Jumuah Ka Nafl Roza Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Jumma Ka Nafil Roza Rakh Sakte Hai Ya Nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sirf Jumuah Ka Roza Rakhna Bahetar Nahi Magar Najaizo Gunah Bhi Nahi Balki Makroohe Tanzihi He. Is Liye Bahetar He Ki Sirf Jumuah Ke Din Roza Na Rakhe Usse Pahle Jume'arat Ya Jumuah Ke Baad Sanichar Ke Din Bhi 1 Roza Rakhe..

Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Ki Nabi E Akram  ﷺ Ne Farmaya Ki Jumuah Ke Din Koi Roza Na Rakhe Magar Is Soorat Me Ki Uske Pahle Ya Baad Ek Din Or Roza Rakhe.
*📚(Miraat Sharah Mishkat, J-3, S-186)*

 Or Ibne Khuzaima Ki Riwayat He,
Jumuah Ka Din Eid He, Lihaza Eid Ke Din Ko Roza Ka Din Na Karo, Magar Ye Ki Uske Qabl Ya Baad Roza Rakho.
*📚(Sahih Muslim, Kitabus Siyaam, Safha-576, Hadees-1144)*

*📚(Bahare Shariyat, J-5, S-149)*

Agar Kisi Khusoos Tarikh Ko Jumuah Ya Hafta Aa Gaya To Karahat Nahi. Masalan 15 Shabanul Mu'azzam , 27 Rajabul Murajjab Wagairah..

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Jumuah Ke Din Roza Ke Liye Khas Na Karo, Haañ Koi Kisi Qism Ka Roza Rakhta Tha Or Jumuah Ka Din Roza Me Waqe'a Ho Gaya To Harj Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-149)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts