Namaz Me Bich Wali Aayat Chhod Kar Baad Wali Aayat Padhna

*🌹SAWAL:-🌹*
Jab Imam Namaz Padhaye Aur Suarh Fatiha K Baad K Jb Surat Milaye To Teen Aayat Padhna Jaruri H Lekin Imam Ne Namaz Padhayi Aur Ek Ayat Padhne K Baad Dusri Aayat Bhul Kr Chut Gayi Aur Fir Agli Kuch Aayate Padh

Sawal Ye Hai Ki Kya Ek Aayat Padhne K Baad Dusri Aayat Bhul Kr Chut Jaye Aur Fir Agli Kuch Aayte Padhe To Namaz Ka Kya Huqm H

Aur Dusra Sawal Ye Ki Imam Ne Surah Falak Ki Shuru Ki Teen Aayate Padhi Aur 4thi Aayat Bhul Gaye Fir 5vi Aayat Padhi To Ab Namaz Ka Kya Huqm H
Rehnumayi Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Imam Sahab Ne Bhul Kar Ek Aayat Chhod Kar Dusri Aayat Padhi To Agar Usse Ma'ana Me Fasad Lazim Aata He To Namaz Na Hogi Or Agar Ma'ana Fasid Na Huva To Namaz Ho Gai. Or Is Tarah Karna Makrooh He Or Agar Bhul Se Aysa Hua To Lote Or Chhuti Hui Aayate Padhe.

Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Qira'at Me Galti Hone Me Qaaida E Kulliya Ye He Ki Agar Aysi Galti Hui Jis Se Ma'ana Bigad Gaye, Namaz Fasid Ho Gai, Warna Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-122)*

Or Farmate He,

Agar Ek Hi Raka'at Me Chand Aayate Padhi Fir Kuchh Chhod Kar Dusri Jagah Se Padha To Makrooh He Or Bhul Kar Aysa Huva To Lote Or Chhuti Hui Aayate Padhe.
*📚(Bahare Shariyat H-3, S-117)*

Or Masaile Sajda e Sahw Me He,
Agar Kisi Ne Ek Hi Raka'at Me Kisi Surah Ki Chand Aayate Padhi Fir Kuchh Chhod Kar Dusri Jagah Se Usi Surah Ki Aayate Padhi To Aysa Karna Makrooh He Or Agar Bhul Kar Aysa Huva To Yaad Aate Hi Lotaye Orr Chhuti Hui Aayate Padhe, Magar Is Par Sajda E Sahw Nahi.
*📚(Masaile Sajda S Sahw, S-64)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓7 May 2020, 13 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts