*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuhu
Sawal. Auraton Ko Mazar Pe Jana Mana Hai Par Aoraton Ka Nabi E Pak Sallahu Alaihi Wasallam Ke Roze Aqdas Pe Kyu Ja Sakti Hai Jawab Inayat Farmaye Hazrat
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ki Malfoozat Me He,
(Aurto Ko) Siwa E Roza E Anwar Ke Kisi Mazar Par Jane Ki Ijazat Nahi. Wahañ Ki Hazri Albatta Sunnate Jaleela Azeema Qareeb Ba-wajibaat He Or Qura'ane Azeem Ne Ise Magfirat Ka Zariya Bataya.
وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوا أَنفُسَهُمْ جَاءُوكَ فَاسْتَغْفَرُوا اللَّهَ وَاسْتَغْفَرَ لَهُمُ الرَّسُولُ لَوَجَدُوا اللَّهَ تَوَّابًا رَّحِيمًا
*📚(Surah Nisa, Aayat-64)*
Or Agar Vo Jab Apni Jaano Par Zulm Kare Tumhare Huzur Hazir Ho Fir Allah Se Muaafi Chahe Or Rasool Unke Liye Muaafi Maange To Zaroor Allah Ko Taubah Qubool Karne Wala Maherban Payenge.
Khud Hadees Me Irshad Huva,
مَنْ زَارَ قَبْرِي وَجَبَتْ لَهُ شَفَاعَتِي
Jo Mere Mazare Kareem Ki Ziyarat Ko Hazir Huva Uske Liye Meri Shafa'at Wajib Ho Gai,
Dusri Hadees Me He,
من حج البيت ولم يزرني فقد جفاني
Jis Ne Haj Kiya Or Meri Ziyarat Ko Na Aaya Be Shak Usne Mujh Par Jafaa Ki Ek To Ye Ada E Wajib Dusri Quboole Taubah, Tisre Daulate Shafa'at Hasil Hona Chote Sarkar Ke Sath Ma'azAllah Jafa Se Bachna Ye Azeem Aham Umoor Ayse He Jinhone Sab Sarkari Gulamo Or Sarkari Kaneezo Par Khak Bosi Aastane Arsh Nishan Lazim Kardi, Bakhilaf Digar Quboor W Mazarat Ke Wahañ Aysi Takeede Mafqood Or Ehtemale Mufsida Maujud Agar Azeezo Ki Qabre He To Be Sabri Karegi, Auliya Ke Mazar He To Mohtamal Ki Be Tamizi Se Be-adbi Karegi Ya Jahalat Se Ta'azeem Me Ifraat Jaisa Ki Ma'aloom W Mushahida He Lihaza Unke Liye Tariqa E Aslam Ehteraz He.
*📚(Malfoozate Aala Hazrat, S-240,241)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲+9184
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment