Kate Huye Baalo Ko Dafna Dena Chahiye

*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae. Ekram Ki Bargah Main Ek..
Sawal- Ke Jab Hum Selon Main Baal Katne Jaate Hain To Baal Cut Hone Ke Baad Niche Gir Jaate Hain Fir Wo Fenka Jata Hai Aur Bhi Hamare Jism Ka Ek Hissa Hota Hai Aur Dadhi Ke Baad Jab Ek Musht Hone Baad Kata Jaata Hai To Kya Dafnana Chahiyee,
Rehnumaai Farma'e..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hukm Yahi He Ki Baalo Ko Dafn Kare.

Bahare Shariyat Me He,
Tarashwane Ya Mundane Me Jo Baal Nikle Unhe Dafn Karde, Isi Tarah Nakhun Ka Tarasha Pakhana Ya Gusl Khana Me Unhe Dal Dena Makrooh He Ki Is Se Bimari Paida Hoti He. Mue Zere Naaf Ka Aysi Jagah Daal Dena Ki Dusro Ki Nazar Pade Najaiz He.

Char Cheezo Ke Muta'alliq Hukm Ye He Ki Dafn Kardi Jaye, Baal Nakhun, Haiz Ka Lata(Yani Vo Kapda Jisse Aurat Haiz Ka Khun Saaf Kare), Khun.
*📚(Bahare Shariyat, H-16)*
و اللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️24 April 2020 Iswi, 29 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts