Iftar Ki Dua Kab Padhe ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum, Iftar Karne Ki Dua Kab Padhi Jaye, Iftar Karne Se Pahle Ya Baad ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Roza Iftar Karne Ki Dua Iftar Ke Baad Padhi Jaaye, Hadees Shareef Me He Ki,
عن معاذ بن زھرۃ قال النبی صلی اللہ تعالی علیہ و سلم کان اذا افطرقال الھم لک صمت وعلی رزقک افطرت-
*📚(Mishkat Shareef, S-175)*

Hazrat Mulla Ali Qari Rahematullah Alaihi Mirqaat Sharah Mishkat Me Is Hadees Shareef Ki Sharah Karte Huve Taherir Farmate He Ki,
کان اذا افطر قال ای دعاو قال ابن المللک ای قرأ بعد الا فطار ھذا ماعندی
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-516)*

Or Huzur Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Farmate He,

اللَّهُمَّ اِنِّى لَكَ صُمْتُ وَبِكَ امنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ  وَعَلَى رِزْقِكَ اَفْطَرْتُ
Tarjama: Ay Allah Mene Tere Liye Hi Roza Rakha Or Tujhi Par Iman Laya Or Tere Hi Diye Huye Rizq  Se Roza Khola.

Mas'ala Ye He Ki Ye Dua Roza Kholne Ke Baad Padhi Jaani Chahiye, Yaani Roza Iftar Karne Ke Baad Roza Daar Kha Pee Le Fir Mazkoora Bala Duaa Padhe,

Ye Daleel He Is Baat Ki Ke Kaam Roza Rakhna Or Iman Lana Pahle He Yuñhi  وَعَلَى رِزْقِكَ اَفْطَرْتُ Tere Hi Rizq Par Iftar Kiya Bhi Maazi He, Jo Ki Ye Daleel He Is Baat Ki Ke Duaa Roza E Iftar Yaani Khane Pine Ke Baad Ho.
*Makhuz:📚(Iftare Roza Ki Dua Ki Tahqiq)*
Mazeed Tafsil Ke Liye *📚Fatawa Razviya* Ka Bhu Muta'ala Farmaye

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab To
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts