4 Rakat Chasht Ki Namaz Me 3 4 Rakat Me Sana Or Durood Padhne Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Chasht Ki 3 Rakat Me Sana Q Padhi Jayegi, Or Namazo Me To Esa Nhi Hota Or Na Hi Dusri Rakat Me Durood E Ibrahim Padha Jata H Or Hazrat Dua E Mashura Ye Konsi Dua H Rahnumayi Farmaye 

Ye Sawal Mene Isliye Kara H Kuki Upar Ek Jawab Me Ye Bhi Likha H Ki Jese Johar Ki 4 Rakat Padhi Jati H Wese Hi Padhe Ab Johar Me To Ham 3 Rakat Me Sana Nhi Padhte Na Hi 2 Me Drood Shareef Padte Rahnumayi Farmaye Hazrat.

*🌹JAWAB:-🌹*
Asl Me Yeh Jo Chasht Ki Namaz Hai Yeh Nafl Namaz Hai Aur Nafl Namaz Do Do Rakaat Kar Ke Hi Mashrua Hai Yani Do Do Rakaat Kar Ke Padhna Chahiye, Lekin Agar Koi Ek Sath Char Rakaat Padhe Yani Ek Hi Salam Se Padhe Matalab Char Rakaat Padh Kar Salam Phere Tab Bhi Jaiz Hai, Namaz Ho Jayegi.

Lekin Yeh Namaz Chunki Nafl Hai Agarche Ek Sath Char Rakaat Padh Raha Hai Phir Bhi Hukm Me 2 Ke Hi Hai Isi Wajah Se Tisri Rakaat Me Sana Padhi Jayegi Aur Qa'ade Ula Me Bhi Duroode Ibrahim Aur Dua E Masura Bhi Padhi Jayegi.

Rahi Bat Zuhar Ki Char Rakaat Sunnat Ki To Wah Sunnate Mo'akkida He, Char Rakaat Hi Mashrua Aur Char Hi Rakaat Ke Hukm Me Hai.  Yah Jo Kaha Gaya Hai Char Rakaat Chasht Ki Namaz Char Rakaat Zuhar Ki Namaz Ki Tarah Padhi Jayegi Is Ka Matalab Yeh Hai Ki Jis Tarah Zuhar Ki Har Charon Rakaat Me Suraye Fatiha (alhamdu) Ke Bad Surat Milate Hain Usi Tarah Chasht Ki Har Char Rakaat Me Bhi Suraye Fatiha Ke Bad Surat Milai Jayegi.

Or Jo Bhi 4 Rakaat Wali Nafl Padhni Ho Isi Tarah Padhi Jayegi Aur Har Char Rakaat Wali Sunnate Gair Muakkidah Bhi Isi Tarah Padhi Jayegi.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Jo Sunnate Mu'akkeda 4 Raka'ati He Uske Qa'ada Ula Me Sirf Attahiyat Padhe, Agar Bhul Kar Durood Shareef Padh Liya To Sajda E Sahw Kare Or In Sunnato Me Jab Tisri Raka'at Ke Liye Khada Huva To Subhanak Or A'auzu  Bhi Na Padhe, Or Inke Alawa Or Char Raka'at Wale Nawafil Ke Qa'ada Ula Me Bhi Durood Shareef Padhe Or Tisri Raka'at Me Subhanak Or A'auzu Bhi Padhe, Basharte Ki Do Raka'at Ke Baad Qa'ada Kiya Ho Warna Padhla Subhanak Or A'auzu Kafi He.
*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4)*
واللہ تعالیٰ اعلم

*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️24 May 2020, 30 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts