Kya 12 May Ko Suraiyya Tare Se Corona Virus Khatm Ho Jayega

*🌹SAWAL:-🌹*
*Surraiya* Sitare Ke Baare Main Kya Farmate Hain Aulma E Ahle Sunnt.... Ek Taqrir Main Bataya Gaya Hai Ke Jis Subha Ye Sitaara Nikalta Hai Us Waqt Allah Puri Zamin Se Har Waba Bimari Ko Dur Farma Deta Hai...   Usi Taqrir Main Bataya Gaya Hai Ke Jo Ilme Nujum Ke Mahirin Hain Unho Ne 12 May Ki Tarikh Batai Hai Is Sitare Ke Tulu Hone Ki....
Iski Hakikat Kya Hai....?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Surayya Sitare Ke Tulu'a Hone Se Jo Bimari Khatm Ya Kam Hone Ka Ahadees Me Aaya He Vo Khas Phulo Ki Bimari Ke Ta'alluq Se Insani Ya Aam Bimari Ke Ta'alluq Se Nahi.

Surayya Sitare Ke Ta'alluq Se Jo Ahadis Warid He Unme Se Ba'az Mutlaq He Yaani Is Baat Ki Wazahat Karti He Ki Koi Bhi Bimari Surayya Sitare Ke Tulu'a Hone Se Khatm Ho Jayegi Ya Kam Ho Jayegi, Or Ba'az Ahadees Muqeed He Yaani Is Baat Ko Bayan Karti He Ki Surayya Sitara Tulu'a Hone Se Phalo Ki Bimari Khatm Ho Jayegi.

Magar In Ahadees Ke Ta'ayyan Ma'ana Me Aulma E Kiram Me Ikhtelaf He, Lihaza In Ahadees Ki Bina Par Yaqeeni Taur Par Ye Nahi Kaha Ja Sakta Ki Isse Insani Bimari Yaani 12 May Ke Baad Corona Virus Bhi Khatm Ho Jayega, Ya Kam Ho Jayega..

Albatta Ba'az Ahadees Ke Zahiri Ma'ana Ko Le Kar Or Aulma Ke Ba'az Aqwal Ke Peshe Nazar Allah Ta'ala Se Ummid Ki Ja Sakti He Ki Vo Surayya Ke Tulu'a Se Ye Corona Virus Ya Or Koi Insani Waba Kam Ya Khatm Karde.

Magar Iska Matlab Ye Nahi Ki Ye Ta'ayyan Ma'ana Ke Ikhtelaf Ke Bawajood Ham Ye Kahe Ki Huzur  ﷺ Ne Farma Diya 12 May Ko Ye Ho Kar Rahega, Or Najat Mil Kar Rahegi, Nahi Aysa Nahi Kah Sakte Kyu Ki In Ahadees Ke Ta'ayyan Ma'ana Me Ikhtelaf He.

Surayya Sitara 12 May Ko Tulu'a Hoga Jaisa Ki Hadeese Paak Or Aulma E Kirm K Qaul Se Zahir He.

Imam Tahaawi Rahematullah Alaihi Mazeed Wazahat Kar Rahe he Ki Suraiyya Sitara May Mahina Ki 12 Tarikh Ko Tulu'a Hoga.

Imam Qurtubi Ne Farmaya Ki Ho Az Bee'a Me Me Samar Pakne Ki Shart Usi Par Be Ki Vo Phal Pura Pukhta Ho Jaye Ki Fir Khame Ke Laaiq Samjha. Jaye Or Aasmani Aafat Ke Nuzool Se Mahfooz Ho Jaye. Aasmani Aafat Se Kahkasha Ke Tulu'a Se Pahle Ka Waqt Murad He Is Liye Ki Im Sitaro Ke Tulu'a Se Pahle Kachche Qism Ke Phal Tode Jaye To Vo Phal Kharab Ho Jate He, Allah Ta'ala Ne Apni Qudrat Ka Nizam Phalo Ke Liye Ayse Hi Banaya He.

Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Ne Riwayat Kiya Ki Huzur  ﷺ Ne Farmaya Ki Jab Subah Ke Waqt Kahkasha Tulu'a Hota He To Aasmani Aafat Dafa'a Ho Jati He.

Fasl Rabee'a Ks Teen Aakhri Mahino Ke Pahld Maah Ki 12vi Tarikh Ke Baad Kahkashañ Ka Subah Ke Tulu'a Ka Aagaz Hota He Or Vo Teen Maah Ye He 1.March 2.April 3.May. Goya May Ki 12 Tarikh Ke Baad Kahkashañ Ke Subah Ke Waqt Tulu'a Ke Waqt Aagaz Hota He.
*📚(Tafsire Ruhool Bayan, Jild-8)*

Surayya Ke Muta'alliq Mutlaqa Ahadees Me He,
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: إِذَا طَلَعَ النَّجْمُ ذَا صَبَاحٍ، رُفِعَتِ الْعَاهَةُ
Tarjama: Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Se Marwi He RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jab Subah Najam Yaani Surayya Sitare Nikle To Waba Door Ho Jayegi.
*📚(Musnad Ahemad, J-14, S-192, Hadees-8495)

عَنْ أَبِي سَعِيدٍ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ((مَا طَلَعَ النَّجْمُ ذَا صَبَاحٍ إِلا رُفْعِتْ كُلُّ آَفَةٍ وَعَاهَةٍ فِي الأَرْضِ أَوْ مِنَ الأَرْضِ))
Hazrat Abu Saeed Khudri Ki Riwayat Me He RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Jab Bhi Najam Yaani Surayya Sitara Tulu'a Hoga To Us Waqt Zameen Ki Har Aafat Ko Khatm Kar Dega.
*📚(Tarikhe Jarjaan, S-292)*

In Riwayat Se Maloom Hota He Ki  Koi Bimari Khwañ Phal Se Muta'alliq Ho Ya Uska Ta'alluq Insan Se Ho, Agar Waba Paai Jaati He To Surayya Sitare Ke Tulu'a Hone Se Khatm Ya Kam Ho Jayegi.

Magar Ba'az Ahadees Muqeed He Yaani Is Baat Ki Wazahat Karti He Ki Surayya Tulu'a Hone Se Jo Waba Dooe Hoti He Vo Phal Ke Ta'alluq Se He.

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhuma Ki Riwayat,
عَنْ عُثْمَانَ بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ سُرَاقَةَ قَالَ: كُنَّا فِي سَفَرٍ وَمَعَنَا ابْنُ عُمَرَ فَسَأَلْتُهُ، فَقَالَ: ((رَأَيْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَا يُسَبِّحُ فِي السَّفَرِ قَبْلَ الصَّلَاةِ وَلَا بَعْدَهَا))
قَالَ: وَسَأَلْتُ ابْنَ عُمَرَ عَنْ بَيْعِ الثِّمَارِ، فَقَالَ: ((نَهَى رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ بَيْعِ الثِّمَارِ حَتَّى تَذْهَبَ الْعَاهَةُ)) قُلْتُ: أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ وَمَا تَذْهَبُ الْعَاهَةُ، مَا الْعَاهَةُ؟ قَالَ: ((طُلُوعُ الثُّرَيَّا))
Tarjama: RasoolAllah ﷺ Ne Waba Ks Jaane Se Pahle Phal Bechne Ss Mana'a Farmaya, Raawi Kahte He Mene Arz Kiya: Ay Abu Abdur Rahman: Waba Ka Jana Kya He, Waba Kya He ? Abu Abdur Rahaman RadiAllahu Anhu Ne Farmaya, Surayya Sitara Ka Tulu'a Hona.
*📚(Musnad Ahemad, J-9, S-56 Hadees-5012)*

Or Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu Ki Riwayat Me He,
((إِذَا طَلعت الثُريِّا أمِنَ الزَّرْعُ مِنَ العاهَةِ))  طص عن أبي هريرة - رضي الله عنه .
Jab Surayya Sitara Tulu'a Ho Jaye To Kheti Waba Se Mahfooz Ho Jati He.
*📚(Jame U Sageer Lil Imam Suyuti, Hadees-15587)*

In Muqeed Riwayat Or Ahadees Se Pata Chalta He Ki Surayya Tulu'a Hone Se Jo Waba Door Hoti He Iska Ta'alluq Phalo Ki Bimari Se He.

Dono Tarah Ki Ahadees Ke Baad Aulma Ki Taraf Ruju'a Karte He Ti Wazeh Ho Jata He Ki Is Muaamla Ms Aksar Aulma Bhi Isi Baat Ke Qaail Hs Ki Surayya Se Jo Waba Khatm Hoti He, Usse Murad Phalo Ki Waba He.

Lihaza Wazeh He Ki,
Ek Hadees Dusri Hadees Ki Wazahat Karti He, Is Liye Yahañ Surayya Ki Wajah Se Door Hone Wali Waba Aam Nahi Balki Phalo Wali Waba He.

Aksar Aulma E Kiram Surayya Ke Zariya Phalo Ki Waba Door Hone Ke Qaail He, Is Liye Hame In Ahadees Ko Insani Waba Ya Aam Waba Par Mahmool Nahi Karna Chahiye.

Surayya Ke Tulu'a Hone Se Bimadi Ka Door Hhona Aglani Ya Laazmi Nahi.

Nateeja Ye He Ki Surayya Sitara Me Bazaat Khud Koi Taseer Nahi Ki Vo Waba Door Kare, Balki Allah Ta'ala Ne Usko Sirf Waba Door Hone Ki Alamat Banaya He, Yaani Ye Aqida Hona Zaroori He Ki Jab Allah Ta'ala Chahega Tabhi Surayya Ke Tulu'a Hone Se Waba Door Hogi Warna Nahi. Or Hamara Yahi Aqida Hota He Ki Allah Ta'ala Jab Chahe To Hi Shifa Hasil Hogi Warna Nahi.
Magar Allah Ta'ala Se Shifa Yaabi Ki Ummid Qawi Rakhe.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*📬Makhuz Jawabe: Hazrat Allama Mufti Abrar Ahemad Amjadi Sahab Qibla, Markazi Tarbiyat Ifta*

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 April 2020, 3 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Aurtoñ Ko Artificial Jewellery Pahanna Jaaiz nahiñ...

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum  Muftiyan E Ikram Ki Baargha Mai Ek Sawal Arz Hai Kya Aurten Artificial Jewellery Pahen Sakti Hai??? *🌹JAWA...

Popular Posts