*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat masla pesh e khidmat hai,
Shohar k ghar biwi ko jod kar 6 afraad hain, aur shohar k sasural me b biwi ko jod kar 6 afraad hai, par biwi is Ramzan apne sasural me nhi apne mayke me hai to biwi k hisse ka jo sadqa e fitra nikaalna hoga wo kis par wajib hoga?
Jawab Hazrat zaroori masla hai khudaara jald az jald jawab inaayat farmaayein,
Jazakum ALLAHU Khairan Katheeran Bi Rahmatika Wa Barkaatika.
Dua go,
*🌹JAWAB:-🌹*
Biwi Ka Sadqa E Fitr Na Uske Maa Baap Par Wajib He Na Uske Shohar Par, Balki Uski Milkiyat Me Se Ada Kiya Jaye, Fir Bhi Aagar Shohar Biwi Ki Taraf Se Ada Kar Deta He To Ada Ho Jayega, Or Ye Us Mard Ka Ahsan Hoga.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Na Balig Ladki Jo Is Qabil He Ki Shohar Ki Khidmat Kar Sake Usa Nikah Kar Diya Or Shohar Ke Yahañ Use Bhej Bhi Diya To Kisi Par Uski Taraf Se Sadqa Wajib Nahi, Na Shohar Par, Na Baap Par Or Agar Qabile Khidmat Nahi Ya Shohar Ke Yahañ Use Bheja Nahi To Badsutoor Baap Par He, Fir Yye Sab Us Waqt He Ki Ladki Khud Malike Nisab Na Ho, Warna Bahr Haal Uska Sadqa E Fitr Uske Maal S Ada Kiya Jaye.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan)*
Or Farmate He,
Apni Aurat Or Awlad Aaqil Balig Ka Fitra Uske Zimma Nahi Agarche Apaahij Ho, Agarche Uske Nafqaat Uske Zimma Ho. Aurat Ya Balig Awlad Ka Fitra Unke Bagair Izn (ijazat) Ada Kar Diya To Ada Ho Gaya. Basharte Ki Awlad Uske Ayaal Me Ho Yaani Uska Nafqa Wagairah Uske Zimma Ho, Warna Awlad I Taraf Se Bila Izn(bagair Ijazat) Ada Na Hoga.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment