Film Ya Mobile Dekhna Dikhana Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Zaid Filme Dekhta Hai. Aur O Uske  Doston Ko B Dekhne K Liye Forward Karta Hai. To Zaid Par Kya Hukm Hai.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mobile Par Najaiz Video Or Film Dekhna Haram, Haram, Ashad Haram He, Usi Tarah Tv Ya Cinema Hall Me Jaa Kar Filme Dekhna Bhi Haram Or Najaizo Gunah He.

Qura'ane Kareem Ka Saaf Ailan He,
وَلَا تَقْرَبُوا الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ ۖ
Or Be Hayai Ke Paas Na Jaao Unme Khuli He Or Jo Chhupi.
*📚(Surah An'aam, Aayat-151)*

Najaiz Video Or Film Ka Fawahish W Munkirat Me Se Hona, Bilkul Zahir He Ki Ek Ba-Sha'oor Bachcha Bhi Use Janta He Or Uski Fahashi Ka Aiteraf Karta He, Qura'an Ka Hukm He Ki Fawahish Ke Qareeb Bhi Na Jaao, Or Video Filme Fawahish Ka Ek Majmuaa He, Jis Se Digar Fawahisho Munkirat Or Be Shumaar Akhlaqi Buraiyañ Janam Leti He. Lihaza Is Ki Hurmat W Mumane'at Par Mazeed Daleel Pesh Karne Ki Zaroorat Nahi.

Filme مفضی الی الزنا He. Or Jis Tarah Zana Ya Dawai Zana (bos W Kinaar, Khalwat Wagairah) Haram W Najaiz He, Usi Tarah Filme Dekhna Bhi Najaiz He. Khwañ Mobile Par Filme Dekhi Jaye Ya Tv Wagairah Par.

Fatawa Shami Me He,
وما کان سببا لمحظور فھو محظور
Tarjma: Jo Cheez Kisi Burai Ko Wajood Me Laane Ka Sabab Ban Jaye, Vo Cheez Khud Buri Or Mamnoo'a He.
*📚(Mobile Phone Ke Zarooei Masail, Safha-105)*

Lihaza Apne Phone Me Film Dekhna Haram Asad Haram Or Dusro Ko Bhi Haram Kaam Ki Targeeb Dena Isse Bhi Sakht Haram Badkaam Bad Anjaam, Azabe Ilahi Ka Haqdar He, Zaid Ko Chahiye Ki Is Tarah Ke Fe'al Se Sachi Taubah Kare Or Aainda Na Karne Ka Ahad Kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts