*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Sawal Ye He 1 Lakh Me Ghar Girvi Rakha He To Kiya Us Shaqs Ko Zakat Deni Padegi Or Uske Pas Ye Lok Dwaun Ke Mahol Me Itna Pesa Nahi He Ke Vo Zakat De Sake To Uspar Kiya Hukm He Jawab Inayat Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
بسم اللہ الرحمن الرحیم
Zahir Yahi Hai K Jo Usne Giroh Makan Rakh Kar Ek Lakh Diya Hai Uski Hasiyat Qarz Ki Hai Aur Jo Bhi Hamara Paisa Dusre Par Qarz Aata Hai Uski Zakat Malik Par Vajib Hoti Hai. Lihaza Aap Par Us Ek Lakh Ki Zakat Vajib Hai ..lekin Aap Ne Majburi Zahir Ki K Lockdawon Me Aap Ke Paas Zakat Nikalne Ke Paise Nahi Hai To Koi Harj Nahi Shariat E Mustafa ﷺ Bahut Aasan Hai Us Ne Aap Par Ye Enaam Aur Ehsan Kiya K Abhi Uski Zakat Ada Karna Aap Par Wajib Nahi Balki Jab Voh Rupe Aap Ke Pas Aajaye Tab Usko Ada Karna Vajib Hai. Magar Jab Bhi Aap Ko Aasani Ho Ada Karde To Behter Hoga. Aysa Hi Kutub E Fiqh Me Mazkur Hai
ھذا ما ظھر لی و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment