Dunya Me Allah Ko Dekhne Ka Bayan | Kya Dunya Me Didare Ilahi Mumkin He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Allah ko Ham Dekh rahe he Kahna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
بسم الله الرحمن الرحيم

Dunya me Allah ki Ruyat yaani dekhna. Or yeh kehna k ham Allah ko dekh rahe hai ka bayan.

Ahle Sunnat Wal Jamat ka Eijmaei Aqida hai k Allah Taala ka didar Dunya or Aakherat ki Zindagi me Mumkin hai ... Lekin dunya ki Zindagi me bedari ki Halat me Allah ka didar sirf Nabiyye paak Sallallahu alaihi wa Sallam k sath makhsus hai Yani sirf Huzur hi Is neamat se Sarfraz huve.  *📚(Al Motaqadul Muntaqad .. Musannif : Allama Fazl e Rasul Badayunu Alaihirrahma)* Or
*📚(Bahare Shariat Hissa Avval Allah K Bare me Aqaeid Ka bayan Aqida no.29.)*

Al Batta Khwab me Allah Taala ka didar Bila kaif is dunya me bhi bahot se Allah k Bando ko nasib huva Jaisa k Hazrat Imam e Azam ne farmaya k mene Apne rab ka khwab me 100 martaba didar kiya.
*📚(Al Motaqadul Muntaqad .. Musannif : Allama Fazl e Rasul Badayunu Alaihirrahma.)*

Or Aakherat me ye didar Tamam momineen ko Jannat me 5 vaqto ki Namaz k waqt Bila Kaif (Yani ham didar ki kefiyat kesi hogi ye nahi Bata sakte) hoga.
*📚(Assiaatul Lamaat Urdu Jild 1 Tashrih e Hadis e jibrail)*

Lihaza Ham apne rab ko dekh rahe hai ayse jumlo se Murad Aain Zate Rab ka didar Murad nahi balke Allah ki Sifaat ki Tajalliyo ka didar Murad hai ...

Allah Farmata hai ... Aankhe us ( Allah) ka Eihata Yani gherao nahi karti or woh Sab Ankhe us k Eihate me hai.
*📚(Surah Anaam aayat no 103 kanzul Eiman Shareef.)*

Hadis e Jibrail me Janab e Jaibrail Alaihissalam ne Huzur ﷺ se Pucha Ehsan Kya hai to Ehsan ka Mana bayan karte huve huzur farmate hai k Ehsan yeh hai k
*أن تعبد الله كأنك تراه فإن لم تكن تراه فإنه يراك*
Tu Allah ki Yase Eibadat Kare k Goya ki tu use dekh raha hai fir agar yeh na ho to (to itna khayal ho k) woh tujhe dekh raha hai.

Is hadis ka Matlab yeh hai k tu ayse Eibadat Kare k jaise tu use dekh raha hai. Kyu k Hakim ko dekhte  huwe us k hukm ki Tamil bahot Kamal or Ehtiyat k sath hoti hai ... Or fir farmaya k agar tujh se ye Halat na bane to Kam se Kam yeh khayal to Eibadat k waqt dil me zarur rahe k woh Hakim o Mabud tujhe dekh raha hai. Kyu k is khayal k sath Eibadat me Khulus Paida hota hai.

Niz Ebadat me Ehsan or khulus me is Mana ka bayan is liye bhi hai k jannat me bande Allah ka didar Namaz k panch waqto me karenge to dunya ki Eibadat me is k liye hukm Diya k woh Eibadat k waqt ye khayal rakhe k goya k woh rab ko dekh raha hai ya rab use dekh raha hai take bande k dil me us didar ka shauq paida ho dil us k didar ki salahiyyat se malamal ho.
*📚(Asshiaatul Lamaat me Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehlwi Alaihirrahma ki Tashrih ka khulasa).*

و الله اعلم بالحق والصواب
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Muhammad Taufiq Raza Khan Misbahi Sahab Qibla Maddazilahul Aali*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲8487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts