Aqiqah Kab Or Kese Karna Chahiye ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Rahmatullahi Wa barakatuhu  akika ke bare mein bataiye kab karna chahiye kaese karna chahiye  kab tak kar sakte hai ...?

*🌹JAWAB:-🌹*

Baccha ya bacchi k paida hone k shukriya me janvar zibah karna Aqiqah kehlata hai ... Mazhab e Hanafi me ye Aqiqah sunnat o mustahab hai. ... Bacche ki viladat se satve din nam rakha Jaye sar Munda Jaye or sar mundne k waqt Aqiqah kiya Jaye . Or balo k wazan barabar Sona ya chandi sadqa Kare.

Ladke ki taraf se 2 bakre or ladki ki taraf se ek bakri Yani ladke k liye nar or ladki k liye madah munasib hai agar ulata kiya Yani ladke me 2 bakriya or ladki me ek bakrah tab bhi jayiz hai.

Bade janvar me ladke k liye do hisse or ladki ka ek hissa Aqiqah me hoga.

Agar ladke k aqiqah me 2 janvar ki bajaye ek hi zibah kiya tab bhi sunnat Ada ho jayegi.

*📚Makhuz az Bahare Shariat hissa 15 Aqiqah ka bayan.*

*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Muhammad Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla Maddazilahul Aali*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts