Asar Ke Baad Sajda E Tilawat Karna

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum

Sawal....
Mere Ghar Haafiz Sahab Aate Hai Namaz Padane.... Unhone Mujhe Bole Hai K Asar Baad Hum Qurani Ayato Ka Sajda Nahi Kar Skte.......Jaise Hum Quran Sharif Padte Hai Or Usme Jo Sajda Ata Hai...uska Sajda Nahi Karna Hai.....or Aisa Bole K Asar Baad Koi Dusri Ibadat Nahi Kar Skte....or Sajda B Ibadat E Hai Bole......

Mai Asar Baad E Quran Sharif Padta Hu Or Sajda B Turant Kar Leta Hu......

Sawal Ye Hai K Asar K Baad Quran Sharif Ka Sajda Karna Kaisa....❓

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Awqate Makrooha Yaani Tulu'a Aaftab, Nisfun Nahar, Gurube Aaftab, In Waqto Me Kisi Bhi Tarah Ka Sajda Karna Jaiz Nahi, Iska Lagbhag Waqt 20 Minutes Hota He, In Waqto Me Namaz Padhna Ya Sajda Karna Jaiz Nahi, 

Lihaza Asar Ki Namaz Ke Baad Agar Gurube Aaftab Ka Waqt Nahi Hua He To Sajda E Tilawat Kar Sakte He, Or Agar Gurube Aaftab Ka Waqt Ho Gaya Ho (Yaani Magrib Ke Waqt Se 20 Minutes Pahle Tak) Sajda E Tilawat Karna Bhi Jaiz Nahi.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Tulu'a W Guroob W Nisfun Nahar In Tino Waqto Me Koi Namaz Jaiz Nahi, Na Farz Na Wajib Na Nafl Na Ada Na Qaza, Yuñhi Sajda E Tilawat W Sajda E Sahw Bhi Najaiz He, Albatta Us Roz Agar Asar Ki Namaz Nahi Padhi To Agarche Aaftab Dubta Hoo Padhle, Magar Itn Takheer Karna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-3, S-22)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts