Roze Me Me Naha Sakte He Ha Nahi ?

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Sawal Arz Hain.
Rooze Ki Halat Main Nhaa Sakte Hain Ya Nhi Aur Pure Din Main Kis Time. Takh....nhaaana Chahiyee

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roze Ki Halat Me Thandak Hasil Karne Ke Liye Nahana Jaiz He, Or Isse Roze Par Koi Asar Nahi Hoga Or Na Hi Roza Totega. Albatta Agar Pareshani Zahir Karne Ke Liye Baar Baar Nahaye To He Napasandida He.

Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Thandak Ke Liye Nahana Balki Badan Par Bhiga Kapda Lapetna Makrooh Nahi. Haañ Agar Pareshani Zahir Karne Ke Liye Bhiga Kapda Lapete To Makrooh He Ki Ibadat Me Dil Tang Hona Achchi Baat Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-5, S-133)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts