*🌹SAWAL:-🌹*
Kisi Khatoon Ko Aitekaaf Me Bethna He, Or Unhone Ab Tak Yaani 20 Roze Ke Baad Raat 10 Baje Tak Niyat Nahi Kari To Kya Ab Kar Le ?? Uski Kya Sharait He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
10 Din Ka Etekaf Jo Sunnat He Uske Liye 20 We Roze Ko Gurub Aaftab Se Pehle Aitekaaf Me Beth Jana He Kyu Ki Bad E Gurub 21 Wi Sab Lag Jaati He.
Jis Tarah Mard Ko 20wi Ramzan Ko Gurub Se Qabl Masjid Me Aitekaaf Ki Niyyat Se Beth Jana He Isi Tarah Aurat Ko Bhi Sunnat Aitekaf Ke Liye Gurub Se Qabl Aitekaf Ki Niyyat Se Masjid E Bayt Me Beth Jana Lazmi He Agar Gurub Ke Bad Bethegi To Ye Sunnat Etekaf Na Hoga Balki Sunnat E Gair Mo'akkida Hoga Jiske Liye Koi Waqt Muqarrar Nahi.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Sunnate Mu'akkeda Aitekaaf: Ki Ramza Ke Pure Ashra E Aakhira Yaani Aakhir Ke 10 Di Me Aitekaaf Kiya Jaye Yaani 20 Ramzan Ko Sooraj Dubte Waqt Ba Niyyate Aitekaaf Masjid Me Ho Or 30vi Ke Guroob Ke Baad Ya 29 Ko Chand Hone Ks Baad Nikle. Agar 20 Tarikh Ko Baad Namaz Magrib Niyate Aitekaaf Ki To Sunnate Mu'akkeda Ada Na Hui Or Ye Aitekaaf Sunnate Kifaya He Ki Agar Sab Tark Kare To Sab Se Mutalba Hoga Or Shahar Me Ek Ne Kar Liya To Sab Bari Uz Zimma.
In Do (yaani Sunnate Mu'akkeda Or Aitekaaf Wajib) Ke Alawa Jo Aitekaaf Kiya. Jaye Vo Mustahab W Sunnate Gair Mu'akkeda He.
*📚(Durre Mukhtar, Aalamgiri)*
Aitekaafe Mustahab Ke Liye Na Roza Shart He Na Uske Liye Koi Khas Waqt Muqarrar, Balki Jab Masjid Me Aitekaaf Ki Niyat Ki, Jab Tak Masjid Me He Mu'atakif He, Chala Aaya Aitekaaf Khatm Ho Gaya.
*📚(Aalamgiri Wagairah)*
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Aitekaaf Ka Bayan)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️14 May 2020, 20 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment