*🌹SAWAL:-🌹*
Faut Shuda Marhum Walidain Ki Taraf Se Sadqa E Fitr Ada Karna Awlad Par Wajib He Ya Nahi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Marhum Walidain Ka Sadqa Ada Karna Awlad Par Wajib Nahi, Magar Ada Kare To Uska Sawab Zaroor Milega.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Sadqa E Fitr Shakhs Par Wajib He Maal Par Nahi, Lihaza Mar Gaya To Uske Maal Se Ada Nahi Kiya Jayega. Haañ Agar Warsa Bataure Ahsaan Apni Taraf Se Ada Kare To Ho Sakta He, Kuchh Jabr Nahi, Or Wasiyat Kar Gaya He To Tihai Maal Se Zaroor Ada Kiya Jayega Agarche Warsa Ijazat Na De.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan)*
Agar Koi Marhum Walidain Ke Naam Se Sadqa Kare To Uska Sawab Marhum Ko Bhi Milta He Or Ada Karne Wale Ko Bhi, Marhum Ke Naam Se Sadqa Ada Karna Jaiz W Mustahab Or Ek Achcha Amal He Magar Farz Ya Wajib Nahi.
Hadees Shareef Me He,
Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Bayan Karti He, Ek Shakhs Ne Rasoole Kareem ﷺ Ki Khidmat Me Arz Kiya Ki Meri Maa Ki Jaan Achanak Nikal Gai He Or Mujhe Yaqeen He Ki Agar Vo Bolti To Zaroor Sadqa Karti. Ab Agar Me Apni Maa Ki Taraf Se Sadqa Karu To Kya Uska Sawab Use Milega ? Aap ﷺ Ne Farmaya: Haañ (Uska Sawab Milega)
*📚(Bukhari, Kitabul Janaiz)*
Hazrat Abdullah Bin Umar W Bin Aas RadiAllahu Anhuma Se Riwayat He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya, Jab Tum Me Se Koi Shakhs Kisi Sadqa E Nafila Ka Irada Kare To Uska Kya Harj He Ki Vo Apne Maa Baap Ki Niyat Se De Ki Unhe Iska Sawab Pahuchega Or Use Un Dono Ke Ajro Ke Barabar Milega. Or Unke Sawab Me Bhi Kuchh Kami Na Hogi.
*📚Jaame Us Sageer Ma'a Faizul Qadeer, Ba Hawala, Ibne Asaakir, Hadees-7943, J-5, S-205)*
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-610)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment