*🌹SAWAL:-🌹*
Fitra Ki Raqam Masjid Aur Madarse Ke Kharch K Liye Dena Kaisa Aur Agar Usme Se Imam Sahab Ki Tankhwah Bhi Di Jaye To Kya Huqm Hai Aur Sirf Madarse Par Kharch Karna Kaisa Jabki Hilae Sharai Kiya Jaye
Rehnumayi Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
Har Vo Jagah Jahañ Par Zakat Di Ja Sakti He Vahañ Sdaqa Fitra Bhi De Sakte He,
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Fitra Ke Masaarif Ba Ayniya Masaarife Zakat Hai.
*📚(Fatawa Razviya, J-10, S-266)*
Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Taherir Farmate He,
Sadqa E Fitr W Zakat Na Ta'ameere Madarsa Me Sarf Ki Ja Sakti He, Na Tankhwahe Mudarriseen Me, Magar Is Qism Ki Madado Ko Agar Nikal Diya Jaye To Madarsa Ki Aamdani Us Zamane Me Itni Kam Reh Jayegi Jis Se Uska Chalna Dushwar Ho Jayega Or Tahsile Ilm Ka Darwaza Band Hota Huva Nazar Aayega, Lihaza Un Cheez Me Zakat Or Sadqa E Fitr Bataure Heela Ke Sarf Kiya Jaye.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-376)*
Mazeed Tafail Ke Liye, Zakat Ka Rupya Madarsa W Masjid Me Sarf Karne Ka Hukm Pahle Bayan Kiya Gaya Usse Bhi Aap Jawab Akhz Kar Sakte He. Padhne Ke Liye Is Link Par Click Kare👇
Https://pathanmoinraza13.blogspot.com/2020/05/zakat-ki-raqam-masjid-madarsa-me-sarf.html
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️20 May 2020, 26 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment