*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mard Ko Hathoñ Me Chandi Ka Kada Pahanna Kesa He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mard Ko Haath Me Chandi Ka Kada Ya Kisi Bhi Tarah Ka Kada Ya Chhalla Pahanna Najaaizo Haram He. Mard Ko Sirf Ek Nang Wali Chandi Ki Ek Anguthi Vo Bhi Saarhe Chaar Masha Se Kam Wazan Ki Pahanna Jaaiz He, Uske Alawa Zewraat Pahanna Jaaiz Nahiñ..
Sarkar Aala Hazrat Se Suwal Hua Ki Mardoñ Ko Chandi Ka Chhalla Hath Ya Paanw Me Pahanna Kesa Jiske Jawab Me Aap Tahreer Farmate Hai,
Haram He,
فقد قال صلی اﷲ تعالٰی علیہ وسلم فی الذھب والنضۃ انھما محرمان علی
Sone Chandi Ke Muta'alliq Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya: Ye Donoñ Meri Ummat Ke Mardoñ Par Haram He.
قلت ولایجوز القیاس علی خاتم الفضۃ لانہ لایختص بالنساء بخلاف مانحں فیہ فینھی عنہ الاتری الی مافی ردالمحتار عن شرح النقایۃ انما یجوز التختم بالفضۃ لو علی ھیئۃ خاتم الرجال امالو لہ فصان اواکثر حرم
*📚(ردالمحتار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس داراحیاء التراث العربی بیروت ۵ /۲۳۱)* انتہی ولان الخاتم یکون للتزین وللختم اما ھذا فلاشیئ فیہ الاالتزین وقد قال فی الدرالمختار لایتحلی الرجل بفضۃ الا بخاتم اذا لم یرد بہ التزین *📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی اللبس مطبع مجتبائی دہلی ۲ /۲۴۰)* اھ ملخصا۔وفی الکفایۃ قولہ الا بالخاتم ھذا اذا لم یرد بہ التزیین *📚(الکفایۃ مع فتح القدیر کتاب الکراھیۃ مکتبہ نوریہ رضویہ سکھر ۸ /۴۵۷)* اھ انتہی
(Sarkar Aala Hazrat Farmate Hai) Me Kahta Huñ, Isko Chandi Ki Anguthi Par Qayas Karna Jaaiz Nahiñ ( Ki Ye Jaaiz He To Vo Bhi Jaaiz Hona Chahiye) Kyuñ Ki Chandi Ki Anguthi Aurtoñ Ke Sath Mukhtas Nahiñ Bakhilaf Uske Jis Ki Ham Bahas Kar Rahe Hai (Yaani Chandi Ka Chhalla) Ki Is Se Mardoñ Ko Mana'a Kiya Jayega..
Kya Tum Iski Taraf Nahiñ Dekhte Jo Fatawa Shami Me Naqaaya Ke Hawale Se Aaya He Ki Chandi Ki Anguthi Pahanna Agar Mardana Hai'at Ke Mutabiq Ho to Jaaiz He Lekin Agar Iske Do Ya Do Se Zaaid Nageene Ho to Haram He or Isliye Ki Anguthi Zaibo Zeenat or Mahar Ke Liye Hua Karti He Lekin Chhalla Me Zaibo Zeenat Ke Alawa Koi Maqsad Baaqi Nahiñ Rahta Halañki Durre Mukhtar Me Farmaya Ki Mard Siwa E Anguthi Ke Chandi Ka Koi Zewar Na Pahne or Usse Bhi Zaibo Zeenat Murad Na Hoñ. الخ..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, S-148, Mas'ala-19)*
Or Farmate Hai,
Hath Khwah Paanw Me Taanbe, Sone, Chandi, Peetal Lohe Ke Chhalle Ya Kaan Me Baali Ya Bunda Ya Sone Khwah Taanbe Peetal Lohe Ki Anguthi Agarche Ek Taar Ki Ho Ya Saarhe Chaar Maashe Chandi Ya Kai Nag Ki Anguthi Ya Kai Anguthiyañ Agarche Sab Mil Kar Ek Hi Masha Ki Ho Ki Ye Sab Cheezeñ Mardoñ Ko Haram W Najaaiz Hai or Unse Namaz Makroohe Tahreemi.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, S-307, Mas'ala-990)*
Or Farmate Hai,
Chandi Ka Chhalla Khas Libaase Zanaan (Aurtoñ Ka) He Mardoñ Ko Makrooh. Or Makrooh Cheez Pahan Kar Namaz Bhi Makrooh. Mard Ko Chandi Ki Anguthi Ek Nag Ki Sarhe Char Mashe Se Kam Wazan Ki Jaaiz He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-15)*
Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Mard Ko Zewar Pahanna Mutlaqan Haram He Sirf Chandi Ki Ek Anguthi Jaaiz He, Jo Wazan Me Ek Misqaal Yaani Saarhe Char Maasha Se Kam Ki Ho.
*📚(Bahare Shariyat, Anguthi or Zewar Ka Bayan, H-16 Mas'ala-1)*
Aage Farmate Hai,
Mardoñ Ke Liye Ek Se Zyada Anguthi Pahanna Ya Chhalle Pahanna Bhi Najaaiz He Ki Ye Anguthi Nahiñ..
*📚(Bahare Shariyat, Anguthi or Zewar Ka Bayan, H-16 Mas'ala-12)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,petlad_*
*🗓️31 Oct 2023, 15 Rabi Ul Aakhir 1445*
📲+9
*🌹 SAWAL-O-JAWAB 🌹F.T.S👑GRP*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•