Masjid Ke Mic Ki Iqteda Me Gharo Me Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Corona Virus Ki Vajah Se Log Masajid Me Aa Nahi Sakte Panch Afraad Ke Alava Panj Waqtah Namaze Aur Namaz E Jumuaah Bhi Gharo Me Hi Padhi Jati He
Zaid Jo Ek Masjid Ka Imam He Vo Maic Per Namaz Padhata He To Kiya Log Maik Me Aavaz Sun Kar Apne Apne Gharo Me Hi Namaz E Jumuah Tawawih Aur Digar Namaz E Ada Kar Sakte Hen. ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jamhoor Muftiyane Kiram Ke Nazdik Loudspeaker Par Eqteda Sahi Nahi ....ha Agar Imam Sahab Ne Khud Loudspeaker Me Aavaz Nahi Pahunchai Aur Qarib Khade Muqtadiyon Ne Imam Ki Asli Aavaz Par Eqteda  Ki To Imam Aur Muqtadi Hazrat Ki Namaz Ho Gai.......
Aur Rahi Baat Gharo Me Eqteda Karne Vale Logon Ki Namaz To Ye Bil Ettefaq Sab Ke Nazdik Namaz Nahi Hui ...kyu Ki Eqteda Ki Ek Shart Ye Bhi Hai Imam Aur Muqtadi Ke Bichh Etni Jagah Khali Na Ho K Bich Se Koi Bel Gadi Guzarne Ki Jagah Ho. To Is Surat  Me Gharo Per Rehkar Namaz Padhne Valon Ki Namaz Nahi Hogi .....
Jaisa K *📚Bahar E Shariat* Me Hai ...
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 April 2020 Iswi, 18 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts