Tarawih Me Surto Ki Yarteeb Zaroori He Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Taravi Me Suraton Ko Tarteeb War Padne Sehi Namaz Hogi Ya Jo B Surat Padne Se Hojayegi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ye Koi Zaroori Nahi He Ki Aap Tarteeb Se Tarawih Me Surto Ko Padhe, Balki Baqadre Farz W Wajib Yaani Farz Or Wajib Ki Adayegi Ke Liye Qura'an Shareef Jitna Padhna Zaaroori He Aap Utna Padhe, Fir Bhi Aap Ki Tarawih Ki Namaz Ho Jayegi, Haañ Ye Baat Zaroori He Ki Aap Ulta Qura'an Shareef Na Padhe Yaani Ulti Surte Na Padhe, Misal Ke Taur Par Pahle Tabbat Yada He Uske Baad Qul Hawallahu Ahad He Uske Baad  Sura E Falaq Uske Baad Sura E Naas He, To Use Ulta Karke Na Padhe Isi Tarteeb Se Padhe.

Har Do Rakat Me Qirat Yani Quran Padhne Ka Alag Alag Hukm Hai Yani Pahli Do Rakat Me Jo Padha Usi Surat Ko Bad Vali Rakat Jo Salam Ferne Ke Baad Padhi Usme Me Bhi Padh Sakta Hai. Aur Bar Bar Usi Do Surat Ko Bhi Har Do Rakat Me Bhi Padh Sakta Hai ...bas Ye Khayal Rakhhe K Ulti Tartib Na Ho Jaye Magar Ye Hukm Usi Do Rakat Me Hai Bad Taravih Ki  3aur 4 Rakat Me Padhega To Ye Ulti Tartib Na Hogi....misal Ke Tor Par Pehli Do Rakat Me Surah E Falaq Padhi Aur Dusri Me Naas Aur Bad Me Jab 3aur 4 Rakat Me Sura E Maoon  Aur Kausar Padhi To Tartib Ulti Na Hogi ...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts