Biwi Ko Phone Par Kaha Tujhe Talaq Deta Hu To Kya Talaq Ho Jayegi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum, Mufti Sb Sawal Hai, Zaid Ne Apni Zauja Ko Naam Lekar Kaha Tujhe Talaaq Deta Hun, Dobara Phir Kahne Wala Tha Itne Mein Uski Zauja Ne Call Cut Kar Diya, Zaid Dubai Me Tha, Aurat Pak Mein, (ye Bakne Ke Baad Zaid Pareshaan Hai Ye Maine Kya Keh Diya Aur Ulma Ikram Se Puchne Ko Kaha,) Hazrat Kya Talaaq Waqayi Ho Gayi??? Ispar Huqm Farmayen

*🌹JAWAB:-🌹*

Fasiq Ki Apni Namaz Hogi Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Huzr,
Mene Masla Suna Tha Ki Fasiq Ki Namaz Nahi Huti ......
Ab Ek Dhadi Mundane Wala 5 Time Namaz Phade Tu Kya Us Ki Namaz Hugi ???? 
Huzr Tafsil Se Bataye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dadhi Munde Ki Namaz Hoti To He Magar Makroohe Tahreemi Hoti He Ki Dubara Ayb Door Karke Padhi Gai Namaz Ko Dohrai Jaaye..

Dadhi Mundana Haram He Or Fe'ale Haram Ka Irtekaab Gunah, Gunah Je Sath Namaz Ada Karna Makroohe Tahreemi Or Jab Namaz Kisi Makroohe Tahreemi Ke Sath Ada Ho To Wajibul Ae'aada Hoti He..

Fuqha Farmate Hai
کل صلاۃ ادیت مع الکراھۃ التحریم تجب اعادتھا ھ
Kyuñ Ki Jab Bahalate Namaz Gunah Ka Irtekab Karta Raha To Namaz Gunah Par Mushatamil Hui Yaani Uski Namaz Ek Haram Amr Par Mushatamil Hui, Or Karahat Ke Liye Ishtimaal (Shumuliyat) Kaafi He Vo Makrooh Dakhil Ho Ya Kharij Jaise Mard Ko Resham Ka Kapda Istemal Karna Gunah He Sona Istemal Karna Mamnoo'a He Agar Koi Shakhs Resham Ka Kapda Ya Sone Ki Angushtari Pahante Huve Namaz Ada Kare Jaise Ye Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hui Waise Hi Dadhi Munda Shakhs Ki Khud Ki Namaz Makroohe Tahreemi Wajibul Ae'aada Hogi Ki Namaz Us Gunah Par Mushatamil Hui He Jo Gunah Usne Dadhi Munda Kar Kiya He..
*Makhuz 📚(Fatawa Mustafwiya, S-185)*

Dadhi Mundana Haram He To Khud Allah Ta'ala Ke Darbar Me Is Tarah Hazir Hona Kis Darja Gustakhi W Be Adbi Hoga, Jo Baat Ghar Beth Kar Tanhai Me Karna To Qanoonan Sultani Me Jurm Ho Vo Khud Bargahe Sultani Me Uske Huzur Khade Ho Kar Karna Kaisi Sareeh Be Baaki Or Badshah Ka Maujube Narazi Hoga..والعیاذ باللہ

Or Fatawa Bahrul Uloom Me He,
Dadhi Munde Ki Namaz Hoti To He Magar Makroohe Tahreemi Hoti He Ki Dubara Ayb Door Karke Padhi Gai Namaz Ko Dohraai Jaye. 
کل صلاۃ ادیت مع الکراھۃ التحریم تجب اعادتھا ؛
Magar Usne To Dadhi Munda Rakhi He Dubara Sehat Ke Sath Padhega Kaise ? Albatta Mundane Par Taubah W Astagfar Karke Padhe To Or Baat He, To Mukhtasar Ye He Ki Is Tarah Namaz Padhne Ke Baad Bhi Aakhirat Me Muwakhiza Hoga, Agar Sahih Tareeqah Se Dohraai Nahiñ, Haañ Uska Azab Tarike Salaat Se Kam Hoga..
*📚(Fatawa Bahrul Uloom, J-1, S-444)*

Or Fatawa Tajushshariya Me He,
Dadhi Munde Ki Namaz Makroohe Tahreemi He Ki Baade Taubah Ae'aada Chahiye Uski Namaz Ho Jati He Baayeñ Ma'ana Ki Farz Ada Ho Jata He Magar Namaz Me Fisq Ki Wajah Se Nuqsan Hota He, Jiski Wajah De Uska Ae'aada Wajib He.. Kuchh Log Kahte Hai Namaz Bilkul Nahiñ Hoti Isse Taubah Lazim He..
*📚(Fatawa Tajushshariya,  J-3, S-132)*

Lihaza Fasiq Ki Namaz Ho To Jati Magar Makroohe Tahreemi Ki Ayb Door Karke Lautaai Jaye... Iske Bajaye Namaz Chhhod Hi Dena Sakht Gunah W Azab Hoga, Baharhaal Halate Fisq Me Bhi Namaz Chhodna Jaaiz Nahiñ, Namaz To Padhi Hi Jayegi. Or Is Dadhi Mundane Se Jald Taubah Kare.. Or Ye Kahna Ki Bilkul Namaz Hoti Hi Nahiñ Ye Galat He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 Oct 2022, 26 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Gusl Farz Tha Or Kapde Badalne Ke Baad Yaad Aaye Ke Kulli Karna Rah Gaya To Kya Dubara Gusl Karna Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ
Agar Kisi Par Gusl Farz Hua Ho Or Usne Saara Jism Dho Lia Magar  Kulli Ya Garara Dono Hi Ni Kia Kapdy Badlne K Baad Zaid Ko Yaad Aya K Ek Farz Rehgya H, To Is Surat Me Ghusl Dobara Krni H Ya Srf Wo Farz Ada Krne Se Hojayega?

Dono Rakat Me Ek Hi Surah Padhle To Namaz Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat

Agar Farz Namaz Ke Dono Rakat Me Surah Fatiha Ke Baad Ek Hi Surah Pad Liya Ho Aur Salam Ferne Ke Baad Yaad Aye To Kya Namaz Ho Jayegi Ya Dohrani Padegi

Sirri Namaz Me Kitni Aawaz Se Qirat Karni Chahiye ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Zohar Aur Asr Mein Itni Awaaz Se Qirat Krrna Zaruri Hai Ke Khud Ke Kaan Sun Le ? Kitni Awaz tak gunjaish hai

*🌹JAWAB:-🌹*
Aahista Qiraat Me Itni Aawaz Honi Chahiye Ki Agar Bahra Na Ho Or Na Hi Sunne Ka Koi Marz Or Shoro Gul Na Ho To Khud Sun Sake.. Agar Itni Aawaz Bhi Na Ho To Namaz Na Hogi..  

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Aahista Padhne Me Bhi Itna Zaroor He Ki Khud Sune, Agar Huroof Ki Tas'heeh To Ki Magar Is Qadar Aahista Ki Khud Na Suna Or Koi Maane'a Maslan Shoro Gul Ya Sakle Sama'at (Yaani Uncha Sunne Ka Marz) Bhi Nahiñ, To Namaz Na Hui..
*📚(Bahare Shariyat, Jild-1, Hissa-3, Safha-511, Faraaize Namaz, Qiraat Ka Bayan)*

Kuchh Log Qura'an Shareef Ki Tilawat Namaz Ke Bahar Ya Namaz Me Kuchh Padhte He To Sirf Hont Hilate Hai Or Aawaz Bilkul Nahiñ Nikalte Unka Ye Padhna Padhna Hi Nahiñ.. Is Tarah Padhne Se Namaz Hi Nahiñ Hogi.. Or Qura'an Ki Tilawat Karne Se Is Tarah Sawab Bhi Na Payeñge..
Aahista Padhne Ka Matlab Ye He Ki Kam Az Kam Itni Aawaz Zaroor Nikle Ki Koi Rukawat Na Ho To Khud Sunle..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️23 Oct 2022, 26 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Naat Shareef Ko Mobile Ki ringtone Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
As Sallam Alaikum Hazrat Mera Suwaal H Ki Mobile Me Naat Sharif Ki Ring Tone Lagana Kaisa Hai Latrin Me Jao Phone Aajae Naat Bajne Lge

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bahetar Yahi He Ki Qura'ani Aayat, Naat Shareef Ya Manqabat Wagairah Ko Mobile Ringtone Par Na Rakhi Jaye...

Jaisa Ki Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan
Bahetar Yahi He Ki Ringtone Ko Qura'ani Aayat Wagairah Na Rakhi Jaye, Is Liye Ki Naat Ko Sunne Ka Ya Zikr Ko Sunne Ka Ya Qura'ane Azeem Ko Sunne Ka Jo Asl Fayida He Vo Isse  Mutahaqqaq (Sabit Shuda) Nahi Hota..
Http://jamiaturraza.com/session/21Feb10/33.mp3
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 Oct 2022, 26 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Munfarid Ka Sirri Namaz Me Baland Aawaz Se Qirat Karna

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum, 
Agar Bina Jhar Wali Namaz(zohar,asr)mein Tanha Namaz Padhne Wala Awaaz Ke Sath Qirat Krrta Hai Toh Kya Namaz Hojayegi?

Jannat Me Zyada Garib Or Dozakh Me Zyada Aurte Hogi Hadees Ki Tashreeh

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Is Hadis Ki Tasrih Mil Sakti Hai Kya,

Huzur  ﷺ Irshad Farmate Hai Ki Jannat Me Jane Wale Zyadatar Garib Log Honge Or Jahannam Me Zyadatar Aurteñ Hongi. (Muslim, Hadees-6833)

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nabi  ﷺ Is Me Bayan Farma Rahe Hai Ki Aap  ﷺ Ne Jannat Me Jhaank Kar Dekha To Usme Zyadatar Gareeb Log The Kyuñki Gareeboñ Ke Paas Aysi Koi Shay Hoti Hi Nahiñ Jo Unheñ Sarkashi Banaye. Ye Log Pabande Deen Or Matee'a W Farmaañ Bardaar Hote Hai. Isi Liye Jo Shakhs Aayat Me Gauro Fikr Karta He Uspar Ye Aashkaara Hota He Ki Sahibe Haisiyat Or Ameer Log Hi Rasooloñ Ko Jhutlaate Hai Jab Ki Kamzor W Natawañ Log Rasooloñ Ki Pairvi Karte Hai Is Liye Jannat Me Zyada To Yahi Log Hoñge.. 

Hadees Se Ye Sabit Nahiñ Hota Ki Har Gareeb Ko Har Ameer Par Fazilat Hasil He Balki Iska Mafhoom Ye He Ki Jannat Me Gareeb Log Ameer Logoñ Se Zyada Hai Or Isi Baat Ki Aap ﷺ Ne Khabar Di He. Unki Gurbat Unke Jannat Me Jane Ka Sabab Nahiñ Agarche Uski Wajah Se Unke Hisab Me Kuchh Takhfeef Zaroor Hogi. Iske Bajaye Vo Apni Rastagi Ki Wajah Jannat Me Jañyege. Gareeb Aadmi Agar Rasta Roo Na Ho To Use Koi Fazilat Hasil Nahiñ Hoti. 

Isi Tarah Nabi ﷺ Ne Bataya Ki Aap  ﷺ Ne Jahannum Me Jhaank Kar Dekha To Usme Zyadatar Aurteñ Nazar Aayiñ. Kyuñ Ki Aurtoñ Me Aysi Buri Aadat Hoti Hai Jin Ka Rang Unki Tabiyatoñ Par Haawi Ho Jata He Or Vo Ume Rach Bas Jaati Hai. Shohar Ki Nashukri Or Kasrat Ke Sath La'ano Tan Karna Unhiñ Buri Aadat Me Se He. Is Liye Un Par Zaroori He Ki Apne Deen Ki Hifazat Kareñ Taaki Jahannum Se Mahfooz Raheñ.
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafwiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️4 Oct 2022, 7 Rabi Ul Awwal 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

3 talaq Ke Ho Jane Ke Baad Ye Kahna Ki Aysa Qanoon Nahiñ Mante, Aulma Ko Galiya Dena, Hindu Dharm Ke Qanoon Ko Achha Kahna

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 

Kya Farmate Hai Ulma E Deen Wa Sharah Mateen Is Masle Me 

Ki Zaid Ne Apni Biwi Ko    3 Talaq Di Shariyat Ka Huqm Hai Ab Halala Hoga Ye Qanoon Batane Par Zaid Ke Walidain Aur Behan Ne Is Qanoon Ko Manne Se Inkar Kar Diya Aur Iski Shadd O Mad Ke Sath Mukhalifat Ki Aur Mugallazat Baki 

Walid Ne Kaha Ki Ahl E Honood Ka Mazhab Sahi Hai Aur Wo Sahi Kahte Hai Ki Musalmano Ka Koi Dharm Nhi Hai Aur Shariyat Ko Gali Bhi Di

Walida. Ne Kaha Ki Ham Is Qanoon Ko Nhi Manenge Aisa Kuch Nhi Hai

Behan Ne Bhi Is Kanoon Ko Manne Se Inkar Kiya Aur Ulma Ki Ma Tak Ko Galiyan Di

*huzoor Aise Logo Pr Shariyat Ka Kya Huqm Hai Jo Deen E Islam Ki Mukhalifat Kare Aur Galiyan De*

Hame Iska Tahreeri Jawab Fatwe Ki Shakl Me Chahiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Iska Hukm To Zaahir He, Ek Aam Musalman Bhi Iska Hukm Zaroor Aapko Dega Ki Yaqeenan Mazhabe Islaam Ko Gaali Dene Wala, Aulma E Islam Ko Gaali Dene Wala, Qura'an O Hadees Ke Huqm Ka Inkaar Karne Wala, Kaafiro Murtad He.. Or Usne Jo Ye Kaha Ki Ahle Hunood Ka Mazhab Haq He Sahih He..sarih kufr hai...
Algraz In Jumloñ Me Kai Ek Kufr Maujud He...
1. Usne Mazhabe Islaam Ke Qawaanin Ko Galat Sabit Kiya..
2. Mazhabe Islaam Ko Usne Gali Di..
3. Aulma E Kiraam Jo Masaaile Haq Ka Bayan Karte Hai Unko Gaali Di..
4. Usne Qura'an O Hadees Ke Ahkaam Ko Maanne Se Inkar Kar Diya..
5. Hinduoñ Ke Qanoono Ko Sahih Kaha..
6. Hinduoñ Ke Mazhab Ko Usne Sahih Kaha..
7. Mazhabe Islaam Ke Qanoon Ko Usne Galat Qaraar Diya...

Or Bhi Bahut Sare Kufriyat Isme Maujud He.. Ayse Logoñ Par Zaroori He Ki Vo Jald Az Jald Taubah Kare, Rab Tabarak W Ta'ala Ki Bargah Me Roye Gidgidaaye, Kalma Padhe, Or Aaindah Ayse Qism Ke Kisi Bhi Jumle Ka Istemal Hargiz Hargiz Na Kareñ.. Or Shadi Shuda Ho To Dubara Nikaah Kare, Mureed Huaa Ho To Bay'at Kare... Agar Ye Log Aysa Nahiñ Karte Hai To Fir Unke Rishtedaroñ Par Unke Mohalle Waloñ Par Or Ahle Shahar Par Zaroori He Ki Vo Ayse Logoñ Ka Boycott Kare..

Is Par Bahut Sare Hawale Bhi Pesh Kiye Ja Sakte Hai, *📚Fatawa Razviya Mutarjim Jild-14 Or Jild-15* Ka Muta'ala Kare To Wazeh Ho Jayega Ki Yaqeenan Uske Ye Tamam Kalimat Kufriya He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️2 Oct 2022, 5 Rabi Ul Awwal 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khuda Ne Fursat se banaya hoga, Wagairah Kufriya ash'aar ka hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum., 
Zaid Ne Aisa Jumla Kah Ke 
Khuda Ne Jab Tujhe Fursat Se Banaya Hoga ,ek Surur Uske Dil Mein Aya Hoga(aur Is Sher Ke Akhir Mein Usne Kaha Ke Sach Kehta Hu Khuda Ka Bhi IMAAN Dagmagaya Hoga ) Ab Ye Shayri Status Prr Lagane Wale Prr Kya Huqm Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Ash'aar Kufriya Hai, Inke Padhne, Gungunaane Our Status Par Rakhne Wale Par Toubah ,tajdeed E Iman W Nikah (Agar Biwi Wala Ho)our Tajdeed Bay'at Lazim.
معاذ اللہ
Allah Subhanahu Ta'ala Ke Liye Ayse Kalimaat Bolna Sarasar Kufr He... Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️24 Sep 2022, 26 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Kya Tamam Aasmani Kitabo Par Iman Lana Zaroori He

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum,   
Aasmani Kitabon Prr Iman Lana Zaruri Hai Ya Nhi ?

Ise, Use Jese Alfaz Se Talaq Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum Wa Rahmatulahi Wa Barkatuh

Abhi Zaid Ka Nikah Nhi Hua Usne Ye 3 Jumle Kahe

1. Agar Woh Hai Toh Use Talaq 
2.agar Tu Hai Toh Tujhe Abhi Se Talaq 
3 Agar Ye Hai Toh Isse Talaq 
(Inn Teeno Hi Jumle Mein Kisi Ka Naam Nhi Liya Na Kisi Ladki Se Rista Tay Hua )

Ab Isske Parent Uski Shadi Ki Baat Krr Rahe Hai Toh Agar Woh Nikah Krega Toh Talaq Hojayegi Ya Nahi ?

Imame Husan Ke Qatl Ka Ilzam Hazrat Ameer Muaawya Par Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Salaam Hazrat 

Qatl E Imam Hasan Ka Ilzaam Ameer E Muavia Pr Lgane Walo Ko Kya Jawab Diya Jaye ? 
Rehnumai Frmaye

Kya Jinnat Camera Me Qaid Ho Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa  Rehmatullahi Wa Barakatuhu

Sawal Hai Kya Jinn Camre Me Kaid Ho Sakte Hai Jawab Inaayat Farmaye????

Bagair Wuzu Fatiha Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 

Bina Wazu Ka Fatiha Padhna Kaisa Agar Pani Pass Mein Na Ho To Kabristan Main Kahin Pani Na Ho ....

Bechaini Or Sine Me Dard Ka Roohani Ilaj

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hazrat Ek Sawal Hai Apse Bhut Bechaini Hoti Hai Dil Gabrata Hai Kisi Se Bhi Milne Ka Maan Nhi Hota Na Hi Baat Karne Ka Bhut Din Se Aisa Hota Hai Kuch Bta Diye Bechaini Bhut Seene Me Dard Hota Hai Ajeeb Sa Doctor Ko Dekhaya Hai Laikin Wo Bolain Kuch Bhi Nhi Sab Normal Hai Uske Baad Bhi Dard Hota Hai Bas Rona Ata Hai Pls Kuch Btaiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qura'an Ki Tilawat Kasrat Se Kare, Kyuñ Ki Allah Ke Zikr Se Dil Munawwar Hota He, To Qura'an Padheñge To Aap Ko Achchha Lagega, Namaz Ki Pabandi Kareñ, Kasrat Se Duroode Paak Padheñ, Or Nekiyoñ Ki Koshish Ki Taraf Raagib Hoñ, Gunahoñ Se Bache Istigfaar Kare, Kyuñ Ki Gunah Aadmi Ko Muztarib W Bechain Rakhta He, Lihaza Gunahoñ Se Bache Bawuzu Rahe, Namaz Ki Pabandi Kareñ, Or Qura'an Ki Tilawat Zyada Se Zyada Kare, InshaAllah Kuchh Hi Waqt Me Aapko Is Pareshani Se Najaat Mil Jayegi...
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Kalimur Rahman Sahab Qibla, Baraily Shareef*
*🗓️28 Sep 2022, 1 Rabi Ul Awwal 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Saiyed Ko Gaali Dene Wale Par Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Ulma E Deen W Muftiyane Shara'a Mateen Masla Zail Ke Bare Me Ki,

Baqar Ek Saiyed Zaade He,
Zaid Jo Gaire Saiyed He Ek Taraf Zaid Sadat E Kiram Ka Adabo Ehteraam, Tazeemo Tauqeer Karne Ka Dawa Karta He, Or Dusri Taraf Ek Saiyed Ki Muhabbat Me Dusre Saiyed Zade Ke Liye Nihayat Hi Bhadde Or Tauheen Aamez Alfaaz Bhi Bakta He Yahañ Tak Ki Nangi Nangi Galiyañ Bhi Bakta He..
Or Jab Zaid Ko Esa Karne Se Mana Karte Hai Zaid Saiyed Sahab Ki Siyadat Ka Hi Inkar Kar Deta He. Halañki Zaid Ke Baap Dada Baqar Ko Saiyed Mante Rahe Hai Aayañ Soorate Me Zaid Ke Liye Kya Hukme Shara'a He Zaid Muhibbe Ahle Bayt He Ya Gustakhe Ahle Bayt..
Mudallal Mufassal Jawab Inayat Farmaye..

*🌹JAWAB:-🌹*

Ek Biwi, Ek Ladka, Ek Ladki Ho To Jaidad ka Batwara Kese Hoga ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Shaks He Uski Ek Bivi Aek Ladka Aur Aek Ladki He. Us Shaks Ne Anpa Purana Makan 500000/- Me Becha Tha. Ab Us Shaks Ka Intekal Ho Chuka He. Us Makan Ki Kimat Ka Batwara Kese Hoga?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Puri Jaaidaad Ka 8vañ Hissa  Bivi Ko Milega.. Ab Jo Bacha Uska 
        لِلذَّكَرِ مِثْلُ حَظِّ الأُنثَيَيْنِ 
*📚(Surah Nisa, Aayat-11)*

Ke Mutabiq Ek Hissa Ladki Ko Aur Us Se Double Ladke Ko Milega ....is Taqsim Ki Bina Par 5 Lakh Me Se Bivi Ko 62,500 (Sixty Two Thousand Five Hundred)...

Ladki Ko 1,45, 833.3 (One Lakh Forty Five Thousand Eight Hundred Thirty Three Point Three).

Aur Ladke Ko 2,91,666.7 (Two Lakh Ninty One Thousand Six Hundred Sixty Six Point Seven) Mileñge ..
واللہ تعالی اعلم بالصواب
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️24 Sep 2022, 26 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Cricket Tournament Jeet Ke Liye Dua Karna ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Koum Cricket Turnament Karti Us Me Alag Alag Goun Ki Team Hoti Hai Sab Taiyari Ho Chuki To Ek Bhai Ne Niche Likha Hua Massage Likh Kar Group Me Bheja Or Us Me Kai Log Ne Dua Ka Bhi Msg Kiya To Niche Likhe Hue Msg Likhne Wala Or Us Dua Karne Wale Par Kya Huqm Hoga  ? 

અલ્હામદોલલીલાહ ટુર્નામેન્ટ્સ ની બધી તૈયારીઓ થઈ ચૂકી છે. *RSA*
ની ટીમ ખુબજ મહેનત કરી રહી છે, અલ્લાહ થી દુઆએ કરીયે કે અલ્લાહ તેમની મહેનત તેમની દિલી તમન્ના ને હબીબે પાક ﷺ ના સદકે કામયાબી થી નવ્વાઝી કોમ માં આપાસ માં યુનિટી પેદા કરીને એક પયગામ  આમ કરીયે

Cricket Team Ki Jeet Ke Liye Dua Karna Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*

Ek Koum Cricket Turnament Karti Us Me Alag Alag Goun Ki Team Hoti Hai Sab Taiyari Ho Chuki To Ek Bhai Ne Niche Likha Hua Massage Likh Kar Group Me Bheja Or Us Me Kai Log Ne Dua Ka Bhi Msg Kiya To Niche Likhe Hue Msg Likhne Wala Or Us Dua Karne Wale Par Kya Huqm Hoga  ? 


અલ્હામદોલલીલાહ ટુર્નામેન્ટ્સ ની બધી તૈયારીઓ થઈ ચૂકી છે. *RSA*

ની ટીમ ખુબજ મહેનત કરી રહી છે, અલ્લાહ થી દુઆએ કરીયે કે અલ્લાહ તેમની મહેનત તેમની દિલી તમન્ના ને હબીબે પાક ﷺ ના સદકે કામયાબી થી નવ્વાઝી કોમ માં આપાસ માં યુનિટી પેદા કરીને એક પયગામ  આમ કરીયે

Aurat Ka Parde Ke Sath Mazar Par Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ علمائے کرام جواب عطا فرمائے 
Kiya Aurat Parde Ki Halat Mai Mazarat Pe Jaskti Hai Hawala Ke Sath Jawab Ata Kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mazaarate Awliya Par Jana Unse Faiz Hasil Karna Zaroor Mustahsan Or Jaaiz Amal He.. Magar Aurtoñ Ko Mazaarat Ki Hazri Ke Liye Nikalna Haram He Unhe Mutlaqan Mana'a Kiya Jayega... Chahe Burhi Ho Ya Jawan, Ba Parda Ho Ya Beprda, Faahsha Ho Ya Paarsa Mutlaqan Aurtoñ Ko Mazaarate Awliya Ki Haazri Ke Liye Nikalna Jaaiz Nahiñ.. Haañ Kisi Safare Jaaiz Ko Nikli Or Raste Me Qabar Ya Mazaar Aa Jaye Or Apne Shohar Ya Maheram Ke Sath Ziyarat Karli To Harj Nahiñ, Jabki, Parde Ka Ehtemaam Ho Or Juz'a Fuz'a Wagairah Munkiraate Sharaiyyah Se Khali Ho..

Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Muta'alliq Ek Mukammal Risala Ba Naam جُمَلُ النّور فی نھی النساء عن زیارۃ القبور Tahreer Farmaya, Jis Me Aap Ne Aurtoñ Ko Ba Parda Ya Be Parda Faahsha Ya Paarsa Sabko Mutlaqan Mazaarate Awliya Ki Haazri Ki Mumaneat Par Tafseeli Bahas Tahreer Farmai He...
Jis Me Se Chand Mundarja Zail He,

Fatawa Razviya Me Hai,
:وقال ابن مسعود رضی اﷲ تعالٰی عنہ المراۃ عورۃ واقرب ماتکون الی اﷲ فی قعربیتھا فاذا خرجت استشرفہا الشیطان وکان ابن عمر رضی اﷲ تعالٰی عنہما یقوم یحصب النساء یوم المجمعۃ یخرجھن من المسجد وکان ابراہیم یمنع نساءہ الجمعۃ والجماعۃ
Yaani Hazrat Abdullah Ibne Masood Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate Aurat Saraapa Sharm Ki Cheez He. Sab Se Zyada Allah Ta'ala Se Qareeb Apne Ghar Ki Tah Me Hoti He. Or Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhuma Jumuah Ke Din Khade Ho Kar Kankariyañ Maar Kar Aurtoñ Ko Masjid Se Nikalte. Or Imam Ibrahim Nakh'ee Tabaee Ustazul Ustaz Imame Aazam Abu Haneefa Radiallahu Anhu Apni Mastooraat Ko Jumuah W Jama'at Me Na Jane Dete.
*📚(عمدۃ القاری شرح البخاری باب خروج النساء الی المساجد ادارۃ الطباعۃ المنیریہ بیروت ۶/ ۱۵۷)*

Jab In Khair Ke Zamanoñ Me Un Azeem Fuyoozo Barkaat Ke Waqtoñ Me Aurteñ Mana'a Kardiñ Gai, Or Ka He Se, Huzure Masaajid W Shirkate Jama'at Se, Halanki Deene Mateen Me Un Donoñ Ki Shadeed Takeed He. To Kya Azminah Sharoor Me In Qaleel Wa Mauhum Fuyooz Ke Hile Se Aurtoñ Ko Ijazat Di Jaeygi, Vo Bhi Ka He Ki, Ziyarate Quboor Ko Jane Ki Jo Shar'an Mokad Nahiñ, Or Khusoosan Un Meloñ Kheloñ Me Jo Khuda Na Tarsoñ Ne Mazaarate Kiram Par Nikal Rakhe Hai, Ye Kis Qadar Shariate Mutahhara Se Munafiqat He. 

Or Farmate Hai,
A'imma E Deen Imaame Aazam W Saahibain W Man Ba'ad Hamne Rok Diya, Or Aurtoñ Ki Misleñ Na Banaayeñ Ki Salihaat Jaayeñ, Fasiqaat Na Aayeñ, Balki Ek Hukm Aam Diya... Or Aurtoñ Ki Qismeñ Kyuñ Kar Chhanti Jayeñgi..

Or Farmate Hai Ayni Jild-4 Me Imam Abu Umar Se He,
ولقد کرھہ اکثر العلماء خروجھن الی الصلوات فکیف الی المقابر ، وما اظن سقوط فرض الجمعۃ علیہن الا دلیلا علٰی امساکہن عن خروج فیما عداھا ۔
Aksar Aulma Ne Namazoñ Ke Liye Aurtoñ Ka Jaana Makrooh Rakha He To Qabrastanoñ Me Jane Ka Hukm Kya Hoga ? Me To Yahi Samajhta Huñ Ki Unse Farze Jumuah Saaqit Ho Jana Is Baat Ki Daleel He Ki Unheñ Uske Maasiwa Se Bhi Roka Jayega..
*📚(عمدۃ القاری شرح البخاری باب زیارۃ القبور ادارۃا لطباعۃ المنیریہ بیروت ۸ /۶۹)*

Sahibe Hidaya Ne Farmaya:
Aurtoñ Ke Liye Jama'atoñ Ki Haazri Makrooh He. Baaz Shariheen Ne Kaha Yaani Jawan Aurtoñ Ke Liye.. Or "jama'atoñ" Ka Lafz Jumuah, Eidain, Kusoof, Istasqa Sabhi Ko Shamil He..

Hamare Mashaaikh Ne Mumaneat Ki Wajah Ye Batai He Ki Unke Nikalne Me Fitne Ka Andesha He, Or Ye Haram Ka Sabab He, Or Jo Haram Tak Le Jane Wala Ho Vo Haram He, Iske Peshe Nazar Lafz "Makrooh" Se Unki Murad "Haram" He, Khusoosan Is Zamane Me Is Liye Ki Ab Logoñ Me Kharabi Or Buraai Aam Ho Gai He.
*📚(اعمدۃ القاری شرح البخاری باب خروج النساء الی المساجد ادارۃ الطباعۃ المنیریہ بیروت ۶/۱۵۶)*

Phir Isi Safha Par Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhuma Ka Jumuah Ke Din Aurtoñ Ko Kankariyañ Maar Kar Masjid Se Nikalna Or Imame Ajal Ibrahim Nakh'ee Tabaee Ka Apne Mastooraat Ko Jumuah W Jama'at Me Na Jaane Dena Zikr Kiya.. Anaya Se Guzra Ki Ameerul Muamineen Farooque Aazam Ne Aurtoñ Ko Huzure Masjid Se Mana'a Farmaya.

Kya Madina Tayyabah Ki Vo Bibiyañ Ki Sahabiyaat Wa Taabiaat Thiñ Or In Imame Ajl Tabaee Ki Mastooraat Ma'azAllah Fitnagar W Ahle Fasaad Thi, Haasha Hargiz Nahiñ, To Sabit Hua Ki Mana'a Aam He Sirf Fasiqaat Se Khas Nahiñ Or Unka Khusoosan Zikr Farma Kar Zanaane Misr Ke Khasaail Ginana Is Liye He Ke Unpar Badarja Awla Haram He Na Ki Faqat Fitne Uthane Waliyoñ Ko Mumaneat He.

Isi Liye Hukm Ye Bayan Farmaya Ki,
Ab Ziyarate Quboor Aurtoñ Ko Makrooh Hi Nahiñ Balki Haram He. Ye Na Farmaya Ki Waisi Ko Haram He Aysi Ko Halal He. Waisi Ko To Pahle Bhi Haram Tha Is Zamana Ki Kya Takhsees ! 

Aage Farmate Hai,
سئل القاضی عن جواز خروج النساء الی المقابر قال لایسأل عن الجواز الفساد فی مثل ھذا وانما یسأل عن مقدار مایلحقھا من اللعن فیھا واعلم انھا کلما قصدت الخروج کانت فی لعنۃ اﷲ و ملائکتہ واذا خرجت تحفھا الشیاطین من کل جانب واذا اتت القبور یلعنہا روح المیت واذا رجعت کانت فی لعنۃ اللہ؂ ۔
Yaani Imam Qazi Se Istafta Huva Ki Aurtoñ Ka Maqaabir Ko Jana Jaaiz He Ya Nahiñ ? Farmaya: Aysi Jagah Jawaz W Adame Jawaz Nahiñ Puchhte, Ye Puchho Ki Usme Aurat Par Kitni Laanat Parti He. Jab Ghar Se Quboor Ki Taraf Chalne Ka Irada Karti He Allah Or Farishtoñ Ki Laanat Me Hoti He, Jab Ghar Se Bahar Nikalti He Sab Tarfoñ Se Shaitan Use Gher Lete Hai, Jab Qabr Tak Pahunchti He Mayyat Ki Rooh Us Par Laanat Karti He, Jab Wapas Aati He Allah Ki Laanat Me Hoti He.
*📚( غنیہ المستملی شرح منیۃ المصلی فصل فی الجنائز سہیل اکیڈمی لاہور ص ۵۹۴)*

Yahañ Ek Nuqta Or He Jis Se Aurtoñ Ki Qismeñ Banane, Unke Salah W Fasaad Par Nazar Karne Ki Koi Ma'ana Hi Nahiñ Rahe, Or Qat'an Hukm Sabko Aam Ho Jata He Agarche Kaisi Saliha Paarsa Ho. Fitna Wahi Nahiñ Ki Aurat Ke Dilse Paida Ho Vo Bhi He Or Sakht Tar He Jiska Fussaq Se Aurat Par Andhesha Ho.

In Tamam Mubaahise Jaleela Se Bihamdillahi Ta'ala Ek Jaleel W Daqeeq Taufiqe Aneeq Zaahir Hui, Aam Mujazaine Nafs Ziyarate Qabr Likhte Hai Ki Uski Ijazat Aurtoñ Ko Bhi Hui, Ziyarate Quboor Ke Liye Khuruje Nisa Nahiñ Kahte Aam Kutub Me Isi Qadar He Or Manieene Ziyaarate Qabr Ke Liye Aurtoñ Ke Jane Ko Mana'a Farmate Hai, Walihaza Khurooj Ilal Masjid Ki Mumaneat Se Sanad Laate Hai, Or Unke Khurooj Me Khaufe Fitna Se Istedalaal Farmate Hai. Tamaam Nusoos K Hamne Zikr Kiye Usi Taraf Jaate Hai, To Agar Qabar Ghar Me Ho Ya Aurat Maslan Haj Ya Kisi Safare Jaaiz Ko Gai Raah Me Koi Qabar Mili Uski Ziyaarat Karli Basharteki Juz'a W Fuz'a W Tajdeede Hizno Bakaar W Noha W Ifraato Tafreet Adab Wagairah Munkiraate Sharaiyyah Se Khaali Ho...
*📚Makhuz Az: (Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, Mas'ala-181)*

Or Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Se Parde Me Mazaarat Par Hazri Ke Muta'alliq Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Asl Hukm Yahi He Ki Aurtoñ Ko Bezaroorate Sharaiyyah Ghar Se Nikalne Ki Ijaazat Nahiñ He. Isi Liye Aurteñ Jumauh W Eidain Or Jama'at Ki Haazri Se Mustadna Rakhi Gai Hai, Halaañ Ki Pahle Islam Me Aurtoñ Par Masjid Ki Hazri Lazim Thi Or Huzur Alaihis Salam Ke Pichhe Aurteñ Namaz Padhti Thi Or Eidain Me Haazir Hoti Thi, Or Jo Haiz Wali Hoti Thi Vo Eidgaah Se Door Nabi Alaihis Salam Ka Wa'az Sunne Ke Liye Bethti Thi Aurtoñ Ko Ye Hukum Tha Lekin Uske Baad Ye Ahkaam Badal Gaye Or Aurtoñ Ko Jumuah W Eidain Or Masjid Ki Haazri Se Mustadna Rakha Gaya Isi Me Mazaarat Ki Haazri Isse Bhi Aurteñ Mustadna He Unko Hukum Nahiñ He Ki Mazaarat Par Jayeñ..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 Sep 2022, 23 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Ayse Marriage Bureau Me Kaam Karna Jisme Badmazhab Or Sunni Sabhi Ke Rishte Hote ho ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Ek Marriage Bureau Hai Us Ko Ladke Or Ladkiya Ki Detail Bheji Jati Hai,
Jo Ek Hi Samaaj (jati) K Logo Ka Group Bana Hai Us Me Kai Sunni Bhi Or Devbadi
Wahabi, Ahele Hadis Bhi Magar Woh Samaaj K Log Us Sab Ko Apni Jaati Jod Rakhe Hai
Ab Us Marriage Bureau Me Ladke Or Ladkiya Alag Alag Ilaqe Ke Hoti Hai 
Magar Us Ka Naam Or Address Chhupaya Jata Hai  Fir Woh Detail Sab Ko Sher Kar Di Jati Hai
Ab Us Me Kai Jode Ban Jate Hai Un Ki Shadiya Ho Jati Hai 
Marriage Bureau Wale Un Ka Aqida Nahi Batate Hai To Us Marriage Bureau Me Jo Membar Hai
Us Par Kya Huqm Hoga Rahenumai Farmaye ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sunni Sahihul Aqeedah Musalaman Ka Nikah Sunni Sahihul Aqeedah Musalaman Se Hi Ho Sakta He, Kisi Kafir Murtad BeDeen Se Nahiñ Ho Sakta, Wahabiya, Dayaabana, Ahle Hadees Apne Aqaaide Kufriya Ki Bundyad Par Kafiro Murtad Hai Unss Nikaah Baatil, Baatil, Baatil He.

Fatawa Aalamgiri Me He,
لا یجوز للمرتد ان یتزوج مرتدۃ ولا مسلمۃ ولا کافرۃ اصلیۃ وکذالک لا یجوز نکاح المرتدۃ مع احد کذا فی المبسوط،
Yaani Murtad Ke Liye Murtada, Muslima Or Kafira Asliya Kisi Se Shadi Karna Jaaiz Nahiñ, Or Ayse Hi Murtada Ke Liye Kisi Se Nikah Karna Jaaiz Nahiñ Aysa Hi Mabsoot Me He.
*📚(BaHawala Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-522)*

Jab Kafir, Murtad Ka Nikah Khud Kafira Murtada Se Or Musalaman Se Batil He To Unka Azdawaaji Ta'alluq Qaaim Karna Khalis Zana He.

Sawal Me Mazkoor Marriage Bureau Ke Membaraan Agar Sunni Sahihul Aqeedah Musalamanoñ Ki Jodi Apne Us Group Ke Deobandi, Wahabi, Ahle Hadees Se Unko Musalman Samjah Kar Lagaate Hai To Khud Vo Kharij Az Islam Hai Tajdeede Iman, Tajdeede Bay'at Or Biwi Wale Hoñ To Tajdeede Nikaah Kareñ, Or Agar Unko Musalman Nahiñ Samajhte Balki Kafir Hi Maante Hai Jab Bhi Zana Par Ae'aanat Karne Wale Huye Is Soorat Me Membaraan Ko Chahiye Ke Apne Is Fe'ale Qabeehah Shaniaah Se Sachche Dil Se Taubah Kareñ Or Isse Baaz Raheñ Or Agar Vo Taubah Na Kareñ To Tamaam Musalman Ayse Logoñ Se Mel Jol Ta'alluqat Ko Tark Kardeñ Or Unka Mukammal Boycott Kareñ.
واللہ تعالیٰ اعلم ھذا ما ظہر لی والعلم الحقیقی عند ربی
*✍🏻Al-Jawa : Hazrat Allama Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch Gujrat*
*🗓️19 Sep 2022, 21 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Halate Namaz Ma Zaid Ke Sar Se Topi Gir Jaye To Bakar Ka Uske Sar Pe Utha Ke Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualaikum
Hazrat Aksar Dekha Jaata He Masjid Me Namaz Padhte Waqt Kuch Logo Ki Topi Sir Se Gir Jaati Hai
To Kuch Log Topi Utha Kar Uske Sir Par Pehna Dete He To Kya Aisa Karna Sahi He Ya Nahi Rehnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Topi Pahan Kar Namaz Padhna Sunnat He, Faraaiz Ya Waajibat Me Se Nahiñ Ki Bagair Topi Ke Namaz Hogi Hi Nahiñ.. Agar Kisi Wajah Se Namaz Me Topi Gir Gai To Amale Qaleel Ke Sath Utha Lena Afzal He Or Agar Na Uthane Me Khuzu'a Maqsood Ho To Na Uthayeñ Namaz Ho Jayegi...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Namaz Me Topi Gir Padi To Utha Lena Afzal He Jab Ki Amale Kaseer Ki Haajat Na Pade Warna Namaz Fasid Ho Jayegi Or Baar Baar Uthani Pade To Chhod De Or Na Uthane Se Khuzu'a Maqsood Ho To Na Uthaye...
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-39)*

Or Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Vo Khud Agar Halqe Se Ishaare Se Topi Rakh Sakta He To Topi Rakhle Or Agar Amale Kaseer Ki Zaroorat Hoti He To Chhod De (Dusra Aadmi Jo Namaz Me Nahiñ He Vo Uske Sar Par Topi) Rakh Sakta He...
Http://jamiaturraza.com/session/16Jan11/25.mp3

Lihaza Zaid Namaz Padh Raha Tha Or Uski Topi Gir Gai To Dusra Shakhs Jo Namaz Ke Bahar He Agar Uske Sar Par Topi Rakhega To Agar Namazi Ke Khush'a W Khuzu'a Me Khalal Ka Andesha Ho To Na Rakhna Bahetar, Warna Rakh Sakta He.. Koi Sharai Qabaahat Bhi Nahiñ...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 Sep 2022, 23 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Khwab Me Peshab Karna Yaad Ho Or Bedari Me Ehtelam Ke Nishan Ho To Gusl Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Ek Sawal Tha 

Maine Khawab May Khud Ko Peshab Kartey Hue Dekha Jab Ankh Khuli To Ehtlam Bhi Hua Kya Is Bina Par Gusul Karna Jaruri Hai Ya Nahi Batayeee

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nind Se Bedaar Hone Par Badan Ya Kapde Par Tari Paai Gayi Our Us Ke Mani Ya Mazi Hone Ka Yaqeen Ya Ehtemal He To, Agarche Khwab Yaad Na Ho Gusl Wajib He...

Our Agar Yaqeen He Ke Ye Na Mani He Na Mazi Balki Pasina Ya Peshab Ya Wadi, Ya Kuchh Our He To Agarche Ehtelam Yaad Ho, Our Lazzate Inzaal Khayal Me Ho Fir Bhi Gusl Wajib Nahi...

Our Is Baat Ka Yaqeen He Ke Ye Mani Nahiñ Magar Uske Mazi Hone Ka Shak He Our Khwab Me Ehtelam Hona Yaad Nahiñ To Gusl Nahiñ, Our Mazi Ka Shak He Magar Khwaab Me Ehtelam Hona  Yaad He To Tab Bhi Gusl Wajib Hoga...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Ehtelaam Yaani Sote Se Utha Or Badan Ya Kapde Par Tari Paai Or Us Tari Ke Mani Ya Mazi Hone Ka Yaqeen Ya Ehtemaal Ho To Gusl Wajib He Agarche Khwab Yaad Na Ho Or Agar Yaqeen He Ki Ye Na Mani He Na Mazi Balki Pasina Ya Peshab Ya Wadi Ya Kuchh Or He To Agarche Ehtelaam Yaad Ho Or Lazzate Inzaal Khayal Me Ho Gusl Wajib Nahiñ Or Agar Mani Na Hone Ka Yaqeen Karta He Or Mazi Ka Shak He To Agar Khwab Me Ehtelaam Hona Yaad Nahiñ To Gusl Nahiñ Warna He .

Agar Ehtelaam Yaad He Magar Uska Koi Asar Kapde Wagairah Par Nahiñ Gusl Wajib Nahiñ..
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Baab Gusl Kin Cheezoñ Se Farz Hota He, Mas'ala-4,5)*

Soorate Mas'ula Me Agar Kapde Par Paai Jaane Wali Tari Ke Bare Me Mani ya Mazi Ka Yaqeen Ya Ehtemaal Ho To Gusl Waajib He Warna Nahiñ..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️19 Sep 2022, 21 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Shikari Aur Paltu Kutte Ki Kharido Farokht Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Har Tareeqe K Kutto Ka Business Jaiz Ya Kutte Mei Sharte Hain..
Maine Ek Sahab Se Suna Hai K Jo Kutte Guarding K Liye Paale Jaate Hain Wo Jayaz Hain Or Baaqi Chhoti Nasal K Kutto Ka Business Mana Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kutte Ke Muta'alliq Shariat Ka Ye Hukm He Ki Jis Kutte Ko Paalna Jaaiz Ho Uski Kharido Farokht Bhi Jaaiz He Yaani Jo Kutta Qaabile Ta'aleem Hoñ Uski Bee'a Jaaiz Or Jis Ko Paalna Jaaiz Nahiñ Yaani Jo Zyada Kaatna Wala Ya Pagal Ya Qaabile Ta'aleem Na Hoñ Uski Kharido Farokht Bhi Jaaiz Nahiñ.. Or Kutte Ko Paalne Ki Ijaazat Shikaar (Jo Ke Shikaare Tafreeh Na Ho) Ke Liye He Ya Ghar Or Kheti Ki Hifazat Ke Liye He (Jab Ki Sachchi Haajat Ho), Lihaza Jo Kutta Mazkoora Umoor Ke Liye Istemaal Kiya Ja Sakta Ho Uski Kharido Farokht Jaaiz He Warna Nahiñ.

Jaisa Ki Durre Mukhtar Me He,
لكن في الخانية: بيع الكلب المعلم عندنا جائز ، وكذا السنور ، وسباع الوحش والطير جائز معلماً أو غير معلم " اھ 
*📚( در مختار مع رد المحتار ج 7 ص 260 :کتاب البیوع ،باب بیع الفاسد ، دار الکتب العلمیہ بیروت )*

Or Fatawa Aalamgiri Me He,
" وبيع الكلب غير المعلم يجوز إذا كان قابلاً للتعليم وإلا فلا ، وهو الصحيح، كذا في جواهر الأخلاطي " اھ 
*📚( فتاوی عالمگیری ج 3 ص 122 : کتاب البیوع ، باب فیما یجوز بیعه وما لایجوز ، دار الکتب العلمیہ بیروت )* 

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,
Kutta, Billi, Hathi, Cheeta, Baaz, Shikrah (Yaani Baaz Ki Qism Ka Ek Shikari Parinda) Bahri (Ek Shikari Parinda) In Sab Ki Bee'a Jaaiz He. Shikaari Janwar Muallam (Sikhaye Huve) Hoñ Ya Gair Muallam Donoñ Ki Bee'a Sahih He, Magar Ye Zaroor He Ki Qaabile Ta'aleem Hoñ, Katkhana (Yaani Bahut Zyada Kaatne Wala, Paagal) Kutta Jo Qaabile Ta'aleem Nahiñ He Uski Bee'a Durust Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Ke Mutafarriq Masaail, Mas'ala-2)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 Sep 2022, 20 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Billi (Cat) Ki Kharido Farokht Karna Kesa )

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ek Sawal Hai Ke Billi Persion Cat Bechne Ka Business Kaisa Hai Kya Ye Kar Sakte Hai. Mera Chota Bhai Karne Ka Bol Rha Hai Babar Bhai Business Isi Liye Puch Raha Hu Apse Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Billi Ki Kharido Farokht Jaaiz He.

Jaisa Ki Durre Mukhtar Me He,
_وصح بيع الكلب و الفهد و الفيل و القرد و السباع بسائر انواعها حتى الهرة و كذا الطيور_
Yaani Kutta, Cheeta, Hathi, Bandar, Or Tamaam Aqsaam Ke Darinde Yahañ Tak Ki Billi Or Usi Tarah Parindoñ Ki Kharido Farokht Sahih He.
*📚(Durre Mukhtar, J-7, S-505)*

Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Kutta, Billi, Hathi, Cheeta, Baaz, Shikrah (Yaani Baaz Ki Qism Ka Ek Shikari Parinda) Bahri (Ek Shikari Parinda) In Sab Ki Bee'a Jaaiz He.
*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Ke Mutafarriq Masaail, Mas'ala-2)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓18 Sep 2022, 20 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Magrib Ke Baad Khatna Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Khatna Magrib Ke Baad Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shar'an Kisi Waqt Mumaana'at Nahiñ... Bas Raat Ko Raushni Ka Sahih Intezaam Hona Chahiye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️17 Sep 2022, 19 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.Sgrp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Musalaman Aurat Ko Mangal Sutra Pahanna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Khas Kar Hindustan Me Gair Muslim Aurte Aur Muslim Aurte Dono Hi Singar Ke Taur Pe Mangal Sutra Pahanti Hai Uska Kya Hukm Hai.???

Jawab Inaayat Kare.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mangal Sutra Agar Us Ilaaqe Me Kaafir Aurtoñ Ka Shiaar He Jiske Pahanne Se Maloom Ho Ki Ye Gair Muslim He To Iska Pahanna Jaaiz Nahiñ Or Usme Unki Dewi Dewta Ki Tasweer Ho Ya Unse Kisi Tarah Ki Mushabehat Ho Pahanna Tab Bhi Jaaiz Nahiñ... Or Agar Us Ilaaqe Me Ye Kisi Qaum Ka Shiaar Nahiñ Ise Sirf Bataure Zewar Sabhi Qaum Ke Log Pahante Ho Or Usme Koi Gair Muslimoñ Se Mushabehat Na Ho To Iske Pahanne Me Harj Nahiñ.. 

Jaisa Ki Sarkaar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Mangal Sutr Agar Ye Zewar He Or Isme Musrikaana Koi Wadah Nahiñ He Na Unke Dewi Dewta Ki Tasweer He Or Iska Istemaal Musalaman Or Mushrik Sab Aurteñ Karti He Kisi Mushrik Qaum Ka Kisi Jagah Par Shiaar Nahiñ He To Uske Pahanne Me Koi Harj Nahiñ He.. Or Jahañ Vo Mushrika Aurtoñ Ki Khaas Pahechan Ho Us Jagah Uske Pahanne Se Ehteraaz Zaroori He..
Http://jamiaturraza.com/session/7Nov10/23.mp3

Isi Tarah Mufti Nizamuddin Sahab Misbahi Tahreer Farmate Hai,
Agar Ye Zewar (Mangal Sutra) Kisi Ilaqe Me Gair Muslim Aurtoñ Ka Shiaar Ho Ki Us Ilaaqe Me Wahi Pahanti Hai Or Koi Aurat Mangal Sutra Pahanti Hui Dikhe To Ye Samjha Jaye Ki Vo Gair Muslim He To Us Ilaaqe Me Musalman Aurtoñ Ko Mangal Sutar Pahanna Makrooh W Najaaiz He..

Hadees Shareef Me He Ki,
من تشبہ بقوم فھم منھم 
Or Jin Ilaaqoñ Me Ye Gair Muslim Aurtoñ Ka Shiaar Na Ho To Wahañ Musalaman Aurtoñ Ko Aysa Zewar Pahanna Jaaiz He Or Isme Koi Karaahat Nahiñ Ki Zewar Bajaae Khud Mubah He.
*📚(Sirajul Fuqha Ki Deeni Majaalis, S-142)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓17 Sep 2022, 19 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Allah Ke Liye Chaal Chalna Lafz Istemal Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum Hazrat Kya Is Post Ko Status Rakhna Kufr Hai Ya Kisi Ne Rakha To Us Ne Kufr Kiya ?

"Beshak Allah Bahetarin Chal Chalne Wala He.."

Musalaman Aurat Ko Sindur Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat

Aurto Ko Sindur Lagana Kaisa Hai.??

*🌹JAWAB:-🌹*
Musalman Aurtoñ Ke Liye Maang Me Sindoor Lagana Najaaizo Haraam He.

Or Jab Tak Sindoor Laga Rahega To Gusl Nahiñ Hoga Kyuñ Ki Ye Paani Ko Jism Tak Pahunchane Se Rokta He.. . Or Aurtoñ Ko Maang Me Sindoor Lagane Me Gair Muslimoñ Se Mushabehat Bhi He,

Hadeese Paak Me He,
قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم من تشبه بقوم فهو منهم
RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Kisi Qaum Ki Mushabehat Ikhtiyar Ki Vo Usi Me Se He..

Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Sindoor Lagana Musla (Yaani Hulya Bigadne) Me Dakhil Or Haraam He, Neez Uska Jarm Paani Bahne Se Maane'a Hoga Jisse Gusl Nahiñ Utarega.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-60)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️13 Sep 2022, 15 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Hazrat Ameer Muaawya Ko Baagi Kahna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ameere Muaawya Ko Baagi Kahna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Urfe Shara'a Me Bagawat Mutlaqan Muqabla E Imame Barhaq Ko Kahte Hai, Inaadan Ho, Khwah Ijtehaadan, Un Hazraat Par Bawajhe Ruju'a Iska Itlaq Nahiñ Ho Sakta, Girohe Ameere Muaawya  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Par Hasbe Istelahi Shara'a Itlaaq Fiya Baagiya Aaya He, Magar Ab Ki Baagi Bama'ana Mufsid W Muaanid W Sarkash Ho Gaya Or Dushnaam(Gaali) Samjha Jata He, Ab Kisi Sahabi Par Iska Itlaaq Jaaiz Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-1, Imaamat Ka Bayan, Aqeedah-13, S-260)*

Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Ahle Sunnat Ke Aqeedah Me Tamaam Sahaba E Kiram  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم Ki Ta'azeem Farz He Or Unme Se Kisi Par Ta'an Haraam Or Unke Mushaajirat Me Khoz Mamnoo'a,

Hadees Me Irshad:
اذا ذکر اصحابی فامسکوا
Jab Mere Sahaba Ka Zikr Kiya Jaye, (Bahas W Khoz Se) Ruk Jaao.
*📚(المعجم الکبیر, حدیث ۱۴۲۷، المکتبہ الفیصیلہ بیروت ۲/ ۹۶)*

Or Hazrat Ameere Muaawya Ko Baagi Ya Khataakar Kahne Ke Muta'alliq Sawal Ke Jawab Me Irshad Farmate Hai Ki,
Bilaashubah Unki (Hazrat Ameere Muaawya Ki) Khata Khata E Ijtehaadi Thi Or Is Par Ilzaame Ma'siyat Aaid Karna Is Irshade Ilahi Ke Sareeh Khilaaf He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-29, Mas'ala-79)*
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️10 Sep 2022, 12 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Dandiya Garba Khelne Wale Musalaman Par Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
As'salam Alaikym

Mufti Sahab Qibla

Is Mas'ail Ke Baare Men Kya Farmate Hai 
Ulema E Ahle Sunnat

Daandiya Garba Khelna Kaisa Hain..? Agar Koi Shakhs Ye Kaam Karen To Us Par Shariat Ki Roshni Me Kya Hukam E Sharah Hai..,

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Daadndiya Raas Or Garba Ye Haraam Sakht Haraam He, Khusoosan Garba Ye Daadndiya Raas Se Bhi Zyada Imaan Ke Liye Zyada Muzir Or Qatil Cheez He, Ki Isme Tashaboh Bil Hunood Bhi He Or Garba Khaas Unke Mazhabi Tyohaar Hi Me Khela Jaata He... Baharkaif Daadndiya Raas Or Garba Holi Diwali Ki Mauqa Par Agar Koi Khelta He Haraam Ashad Haraam Or Us Par Fuqha Ke Qaul Ke Mutabiq Taubah Tajdeede Iman Laazim He... 

Or Agar Ma'azAllah Usne Dil Se In Cheezoñ Ko Jo Kuffar Ke Mazhabi Shiaar He Garba Or Uspar Daadndiya Raas Khelna Wagairah Agar Us Mauqe Par Kisi Ne Khela Dilse Achha Samajh Kar Tab To Baijmaa E Fuqha Ye Kufr He Or Ye Shakhs Daaira E Islaam Se Kharij Ho Gaya...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️8 Sep 2022, 10 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Aqeeqah Ki Dawat Me Gair Muslim Ki Shirkat Se Aqeeqah Me Farq Padega Ya Nahiñ ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Aj Meri Beti 3saal Ki Hui.uska Aqiqah Kia Humne.. Humne Kisi Gair Mazhab K Logo Ko Dawat Nhi Diye The. Lekin Hmare Jeth K Shop K Workers Khud Aagye. Toh Unhe Dawat Khilayi. To Meri Saas Bole Ki Tumhara Aqiqah Qubul Nhi Hua.qki Tumne Gair Mazhab K Logo Ko Dawat Khilayi. Mere Dil Me Bas Wahi Baat Aa Rhi H.mere Shohar Driver Hai.  Humne Bhot Muskil Se Kiye. Mene Aur Mere Shohar Akele Hi Sara Kaam Sambhale. Kya Aqiqah Qabul Nhi Hoga? Ya Kya Kre Uske Liye Pls Bataye.

Ek Sher Maashuq Ki Gali Ko Haram Ka Fera Or Har Dard Ki Dawa Se Tasbeeh dena

 *🌹SAWAL:-🌹*
Ye Sher Durust Hai Kya Hazrat
Ho Haal Kuchh Bhi Mera Tera Karam Lage,
Har Dard Ki Dawa Mujhe Mera Sanam Lage,
Teri Gali Me Meri Guzar Jaye Zindagi,
Teri Gali Ka Fera Tawaafe Haram Lage..

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Yanha Maashuq Ki Gali Ke Fere Ko Ma'azAllah Tawaafe Haram Ki Tarah Likkha He, Jo Shar'an Durust Nahi..

Our Har Dard Ki Dawa Bhi Mashuq Ko Kaha He...ayse Ashaar Padhna Sahih Nahi...

Halaat, Marz, Shifa, Ye Sab Allah Ki Janib Se He... Isko Apne Maashuq E Majaazi K Liye Istemal Karna Shar'an Sahih Nahi... 
هذا ما عندي والله اعلم بالصواب
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️11 Sep 2022, 13 Safar 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Iddat Ki Ginti Chand Ke Hisab Se Ya Angreji Tarikh Ke Hisab Se ??

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Bewah Ki Jo Iddat Hoti H Wo 4 Maah Das Din H To... Wo 4 Mahine  Angrezi Tareekh Ke Hisab Se Lenge Ya Chaand Ki

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gair Hamila Aurat Ka Shohar Inteqal Kar Jaye Agar Islami Mahine Ki Pahli Tarikh Ko Inteqal Hua To Us Bewah Aurat Ki Iddat Chand Ke Hisab Se Chaar (4) Mahina Or Das Din He, Har Mahina 30 Ka Gina Jayega Agarche Mahina 30 Se Kam Hoñ.. Or Agar Inteqal Islami Mahine Ki Pahli Tarikh Ke Alawa Kisi Or Din Ho, To Iddate Wafaat Pure Ek So Tees (130) Din He, Mahinoñ Ka Aitebar Nahiñ Hoga.. Dinoñ Ki Ginti Se Iddat Hogi... 130 Din Pure Islami Tarikh Ke Hisab Se Gine Ya Angrezi Ke Isme Din Gine Jayeñge...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Maut Pahli Tarikh Ko Ho To Chand Se Mahine Liye Jayeñ Warna Hurrah (Aazad Aurat ) Ke Liye 130 Din Or Baandi Ke Liye 65 Din.
*📚(Bahare Shariyat, H-8, Iddat Ka Bayan, Mas'ala-23)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 Sep 2022, 13 Safar 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Half T-shirt Me Namaz Padhne Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
*Assalamualaikum Hazrat*

Half T Shirt Pe Namaz Padh Sakte Hai...??

*🌹JAWAB:-🌹*

Sar Me Onion Oil Laga Kar Namaz Padhne Ka Hukm

 *🌹SAWAL:-🌹*
Salaam
Kya Balo Me Onion Oil Ya Onion Serum Laga Skte H? 
Namaz Pad Skte H Laga Kr?

*🌹JAWAB:-🌹*

Nikah Se Pahle Talaq Hogi ? Ye Kahna Ki Apni Hone Wali Biwi Ko Talaq ??!!

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum Kya Nikah Ke Pehle Talaq Dene Se Talaq Hojati Hai? 

Maslan Zaid Ka Nikah Nhi Hua Hai Usne Kaha Ke Mai Apni Hone Wali Bewi Ko 3000 Talaq Deta Hu Toh Kya Abe Zaid Nikah Nhi Krr Sakta?

Ismein Usne Kisi Ka Naam Nhi Liya

*🌹JAWAB:-🌹*

Gair Mazhab Ki Aqeeqah Ke Khane Me Shirkat Se Aqeeqah Ka Hukm.. Taufiq Sahab

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum 
Aj Meri Beti 3saal Ki Hui.uska Aqiqah Kia Humne.. Humne Kisi Gair Mazhab K Logo Ko Dawat Nhi Diye The. Lekin Hmare Jeth K Shop K Workers Khud Aagye. Toh Unhe Dawat Khilayi. To Meri Saas Bole Ki Tumhara Aqiqah Qubul Nhi Hua.qki Tumne Gair Mazhab K Logo Ko Dawat Khilayi. Mere Dil Me Bas Wahi Baat Aa Rhi H.mere Shohar Driver Hai.  Humne Bhot Muskil Se Kiye. Mene Aur Mere Shohar Akele Hi Sara Kaam Sambhale. Kya Aqiqah Qabul Nhi Hoga? Ya Kya Kre Uske Liye Pls Bataye.

*🌹JAWAB:-🌹*

"Qabr Me Kon Dekh Raha He Pahle Dunya Me Bhugat Le" Khana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum, Zaid Se Kisi Ne Kaha Ki Jo Log Zameen Qabza Krrte He Unko Qabr Mein  Azab Hoga Toh Zaid Ne Kaha Ke Wahan Kon Dekh Raha Hai Pehle Duniya Mein Hi Bhugat Le. Aaisa Kehna Par Kya Huqm Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*

Juloos Me DJ Walo Ko khana Pilana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualekum Hazrat Mera Sawal Hai K Muharram Ki Tarah JULOOS E MUHaMMadi  Mei bhi DJ Bajakar Nachne Walo Ko Khilana Pilana Or Unki Khidmat Krna Kaisa Hai????

*🌹JAWAB:-🌹*

Napaaki Me Naat W Takreer Ya Durood Sunna Ye Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh 
 
Hazrat Napaki Ki Halat Mein Naate Paak Sunna Kaisa Aur Takrir Sunna Kaisa Aur Jab Main Subah Ghar Se Bahar Nikalta Hun Kam Ke Liye  Aayatan Kursi Padhna Kaisa Napaki Ki Halat Mein Kalma Or Darud Sharif Padhna Kaisa Jawab Rahnumai Farmayen

*🌹JAWAB:-🌹*

"Allah Kaha Betha He Mujhe Maut Nahi Deta" Tang Aa Kar Kahne Wale Par Hukme Shara'a

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualikum, Zaid Ne Kisi Baat Se Tang Aakrr Kaha Ki "na Jane Allah Kaha Baitha Hai Mujhe Maut Bhi Nhi Deta" Kya Huqm Hoga

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts