*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat
Ek Dost Ka Sawaal Hai Kii Jab Woh 16-17 Saal Ka Thaa Toh Woh Apne Hindu Dosto Ke Saath 2-3 Baar Mandir Gaya Tha Aur Pooja Paath Bhi Kiya Lekin Us Time Pe Usko Deen Ke Baare Me Kuch Knowledge Nii Thaa Ki Usne Shirk Kiya Lekin Ab Use Yeh Ehsaas Hua Kii Usne Shirk Kiya Toh Aisi Haalat Me Ab Woh Kya Kare Kya Shirk Ki Maafi Hai Kyunki Usne Anjaane Me Kiya Toh Ab Woh Bahut Pachta Raha Hai Toh Ab Wo Kya Kre Jawab Irsal Farmaye Hazrat
*🌹JAWAB:-🌹*
و علیکم السلام و رحمۃ اللہ و برکاتہ
Ye Uzr K Usko Maloom Nahi Tha, Anjane Me Huva Ye Sab Uzr E Lung Hai, Kyu K Zarooriyat E Deen Ka Ilm Hasil Karna K Iman Ki Hifazat Ho Sake Farz E Ain Hai.
Sidq Dil Se Touba Kare Astagfar Kalima Vagera Padhe Dobara Pir Sahab Se Bayat Kare Agar Shadi Hui Hai To Dobara Shadi Kare ..
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 May 2020, 7 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment