*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Shawal Ke 6 Roze Ke Bare Me Batae Aur Uski Fazilat
*🌹JAWAB:-🌹*
Shawwal Me 6 Din Ke Roze Jinhen Log Shasha Eid Ke Roze Kahte Hai.
Bahetar Ye He Ki Ye Roze Mutafarriq Rakhe Jaaye Or Eid Ke Baad Lagatar 6 Din Me Ek Sath Rakh Le, Tab Bhi Harj Nahi.
Muslim W Abu Dawood W Tirmizi W Nasai W Ibne Maja W Tabrani Abu Ayub RadiAllahu Anhu Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Farmate Hai, Jisme Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Unke Baad 6 Din Shawwal Me Rakhe To Aysa He Jaise Dahr Ka Roza Rakha.
*📚(Sahih Muslim, Kitabus Siyam, Hadees-1164, S-592)*
Or Isi Ke Misl Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marwi.
Nasai W Ibne Khuzaima W Ibne Hibban Soban RadiAllahu Anhu Se Or Imam Ahmad Or Tabrani W Bazaar Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhuma Se Raawi, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya,
Jis Ne Eidul Fitr Ke Baad 6 Roze Rakh Liye To Usne Pure Saal Ka Roza Rakha, Ki Jo Ek Neki Laaye Ga Use Das. Milegi To Maahe Ramzan Ka Roza Das Mahine Barabar He Or Un 6 Dino Ke Badle Me Do Mahine To Pure Saal Ke Roze Ho Gaye.
*📚(Sunane Kubra Lil Nasai, Kitabus Siyam, Hadees-2860,2861, J-2, S-162,163)*
Tabrai Awsat Me Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Se Raawi, Ki RasoolAllah ﷺ Farmate Hai,
Jisme Ramzan Ke Roze Rakhe Fir Uske Baad 6 Din Shawwal Me Rakhe To Gunaho Se Ayse Nikal Gaya, Jaise Aaj Maañ Ke Pet Se Paida Huva He.
*📚(Al Maujamul Awsat, Hadees-8622, J-6, S-233)*
*📚 (Bahare Shariyat, Jild-1, Hissa-5, S-1010)*
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️26 May 2020, 2 Shawwal 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment