Roza Me Ehtelam Ho Jaye To Gusl Kis Tarah Kare

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Roze Me Agar ihtelam Ho jaye to gusl kaise kare??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Roza Shuru Hone Se Pahle Gusl Farz Huva Ya Roza Me Ehtelam Ho Jane Ki Wajah Se Gusl Farz Ho To Roza Ki Halat Me Gusl Ke Tamam Faraiz Ada Kiye Jayege. Gusl Me Kulli Karna Or Naak Me Narm Hissa Tak Paani Pahunchana Or Tamam Badan Par Ek Martaba Pani Bahana Farz He, In Faraizo Ke Bagair Na Gusl Utrega Or Naa Namaze Hogi.

Rozadaar Ko Wuzu Ke Dauran Gargara Nahi Karna Chahiye,

Jaisa Ki Saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Wuzu Or Gusl Me Gargara Sunnat He Magar Roza Daar Ko Makrooh Ki Kahi Paani Halq Ke Niche Na Utar Jaye Gair Roza Daar Ke Liye Gargara Sunnat He.

Or Agar Naak Ke Andar Kasaafat Jami He To Lazim Ki Pahle Use Saaf Karle Warna Uske Niche Paani Ne Uboor Na Kiya To Gusl Na Hoga.

Ehtiyat Se Naak Ki Jad Tak Paani Chadaye Usse Uppar Tak Use Na Chahiye Ki Kahi Paani Dimag Ko Na Chad Jaye Magar Roza Daar Isse Bache Haañ Tamam Narm Baanse Haddi Ke Kinare Tak Pura Dhoye.
*📚Makhuz:(Fatawa Razviya, J-2, S-594,597)*

Lihaza Rozadaar Ko Gargara Nahi Karna Chahiye Or Na Is Tarah Naak Me Paani Chadaye Ki Paani Dimag Me Chad Jaye, Naak Ke Aage Ki Tamam Narm Haddi Tak Dhole. Or Baaki Tamam Badan Par Paani Bahaye Jesa Aam Gusl Me Karte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️26 April 2020 Iswi, 2 Ramzan 1441 Hijri*
📲+91848

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts