffar 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•