Quraan Ke 30 Paare Alag Alag Rakhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu,
Kya Quran Shareef Ke 30 Pare Me Se Sab Ko Alag Alag Rakha Jaa Sakte H??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ji Ijazat He, Qura'an Shareef Ke 30 Paaro Ko Alag Alag Rakha Jaa Sakta He, Jaisa Ki Mamool Bhi Logo Ka Yahi He Ki Qura'an Shareef Ke 30 Paaro Ko Alag Alag Rakhte He.

Uski Daleel Aap Dekhe To Hazrat Abu Bakar Siddiq  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ke Zamane Me Qura'an Shareef Ki Jo Tarteeb Or Tadween Hui, Us Waqt Bhi Alag Alag Hisso Me Qura'an Shareef Likha Hua Tha Or Uski Dusri Misaal Zamana E Risalat Ma'aab  ﷺ Ne Qura'an Shareef Or Soorto Ka Mukhtalif Alag Alag Jagaho Par Likha Hua Hona He, To Ye Dono Cheeze Sabit Karti He Ki Qura'an Shareef Ke 30 Paaro Ko Alag Alag Rakha Jaa Sakta He, Alag Alag 30 Paare Bana Kar Tarteeb Di Jaa Sakti He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts