Namaz Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Milane ki Tarteeb ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Namaz Me Sureh Fatiha Ke Saath Jo Sureh Milae Jaati Hai Uska Sequence Kya Hona Chaahiye Kuch Log Pichhe Se Aage Vali Padhte Hai Sahih Tariqa Inayat Farmae.
JazakAllah Khair.

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz Me Surah Fatiha Ke Baad Jo Soorte Padhi Jaati He Vo Khilafe Tarteeb Nahi Honi Chahiye Yaani Qura'an Shareef Me Jis Tarteeb Se Soorte Likhi Hui He Usi Ke Mutabik Ho.

Misaal Ke Taur Par Agar Chhoti Chhoti Soorte 30ve Paare Me Se Padhte He To Pahli Raka'at Me surah Feel Padhe, Dusri Raka'at Me Surah Quraish Padhe, Is Tariqe Se Tarteeb Ho, Ulti Tarteeb Na Ho, Misaal Ke Taur Par Qura'an Shareef Me Surah Kafiroon He Uske Baad Surah Nasrah Uske Baad Surah Tabbatiyada Uske Baad Surah Ikhlas He, To Agar Aap Usko Ulta Karege Yaani Pahli Raka'at Me Tabbatiyada Dusri Raka'at Me Iza Ja'a Or Tisri Raka'at Me Surah Kafiroon To Ye Tarteeb Ulti Ho Gai Or Isse Namaz Makroohe Tanzihi Hogi, Lihaza Is Tariqe Se Namaze Nahi Padhege, To Qura'an Shareef Me Jo Soorto Ki Tarteeb He Usi Ke Mutabik Padhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts