Jiski Qaza Baki Ho Vo Shabe Barat Me Magrib Ki Baad 6 Raka'at Nafl Padhe Ki Qaza ?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hazrat Shabe Barat Me Baad Namaze Magrib Jo 6 Raka'at Nafl 2 2 Karke Padhte He Kya Jiski Qaza Baaki Ho Vo Bho Is Namaz Ko Padh Sakta He ? Ya Qaza Hi Padhe.

*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nafl Namaz Ki Jagah Qaza Namaz Hi Padhna Chahiye Or Yahi Bahetar He,

In Badi Raato Me Jo Nawafil Ki Fazilat He Vo Uske Liye Jiske Zimma Koi Farz baaki Na ho.

Is Liye Agar Shabe Barat Me Kisi Ne Ye 6 Raka'at nafl Ki Bajaye 6 Raka'at Qaza Ki Niyat se padhe allah Ta'ala se is ummid par ki vo apne Fazl se in qaza namaz ke andar in nafl ka sawab bhi ata farma de. Jo Umr Me Barkat Ki Niyat Or Aafat Bala Se Mahefooz Hone Ki Or Rizk Me Barkat ki niyyat se padhte he.

Jaisa ki hazrat khalile millat Alaihir Rahma Farmate He,
Or Lo lagaye ki Maula apne karame khas se qaza namazo me zaman me in nawafil ka sawab khazaine gaib se ata farma de, jin ke awqat me ye qaza namaze padhi gai.
*📚(Sunni Bahishti Zewar, J-2, S-104)*

Or Jab Banda apne faraiz se bari ho jata he to bargahe rabbul izzat se ummid he ki uske nawafil bhi maqbool ho jayege ki nawafil ki qubooliyat me jo cheez thi vo zaail ho gai.

Jaisa ki sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate He,
Un sab ki bhi maqbooliyat ki ummid hogi ki jis jurm ke baais ye qabils qubool na thee, jab vo (farz ) zaail ho gaya unhe (nafl) bhi bi iznillahi Ta'ala sharfe Qubool hasil ho gaya.
*📚(Fatawa Razviya, J-10, s-186, Raza Foundation)*

Lihaza Sab Se Aham w Afzal,  In Badi Raato Me Ibadat Yahi He Ki Apni Chhuti Hui Qaza Namazo Ko Padhe, Or Usme Huzur Saiyedi W Sanadi Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Takhfif Bhi Batai He, Lekin Agar Koi Shakhs Nafl Namaze Bhi Padhta He To Uska Bhi Usko Sawab Milega Or Abhi Jo Halat He Or Logo Ka Rujhan Logo Ki Tawajjoh w Ibadat Allah Or Uske Rasool Ke Zikr Se Hati Hui He, Is Bina Par Unko Nafl Namaz Padhne Se Bhi Na Roka Jaaye Kyu Ki Agar Aap Nafl Namaz Padhhne Se Rok Doge Or Ye Hukm Karoge Ki Qaza Namaze Padho To Fir  Ye Hoga Ki , Kai Kai Saalo Ki Namaze Qaza Hoti He Or Kai Logo Ko To Yaad Bhi Nahi Ki Kitni Namaze Qaza He, To Vo Qaza Padhna To Darkinaar Nafl Bhi Na Padhege, Or Is Tarah Allah Or Uske Raasool Ke Zikr Se Vo Log Mahroom Ho Jayege, Is Wajah Se Zyada Munasib Ye He Ki Is Tariqe Se Hukm Diya Jaye Ki Nafl Bhi Padhe Or Zyada Se Zyada Apni Chhuti Hui Qaza Namazo Ko Bhi Ada Karte Rahe, Ye Meri Raay Mera Maswra He Or Ye Sab Kuchh Aala Hazrat Ki Kitab Fatawa Razviya Shareef Se Akhz Kiya Hua He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts