*🌹SAWAL:-🌹*
assalamualyekum hazrat kya orat bina choti bandhe namaz padh sakti h juda bandh kar ya bal khule chod kar agar nhi padh sakti to q nhi padh sakti iski kya wajah h rehnumayu farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurat Choti Bandh Kar Namaz Padh Sakti He Isme Koi Harj Nahi, Or Baal Khule Rakh Kar Bhi Namaz Padh Sakti He Bashrteki Baal Parde Me Rahe Ki Aurat Ke Baal Bhi Aurat He. Yaani Chhupane Ki Cheez He, Or Agar Aurat Ke Baal Bahar Nazar Aaye To Namaz Na Hogi. Bahetar Yahi He Ki Joda Bandh Kar Ya Balo Ko Chhupa Kar Hi Namaz Padhe.
Jais Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Joda Bandhne Ki Karahat Mard Ke Liye Zaroori He, Hadees Me Saaf نھی الرجل He, Aurat Ke Baal Aurat Hai Pareshan(Khule) Honge To Inkeshaf Ka Khauf He Or Choti Khulne Ka Use Gusl Me Bhi Hukm Na Huva Ki Namaz Me Kaffe She'ar Gandhi Choti Me He Jab Usme Harj Nahi Jode Me Kya Harj He.
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-296)*
Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Agar Chadar Me Se Aurat Ke Baalo Ki Siyahi Chamke Namaz Na Hogi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-3, S-48)*
Or Farmate He,
Itna Bareek Dupatta Jis Se Baal Ki Siyahi Chamke, Aurat Ne Udh Kar Namaz Padhi, Na Hogi, Jab Tak Us Par Koi Aysi Cheez Na Udhe, Jis Se Baal Wagairah Ka Rang Chhup Jaye.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-3, S-49)*
Baal Khol Kar Namaz Padhne Se Baal Nazar Aa Sakte he, Lihaza Bahetar Yahi He Baal Bandh Kar Hi Namaz Padhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓2 May 2020, 8 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment