*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Sunni H Ai Usksi Dukan Ke Pass 2 Masjid He Ek Sunni Ki Dusri Deobandi Wahabi Ki
Roza Ka Time Pahle Unki Aazan Hoti He Phir Sunni Ki
Mager Koi Mehmaan Ne Jisko Malum Nahi Tha Usne Deobandi Ki Aazan Hote Hi Pani Piliya
Haalanki Sunni Masjid Me Azaan 5 Minutes Baad Huyi
Kya Jisne Devbandi Ki Azaan Se Roza Khola Kya Uska Roza Ho Gaya ??
Ya Roza Qaza Wapas Rakhna Padegaa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'ula Me Ek To Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Ki Azan Sun Kar Iftar Karna Mana He, Or Agar Kar Hi Liya To Iski Do Soorte He Ki Agar Usne Iftar Kar Liya Or Suraj Gurub Ho Gaya Yaani Iftar Ka Waqt Ho Gaya To Roza Ho Jayega, Or Agar Iftari Ka Waqt Nahi Hua Tha 5 Minutes Ya Kuchh Minutes Pahle Kha Pi Liya To Roza Fasid Ho Gaya, Uski Qaza Lazim He.
Fatawa Baraily Shareef Me He,
Wahabi Deobandi Shia Wagairah Ki Azan Ki Aawaz Sun Kar Roza Iftar Karna Bhi Mana'a He.
لعدم قبول قولہ فی الدیانات
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-29)*
*📚(Fatawa Baraily Shareef, S-355)*
Faizane Farze Uloom Me He,
Agar Guroob Aaftab Se Pahle Hi Siren Ki Aawaz Gunj Uthi Ya Azane Magrib Shuru'a Ho Gai Or Aap Ne Roza Iftar Kar Liya Baad Me Maloom Huva Ki Siren Ya Azan Waqt Se Pahle Shuru Ho Gaye The Isme Aap Ka Qasoor Ho Ya Na Ho Bahr Haal Roza Toot Gaya Ussse Qaza Karna Hoga.
*📚(Durre Mukhtar, J-1, S-383)*
*📚(Faizane Farze Uloom, J-1, S-355)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓17 May 2020, 23 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment