Dadhi Ka Mazaq Udana Kesa ?

 *Dadhi Ka Mazaq Udana Kesa ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
اسلامُ علیکم ورحمۃاللہ وبرکاتہ 
Hazrat Kiya Kisi Ki Bhi Hindu Ya Musalmaan Ka Uski Daadhi Ka Mazak Udana Kaisa ? Ye Bolna Ke Chinese Logo Ke Jaisi Daadhi Hai Aur Hasna Zorse Aisi Chiz Kaisi Aisa Bolna Kaisa?

*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ 
الجواب بعون الملک الحق  
Huzur Sarkar Ala Hazrat Alehirrahma Ki Bargah Me 
Isi Ta'alluq Se Ek Suwal Huwa Aap Uske Jawab Me Irshad Farmate Hain,
Dadhi Ke Sath Mazaq Zaroor Kufr Hai Zaid Ka Imaan Zayel Barbad Aur Nikah Batil Aur Uzr E Jahal Yaani Mas'ala Na Maloom Hone Ka Uzr Batil O Aatil Yani Bekar Ki Zaid Na Kisi Door Daraz Pahad Ki Tili Ka Rahene  Wala Hai Aur Na Abhi Taza Hindu Se Musalman Huwa Hai Ki Use Na Maloom Ho Ki Dadhi Shiaar E Islam Me Se Hai Aur Shiaare Islam Ke Sath Istihza Yani Hasi Mazak Ye Islam Ke Sath Istihza Hasi Mazaq Huwa...
Haañ Ye Mumkin Hai Ki Usse Nikah Tut Jana Na Janta Ho Magar Uska Na Jaanna Uske Nikah Ko Mahfooz Na Rakhega, Shishe Par Pather Feñkne  Se Shisha Zaroor Tut Jayega AgrChe Ye Na Janta Ho Isse Tut Jata Hai..
*📚(Fatawa  Razviya Mutarjim, Jild-21,S-214, 215, Mas'ala-69)*

Jin Baatoñ Ka Sunnat Hona Mash'hoor O Maaruf Na Ho Unki Anjane Me Ki Jaane  Wali Tauhin Kufr Nahiñ Lekin Agar Uska Sunnat Hona Malum Ho Aur O Mash'Hur Maruf Ho, Malum Hone Ke Baad Fir Tauhin Ki Uski Niyat Mazaq Ki Ho to Zaroor Kufr He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Maulana Ashraf Qadri Alimi Sahab*
*📬Madarsa Lateeful Uloom, Raza Nagar, Jigna Mirzapur Up*
*🗓️17 Nov 2024, 14 Jamadi Ul Awwal 1446*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts