Witr Ki Namaz Ke Baad Dusri Koi Namaz Padhna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Kya Vitr Ki Namaaz Ke Baad Raat Me Koi Aor Namaaz Nahi Padh Sakte Maslan Salatut Tasbih Ki Namaz Ya Nawafil Ya Tahazzud Ki Namaaz Nahi Padh Sakte Jawab Hawale Se De

*🌹JAWAB:-🌹*
Namaze Isha Se Pahle Sina Ir Baad Namaze Isha Dunya Ki Baate Karna, Qisse Kahani Kahna Sunna Makrooh He, Zaroori Baate Or Tilawate Qura'an Majeed Or Zikr Or Deeni Masail Or Saleheen Ke Qisse Or Mahman Se Baag Cheez Karne Me Harj Nahi, Yuñ Hi Tulu'a Fajr Se Tulu'a Aaftab Tak Zikre Ilahi Ke Siwa Har Baat Makrooh He.
*📚(Durre Mukhtar, Raddul Muhtar)*

Lihaza Witr Ke Baad Nawafil Padhna Salato Tasbeeh Padhna Ya Digar Awrado Wazaif Karna Zikre Ilahi Karna Sab Jaiz W Durust He Balki Bahut Achchi Baat He.

Rahi Baat Tahajjud Ki To Huzur SadrushShariyah Farmate He Tahajjud Ke Liye Sona Shart He To Jo Shakhs Jagne Par Aetemad Rakhta Ho Usko Aakhir Raat Me Witr Padhna Mustahab He, Warna Sone Se Qabl Padhle, Fir Agar Pichhle Ko Aankh Khuli To Tahajjud Padhe Witr Ka Ae'aada Jaiz Nahi.
*📚(Durre Mukhtar W Raddul Muhtar)*
*📚Hawala:(Bahare Shariyat, H-3)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts