Roza Me Mani Nikal Gai To Roza Tutega Ya Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Mani Roze Ki Halat Me Nikal Gai Bina Kuchh Kiye To Uska Roza Tootta He Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bagair Kuchh Kiye Mani Nikalne Se Roza Nahi Tutega Haañ Us Par Gusl Wajib Ho Jayega,

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Mujrad (Sirf) Khayal Baandh Ne Se To Roza Aslan Nahi Jata Agarche Usi Halate Tasawwur Hi Me Shahwat Ke Sath Inzal Ho Jaye, Haañ Liptaane Ya Bosa Lene Ya Hath Lagane Ki Halat Me Agar Inzal Ho To Roza Fasid Ho Kar Qaza Lazim Aayegi Or In Af'aal Ke Khatm Ke Baad Shahwate Hunooz Baqi Rahi Or Us Halat Me Ki Ye Aurat Ke Jism Se Juda He Mani Utri Or Ba-Shahwat Nikal Gai To Agarche Gusl Wajib Hoga Magar Roza Na Jayega Ki Ye Inzal Un Af'aal Se Na Huva Balki Mujrad (Sirf)Tasaawur Huva,
*📚(Fatawa Razviya, J-10, S-484)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 April 2020 Iswi, 2 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts