Urin Pipe Ke Mareez Ki Namaz Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya jin logo ko peshab yani(istinja) ki nali lgi hoti hy to kya wo namaz ada kar sakty hy

 Or baar baar nikalny lagany me mariz ko takleef bhi is surat me kya karna chahiye

 Peshab ki nali(Urine pipe) kisi mariz ko lagi ho or zaeef hy k har bar nhi nikal sakty... Usi urine pipe lgi halat me Kya namaz jayez he

*🌹JAWAB:-🌹*
Har Vo Shakhs Jisko Koi Aysi Bimari Ya Uzr He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Ma'azoor He, Or Ma'azoor Ka Hukm Ye He Ki Waqt Me Wuzu Karle Or Aakhri Waqt Tak Jitni Namaze Chahe Us Wuzu Se Padhe, Us Bimari Se Uska Wuzu Nahi Jata, Jiske Sabab Ma'azoor He.

Lihaza Jisko Peshab Ki Nali Lagi Ho Usko Zyada Tar Peshab Aata Rahta He Or Usko Pata Bhi Nahi Chalta To Ayse Shakhs Ma'azoore Sharai Qarar Payega Vo Waqt Me Wuzu Karle Or Aakhir Waqt Tak Jitni Chahe Namaz Padhta Rahe Uska Wuzu Nahi Jayega Uzr Ke Baais Lekin Dusri Namaz Ka Waqt Shuru'a Hote Hi Uska Wuzu Toot Jayega.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts