Rishtedar Ko Zakat Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum .
Zaid k rishtedar ko ladka nahi hai aur lockdown jaise halat hai aur taklif hai to inhe zakat de sakte hai ya nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
وعلیکم السلام و رحمۃاللہ وبرکاتہ
Zaid ke rishtedar agar sahibe nisab nahin hain aur zakat ke mustahiqe hain to desakte hain.

Jaisa ki fatawa jamiah ashrafiah me hai,
zakat wagairah sadaqaye me afzal yeh hai ki pahle apne bhaiyoñ aur bahnoñ ko de phir unki aulad ko de phir chacha aur phophi ko phir un ki aulad ko phir mamu aur khala ko phir unki aulad ko phir zawil arham yani rishte daaron phir padosiyon ko phir apne pesha walon ko phir apne shahar ya gaon ke rahne walon ko.
*📚(Fatawa jamiya ashrafiah jild 1 safah 316)*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️17 May 2020, 23 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts