*♨️Wahabi, Tabligi, Rafzi Wagairah Batil Firqo Ke Sath Waqt Ki Nazakat Ki Duhai De Kar Ekta Or Saare Aeteqadi Ikhtelaf Ko Baala E Taaq Rakh Kar Ek Hone Ka Raag Alapne Wale Or Daleel Me Huzur Mufti Aazame Hind علیہِ الرحمہ Ke Ek Hakeemana Fatwa Ko Pesh Karne Walo Ko Jawab📌*
⏬Sab Se Pahle Istafta Or Aap Ke Fatawa Ke Alfaz Padhe..
Padra Vadodara Gujrat Se Ek Sawal Aaya Tha
*📃Istefta*
Riyasat Baroda Ke Andar Musalmanane Baroda Raaj Confrence Naami Ek Anjuman Waste Haqooqe Talbi W Tahaffuze Islam Qaaim Ki Hui He. Ye Anjuman Beech Koi Mazhabi Umoor Ke Dakhal Karne Ke Waste Nahi He Sirf Yahañ Ke Hunood Rajah W Hunood Riaaya Ke Samne Musalmano Ke Huqooq Ki Hifazat Ka Kaam Karne Wali He. Is Liye Isme Bila Qaid Har Firqe Ke Kalma Go Shamil Ho Sakte Hai. Kya Is Anjuman Me Sunni Hanfi Musalmano Ko Shareek Hona Jaiz He ?
⏳Az: Padra Gujarat Mursala Jamal Bhai Qasim Bhai
*☘️Al-Jawab*
Aysi Anjuman Me Shirkat Bara E Tahaffuze Ahle Sunnat Ba Muuqabla Firqa E Batila W Tahaffuze Huqooqe Islam Ba Muuqabla Aa'ada E Islam Zaroori He. Firqa E Batil Ke Sath Vo Mujalasat (sath Me Uthna Bethna) Najaizo Haram He Jo Bar Bina E Muhabbat W Mawalaat Ho. Neez Jo Be Zaroorat W Hajat W Maslehate Sharaiyah Ho. Na Vo Jo Bara E Tablig W Rad Ho. واللہ تعالی اعلم
👆Ye Mukammal Sawal W Jawab Ki Ibarate Hai.
➡️Sabse Pahle Fatwa Ka Tajziya Or Ma'na Ki Wazahat Zaroori Samjhta Hu Ta Ki Baat Samajhne Me Aasani Ho Jaye.
*🔰Fatwa Ka Pahla Tukda Or Us Ka Matlab*
*_Tahaffuze Huqooqe Ahle Sunnat Ba Muuqabla Firqa E Batila_*
➡️Is Ibarat Ka Matlab He Batil Firqe Maslan Wahabi Deobandi Rafzi Wagairah Ke Muqabla Me Ahle Sunnat Ke Huqooq Ki Hifazat Karna Us Anjuman Ka Maqsad Ho.. Na Ki Imano Kufr Ko Ek Karne Ka Mishan Ho.
Is Ibarat Se Saaf Wazeh He Ki Ye Fatwa Wahabiyo Wagairah Badmazhabo Ke Sath Salam Kalam Ulfat W Muhabbat Ke Bare Me He Hi Nahi, Balki Isi Pahle Tukde Se Sulah Kulli Ekta Ke Batil Nazarya Ka Rad Kar Diya Gaya He.
Lihaza Jis Anjuman Me Aqidae Ahle Sunnat Ki Hifazat Na Ho Paye Usme Shirkat Hargiz Jaiz Nahi Hogi.
*🔰Fatwa Ka Dusra Tukda Or Uska Matlab*
*_Wa Tahaffuze Huqooqe Islam Ba Muuqabla Aa'ada E Islam_*
➡️Is Ibarat Ka Matlab He Ki Islam Ke Dushmano Ke Muqabla Me Islam Ke Huqooq Ki Hifazat Us Anjuman Ka Maqsad Ho. Na Ki Kufro Shirk Ko Ek Karna Maqsad Ho.
*🔰Fatwa Ka Tisra Tukda Or Uska Matlab*
*_Firqa E Batila Ke Sath Vo Mujalasat Najaizo Haram He Jo Bar Bina E Muhabbat W Mawalaat Ho. Neez Vo Jo Be-Zaroorat Wa Be-hajat W Maslehate Sharaiyah Ho._*
➡️Yaani Batil Firqo Maslan Tabligi Kharji Wagairah Ke Sath Unke Liye Dil Me Narmi, Muhabbat Or Bhai Chare Ke Sath Bethna Najaizo Haram He. Sath Hi Unke Sath Meeting Karne Me Na Koi Sharai Zaroorat Ho Na Deeni Hajat Ho Na Koi Mazhabi Faaida Tab Bhi Haram Hi He.
🌼 Or Yaha To Mu'amla Hi Bar Aks (Ulta) He, Wahabiyo Ke Sath Salam Kalam Khana Peena Unka Difa'a , Un Ke Ta'alluk Se Narmi Baratne Wale Sulaahkulliyat Ke Virus Zada Log Apna Ullu Sidha Karne Ke Liye Is Sulaahkulliyat Shikan Mubarak Fatwa Ka Najaiz Sahara Le Kar Apne Ilhaadi Kartooto Par Parda Dalne Ki Napak Koshish Kar Rahe Hai.
💠Neez Is Fatawa Me Ye Kahañ He Ki Mazhabi W Aeteqadi Ikhtelaf Ko Bhula Kar Vahabiyo Vagairah Bad Mazhabo Se Ek Ho Jayeñ.
*Hargiz Hargiz Nahi He...* Agar Koi Ye Matlab Nikalta He To Yaqeenan Ye Sarkar Mufti Aazame Hind Par Bohtan Lagata He. استغفراللہ
Kyuñ Ki Unse Hamara Ikhtelaf Tha He Or Rahega, Ye Usi Waqt Khatm Ho Sakta He Jab Ki Sunniyat Ke Sachche Aqaid Ko Vo Tasleem W Qubool Karle Or Apni Badmazhabi Se Sachchi Taubah Karke Sunni Ho Jaye.
💠Neez Is Fatwa Me Aysi Anjuman Me Ahle Sunnat Ke Huqooq Ki Hifazat Ke Liye Sunniyat Ka Numainda Ban Ke Shareek Hone Ki Baat He. Ye Kahañ Farmaya Ki Wahabiyo Ke Sath Shareek Ho Jaao. Unse Hath Mila Lo, Unse Ek Ho Jaao ?
Alhamdulilllah Hamne Pure Fatawa Ki Durust Wazahat Karke Bata Diya Ki Ekta Or Sulahkulliyat Ki Been Bajane Wale Is Fatwa Se Awam Ko Jo Dhoka Dene Ki Koshish Kar Rahe Hai Ye Bilkul Galat Or Batil He. Or Is Fatwa Se Ye Sabit Hi Nahi Hota Ke Waqt Ki Nazakat Ko Dekh Kar Unse Ittefaq Kar Liya Jaye.
❇️Lihaza Sunni Awam Se Guzarish He Ki Vo Har Haal Me Wahabi Deobandi Rafzi Wagairah Badmazhabo Se Door Hi Rahe Unhe Apne Qareeb Na Aane De Na Khud Unse Qareeb Ho Usi Me Iman W Islam Ki Hifazat He.
*✍🏻Hazrat Allama Hafiz Taufiq Khan Razvi Sahab Qibla*
*📬Khadim Ilm Shareef Darul Uloom Mustafaiyah, Haldarva Gujarat*
*Wa Sadar Jamaat Raza E Mustafa, Petlad, Anand Guj.*
📲Rabta: 7698502040
*✅TASDIQAAT*
✅MashaAllah Me Ne Pure Fatwe Ko Padha MashaAllah Wakt K Hisab Se Acchi Wazahat Farmai Hai, Me Is Ki Tasdiq W Taeed Karta Hu.
*Khateeb E Gujarat Hazrat Allama Mufti Ashraf Raza Saheb Qadri Badyuni.*
*Muhtamim Jameah Madeenatul Uloom Ratanpoor Kheda Gujarat.*
✅Huzur Muftiye Aazam Alaihirrahmah K Fatwa Ki Aap Ne Bilkul Durust Wazahat Farmai Hai Me Is Ki Tasdiq Karta Hu
*Hazrat Allama Ismail Amjadi Sahib Qibla*
*Sadar Jamat Raza E Mustafa Surat Gujarat*
✅MashaAllah Fatwe Ka Bilkul Sahi Matlab Or Sahi Mafhum Aap Ne Bayan Kiya MashaAllah Tarjamani Bahot Acchi Ki.
*Fazil E Jamea Azhar Misr, Hazrat Allama Mufti Junaid Sahib Qibla Qadri , Nadiad Gujarat.*
✅ Al-Jawabus Sahih Wallahu Ta'aala Aa'alam
*Hazrat Allama Mufti Abdus Sttar Razvi Sahab Qibla*
*Khadim Tadriso Ifta Madarsa Irshadul Uloom, Aalim Bazar, Kalkatta*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment