*Kya Masjid Ka Imam Masjid Camety Ka Member Ho Sakta He ?*
*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Ke Bare Me Ki,
Hamare Shahar Me Khandani Yaani Baap Dada Ki Ek Masjid He Usme Abhi Tak Camety Nahiñ Bani Hui Thi Lekin Ab Khandan Waloñ Ke Hi Mashware Se Masjid Ki Camety or Trust Banaya Ja Raha He, Masjid Ke Imam Sahab Mukhlis Hai Vo Bhi Usi Khandan Ke Hai, Arz Ye Thi Ki Kya Imam Sahab Imamat W Khitabat Ke Sath Us Masjid Ki Camety Ke Membaroñ Me Shamil Ho Sakte Hai, Agar Ho Sakte Hai to Kya Haisiyat Se Ho Sakte Hai ? (Sadar, Naaib Sadar, Secretary, Khajanchi Ya Faqat Member Wagairah) Rahenumai Farmayeñ.. Or Masjid Camety Ke Member Ko Kaisa Hona Chahiye ? Unki Sharaait Bhi Bayan Farma Dijye, Zaid Kahta He Jo Masjid Ka Imam He Vo Masjid Ki Camety Ka Member Nahiñ Ban Sakta, Zaid Ka Aysa Kahna Kahañ Tak Durust He ? Shariyat Ki Roshni Me Rahenumai Inayat Farmayeñ, Allah Paak Aapko Iske Jawab Ka Ajro Sawab Ata Farmaye, Aameen..
*🌹JAWAB:-🌹*
بسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ
Masjid Ka Member W Mutawalli Sunni Saheehul Aqeedah, Parhezgaar, Ameen W Dayaanat Daar, Hoshyar Ho, Tawliyat Ke Kaam Ko Bakhubi Anjam De Sakta Ho, Bad Aqeedah, Fasiq, Khaain, Aajiz W Kaahil Na Ho, Soorate Mas'oola Me Agar Masjid Ke Imam Sahab Mazkoora Sharaait Ke Hamil Hoñ to Unheñ Sadar Ya Mutawalli Jo Chaheñ Bana Sakte Hai or Zaid Ka Kahna Ki Jo Masjid Ka Imam Hai Vo Masjid Ki Commity Ka Member Nahiñ Ho Sakta Durust Nahiñ Ki Agar Imam Sharte Tawliyat Rakhta Hai to Use Mutawalli Ya Sadar Wagairah Banaya Ja Sakta Hai or Agar Sharte Tawliyat Na Rakhta Ho Khwah Imam Ho Ya Gair to Use Mutawalli Wagairah Nahiñ Banaya Ja Sakta..
Khatimul Muhaqqiqeen Allama Ibne Aabedin Shami Qudisasirrahu's Saami Raqam Taraaz Hai,
"لا يولى إلا امين قادر بنفسه او بنائبه لأن الولاية مقيدة بشرط النظر، وليس من النظر تولية الخائن لأنه يخل بالمقصود، وكذا تولية العاجز لأن المقصود لا يحصل به"
*📚(Shami, Kitabul Waqaf, J-6, S-578)*
Fatawa Hindiya Me He,
"الصالح للنظر من لم يسال الولاية للوقف، وليس فيه فسق يعرف هكذا في فتح القدير"
*📚(Kitabul Waqaf, Al-Baabul Khamis, J-2, S-380)*
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Qudisasirrahu Isi Qism Ke Ek Sawal Ke Jawab Me Raqam Taraaz Hai,
"Laaiq Vo He Ki Dayaanat Daar, Kaar Guzaar, Hoshyar Ho, Jis Par Darbara E Hifazat W Khair Khwahi Waqaf Itminaan Kaafi Ho, Fasiq Na Ho Jis se Batam'a Nafsaani Ya Be Parwahi Ya Na Hifazati Ya Inhimaake Lahw Laab Waqaf Ko Zarar Pahunchane Ya Pahunchne Ka Andhesha Ho, Bad Aql Ya Aajiz Ya Kaahil Na Ho Ki Apni Hamaakat Ya Nadani Ya Kaam Na Kar Sakne Ya Mahnat Se Bachne Ke Baais Waqaf Ko Kharab Kare, Faasiq Agarche Kaisa Hi Hoshyar, Kaarguzar, Maal Daar Ho Hargiz Laaiqe Tawliyat Nahiñ Ki Jab Vo Nafarmani E Shara'a Ki Parwah Nahiñ Rakhta Kisi Kaare Dini Me Us Par Kya Itminaan Ho Sakta He."
*📚(Fatawa Razviya Qadeem, Kitabul Waqaf, J-6, S-504)*
Sadrusshariyah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
"Mutawalli Ayse Shakhs Ko Muqarrar Kiya Jaye Jo Kaare Tawliyat Bakhubi Anjam De Sake, Deen Daar Mutadayyin Ho, Khaain Na Ho"
*📚(Fatawa Amjadiya, Kitabul Waqaf, J-3, S-53)*
Neez Tahreer Farmate Hai,
"Jo Shakhs Awqaaf Ki Tawliyat Ki Darkhwast Kare Ayse Ko Mutawalli Nahiñ Banana Chahiye or Mutawalli Ayse Ko Muqarrar Karna Chahiye Jo Amaanat Daar Ho or Waqaf Ke Kaam Karne Par Qaadir Ho Khwah Khud Hi Kaam Kare Ya Apne Naaib Se Karaye or Mutawalli Hone Ke Liye Aaqil Balig Hona Shart He."
*📚(Bahare Shariyat, Tawliyat Ka Bayan, J-2, S-575)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Katabahu: Mahfoozurrahman Amjadi*
*📬 Al-Mutakhassis Fil Fiqhul Hanfi Imam Ahmad Raza Learning And Research Centre Nasik*
*🗓️10 Nov 2024, 7 Jamadi Ul Awwal 1446*
*✅Qad Sahhal Jawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*_Abul Akhtar Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Gufiralahu_*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik Maharashtra*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad Gujrat_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
*Amanat Me Khayanat Na Kare Yaani Post Me Tabdili Karne Ki Ijazat Nahiñ. Agar Kuchh Khami Ya Lafzi Galti Nazar Aaye To Admin Se Rabta Kare*
No comments:
Post a Comment