_QAZA-E UMRI NAMAAZ KA AASAAN TAREEQA_
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻
_Qaza har din ki Namaaz ki sirf 20 Rak'at ki hoti hai, 2 Fajr ke Farz, 4 Zohr ke, 4 Asr ke, 3 Maghrib ke, 4 Isha ke, aur 3 Witr._
_Apni maujuda umr me se baaligh hone ki umr kam karke hisaab kare._
_Ladka 12 se 15 aur ladki 9 se 12 ke bich kabhi bhi baaligh ho sakte hain, pahla ehtelaam, pahla haiz, ya pahla haml, ya ladke ki sohbat se pahli baar kisi ladki ka haamila ho jaana baaligh hone ki pehchaan hain. Inme se kuchh na ho to ladka 15 ke ba'd aur ladki 12 ke ba'd Shari'at me baaligh maane jaate hain ya'ni unpar Namaaz Roza waghaira Islaam ahkaam laagu ho jaate hain._
_Namaaz, Roza ya Zakaat ki umri qaza ke mas-ale me nichli hadd (ladke keliye 12 aur ladki keliye 9 saal) maankar hisaab kare._
_Qaza Namaaz jitni ziyada har din parh sake utna behtar hai, masalan: 10 din ki rozaana parhe, ya 8 din ki ya 7 din ki, ya is se kam ya ziyada, chaahe ek waqt me parhe ya alag waqto me._
_Har baar niyat istarah kare: Sabse pahli Fajr (ya kisi aur waqt) ki Namaaz jo mujhse qaza huwi, jab ek parh li phir isi tarah niyat kare, ya'ni ab jo baaqiyo me pahli hai, aakhir tak parhe ke ab qaza baaqi reh jaane ka khayaal na rahe._
_5 waqt ki ada Namaazo ke Nafl aur ghair muakkada Sunnato (Asr aur Isha ke farzo se pahle waali) ki jagah bhi Qaza Namaazein parhe._
_Jispar Qaza Namaazein bahut ziyada hain wo agar chaahe to aasaani keliye istarah kare:_
_1. Har Ruku aur Sajde me tasbeeh 3 baar ki jagah sirf ek ek baar kahe. Magar ye hamesha aur har tarah ki Namaaz me yaad rakhna chahiye ke jab Ruku me purey pahunch jaye tab Tasbeeh ka S.... shuru kare aur jab Tasbeeh ka M.... khatm kare us waqt Ruku se sir uthaaye, isi tarah Sajdo me pura pahunch jaaye tab Tasbeeh shuru kare aur jab Tasbeeh puri khatm kar le us waqt Sajde se sir uthaaye._
_2.. Farzo ki 3sri aur 4thi Rak'at me (agar chaahe to) Surat Faatiha ki jagah sirf 3 baar_
*سبحان الله*
_keh le, magar yahaan bhi wohi khayaal zarur rakhe ke sidhe khade hokar S.... shuru kare aur khade khade pura kehkar tab Ruku me jaaye. Ye chhoot sirf Farzo keliye hai, Witro ki har Rak'at me Surat Fatiha aur Surat ya Aayat milaana 2no zarur parhi jayengi._
_3. Aakhiri Rak'at ki Attahiyyaat ke sirf_
*اللهم صل على محمد وآله*
_kehkar salaam pher dein._
_4. Witro ki 3sri Rak'at me du'a-e Qunoot ki jagah Allaahu Akbar kehkar sirf 1 baar ya 3 baar_
*رب اغفر لي*
_Ruku me chale jaye_.
_Jo shakhs apne zaruri kaamo se ziyada se ziyada waqt nikaalkar chhuti huwi Namaazo ko ada karne ki bharupr koshish kare aur ada karne se pahle zindagi khatm ho jaye to Allaah se ummid hai ke muaf farmaayega._
📖 _Fataawa Razwiya: 8/157 se 163 ka khulaasa._

No comments:
Post a Comment