Ye Kahna Ki Hazrat Ameer Muawya Ka Adab kiya Jayega muhabbat Na Ki jaye Ya Ye Kahna Ki Hazrat Ameer Muawya Ki Fazilat Bayan Karne Wala Ahle Sunnat Se Kharij He ??

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله وبركاتہ
Ek Shaks Hain Jo Ye Kehta Hain Ki Hazrate Amire Mawaiya Ka Sirf Adab Kiya Jayega Aur Unse Muhabbat Nahi Ki Jayegi Jab Maine Usse Kaha Ki Jiska Adab Hota Hai Usse Muhabbat Bhi Hoti Hai To Usne Kaha Ki To College Jata Hain Wahan Teacher Ka Adab Karta Hain To Kya To Usse Muhabbat Bhi Karta Hai Aur Kahta Hain Ki Hazrate Amire Mawaiya Ki Fazilat Bayan Karenge To Ahlesunnat Se Kharij Ho Jayenge.

Is Masle Per Rahnumai Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sabse Pahle Ye Jaan Lena Chahiye Ki Hazrat Ameer Muaawya Radiallahu Ta'ala Anhu He Kon ? Aap Sahabi E Rasool ﷺ Balki Jalilul Qadr Sahabi He, Kaatibe Wahi E Khuda Or Sultane Islam He.. Or Kisi Bhi Sahabi Ki Fazilat Bayan Karna Bila Shubah Jaaiz Balki Mustahsan He.. Hazrat Ameer Muaawya Radiallahu Ta'ala Anhu Ki Fazaail W Manaaqib Ahadise Karima, Muhaddiseen Ke Aqwaal, Buzurgane Deen Ahle Bayte At'har Se Bhi Sabit He.. To Kya Ma'aazallah Ye Sab Ahle Sunnat Se Kharij Ho Gaye ??? Hargiz Nahiñ... Balki Iske Bar Aqs Hazrat Ameer Muaawya Ki Shan Me Gustakhi Karne Wala, Unhe Bura Kahne Wala Ahle Sunnat Se Kharij W Gumrah Bad Deen He...

Jaisa Ki Huzur Shareh Bukhari Hazrat Allama Shariful Haq Amjadi Sahab Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Ba Ittefaaqe Ahle Sunnat Hazrat Ameer Muaawya Radiallahu Ta'ala Anhu Sahabi Hai Unheñ Bura Kahne Wala Ahle Sunnat Se Kharij Gumrah Bad Deen He.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-32)*

Or Farmate Hai,
Saiyeduna Ameer Muaawya Radiallahu Ta'ala Anhu Bila Shubah Sahabi Hai. Unki Sahaabiyat Se Inkar Karna Gumrahi He.

Sahibe Mishkat Al-Kamaal Me Likhte Hai,
کان ھو و ابوہ من مسلمۃ الفتح
Ameer Muawya Or Unke Baap Youme Fat'he Makka Imaan Lane Waloñ Me The.
*📚(الکمال، صفحہ617)*

Youme Fatah Imaan Laane Waloñ Balki Fateh Makka Ke Baad Imaan Laane Wale Ke Bhi Bare Me He:
 كُلًّا وَّعَدَ اللّٰهُ الْحُسْنٰىؕ
Allah Ne Sab Se Bhalaai Ka Wa'ada Farmaya He.
*📚(Surah Al Hadid, Aayat-10)*

Ameer Muawya Radiallahu Anhu Ka Musalman Hona Mustalzam He Unki Sahaabiyat Or Unka Musalman Hona Hadees Se Saabit He. Huzure Aqdas ﷺ Ne Saiyeduna Imam Hasan Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Bare Me Farmaya:
ابْنِي هَذَا سَيِّدٌ، وَلَعَلَّ اللَّهَ أَنْ يُصْلِحَ بِهِ بَيْنَ فِئَتَيْنِ عَظِيمَتَيْنِ من المسلمین
Mera Ye Beta Saiyed He Mujhe Ummid He Ki Allah Ta'ala Iske Zariya Se Musalmanoñ Ke Do Bade Girohoñ Ki Baabat Sulah Karayega.
*📚(بُخاری شریف، ج:۱, ص:۵۳۰, کتاب المناقب، باب مناقب الحسن والحسین)*
*📚(مشکوۃ المصابیح، ص:۵۶۹)*

Hazrat Imam Hasane Mujtaba Radiallahu Anhu Ki Ye Sulah Hazrat Ameer Muaawya Radiallahu Anhu Hi Se Hui Thi To Sabit Ki Vo Imame Hasan Radiallahu Anhu Se Sulah Ke Waqt Musalman The Or Jab Us Waqt Musalman The To Lazim He Ki Sahabi Bhi The Ki Vo Youme Fateh Makka Islaam Laaye Uske Baad Unse Koi Kufr Sarzad Nahiñ Hua To Sahabi Bhi Huve Unke Bare Me Huzur ﷺ Ne Farmaya:
اللهُمَّ اجْعَلْهُ هَادِيًا مَهْدِيًّا
Ay Allah Inko Hidayat Dene Wala Or Hidayat Yaafta Bana.
*📚(ترمذی شریف، ج:۲، ص:۶۶۵، ابواب المناقب، مطبع مجلس برکات اشرفیہ)*

Huzure Aqdas ﷺ Ki Duaa Yaqeenan Maqbool To Laazim To Hua Ki Ye Haadi Bhi The Or Mahdi Bhi, Unki Shaane Aqdas Me Gustakhi Karne Wala Jahannum Ke Kuttoñ Me Se Ek Kutta He. Bilashubah Vo Tabraai Raafzi He. Usne Bila Shubah Allah Ko Iza Di, RasoolAllah Ko Iza Di Or Bila Shubah Allah Ta'ala Usse Mawakhiza Farmayega.. Hadees Me He Ki Jisne Kisi Sahabi Ko Iza Di Usne Mujhe Iza Di, Or Jisne Mujhe Iza Di, Usne Allah Ta'ala Ko Iza Di, Or Jisne Allah Ko Iza Di, Anqareeb Usse Mawaakhiza Karega.. Ameer Muaawya Radiallahu Anhu Ko Gaaliyañ Dene Wale Ye Nahiñ Sochte Ke Ma'azallah Unme Nifaaq Hota Ya Koi Khaami Hoti To Hazrat Saiyeduna Imam Hasane Mujtaba Radiallahu Anhu Ka Unheñ Khilafat Supurd Karna Is Baat Ki Daleel He Ki Ye Sahabi Bhi The Or Khilafat Ke Ahl Bhi The Is Liye Ameer Muaawya Radiallahu Anhu Par Ta'an Karne Wala Haqeeqat Me Imam Hasan Radiallahu Anhu Par Ta'an Karne Wala He.. Balki Or Aage Barh Kar Huzure Aqdas ﷺ Par Ta'an Karne Wala He.. Is Liye Us Shakhs Ke Gumrah Or Bad Deen Hone Me Koi Shubah Nahiñ.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-30,31)*

Lihaza Ameer Muaawya Radiallahu Ta'ala Anhu Sahabi E Rasool He Unki Shaane Aqdas Bayan Karna Unke Fazaail W Manaaqib Bayan Karna Bila Shubah Jaaiz Mustahsan He... Or Unki Shane Aqdas Me Gustakhi Karna Gaaliyañ Dena Gumrahi Bad Bad Deeni He. Or Bila Shubah Sahabi E Rasool Se Muhabbat Karna Imaan Ka Hissa He... Zaid Ko Apne Qaul Se Taubah Karni Chahiye..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️1 Apr 2023, 9 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts