Khate Waqt Baat Karna Or Salam Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Hazrat Hum Bachpan Se Sunte Hue Aa Rhe H K Khana Khate Waqt Baat Nhi Krte Aur Iski K Sath Khate Waqt Salam Nhi Krte Aur Uska Jawab Nhi Dete.

Aur Agr Khana Khate Waqt Kisi Ka Phone Aa Bhi Jaae To Use السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ اللهِ Nhi Bolte Balki "khane Ko Aao" Aisa Kehte H.

To Aisa Amal Krne Pr Kya Hukm Hoga.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Khane Ke Waqt Baate Karta Jaaye, Bilkul Chup Rahna Majoosiyo Ka Tariqa He, Magar Behooda Baate Na Bake Balki Achchi Baate Kare.

Khana Khate Waqt Jab Koi Aa Jata He To Hindustan Ka Urf Ye He Ki Use Khane Ko Puchhte He, Kahte He Aao Khana Khao, Agar Na Puchhe To Ta'an Kart He Ki Unhone Puchha Tak Nahi, Ye Baat Yaani Dusre Musalman Ko Khane Ke Liye Bulana Achchi Baat He, Magar Bulane Wale Ko Ye Chahiye Ki Ye Puchhna Mahaz Numaish Ke Liye Na Ho Balki Dil Se Puchhe.

Or Ahadise Shareefa Me Aaya

Tirmizi Ne Jabir RadiAllahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Salam Ko Kalam Se Pahle Hona Chahiye Or Kisi Ko Khane Ke Liye Na Bulao Jab Tak  Vo Salam Na Karle.

Ibne Najar Ne Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, Sawal Se Pahle Salam He, Jo Shakhs Salam Se Pahle Sawal Kare, Use Jawab Na Do

Tirmizi Ne Jabir RadiAllahu Anhu Se Riwayat Ki, Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Ke, Salam Baat Cheet Karne Se Pahle He.

Albattah,

Aala hazrat imam e Ahle sunnat farmate hen

Jo khana kha raha ho use salam na kare
*📚(Fatawa Razviya, J-22, S-114)*

Log Khana Kha rahe hai to us waqt salam na kare haañ agar bhuka he or janta ho ki use vo log khane me shareek kar lege to saoam karle.
Ye us waqt he ki khane wale ke munh me luqma he or vo chaba raha he ki us waqt jawab dene se aajiz he, or agar abhi khane ke liye betha hi he ya kha chuka he to salam kar sakta he ki ab vo aajiz nahi.
*📚(Islamic Akhlaqo Aadab, Salam Ka Bayan, S-114)*

Lihaza Agar Koi Khana Kha raha ho or luqma muh me ho to use salam na kiya jaaye ki  vo us waqt aajiz he, or agar luqma muh me nahi to salam kar sakte he. Magar jo sawal me soorat bayan ki gai ki salam nahi karte balki 'aao khane ke liye' pukarte he to isme bahetar yahi he ki pahle salam kare, or bahetar he aane wala pahle salam kare.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts