Dedh Lakh Rupye He Or 4 Lakh Qarz He To Zakat Ka Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat.

Zaid K Pas Ded Lakh Rupay Hain. Aur Char Lakh Se Zyada Karz B Hai. To Kya Zaid Ko 1 Lakh Ki Zakat Deni Hogi , Agar Han To Kitni ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aap Par Koi Bhi Zakat Nahi He, Yaani Un Ded Laakh Rupyo Me  Ek Bhi Rupya Zakat Nahi He, Qaaida Ye Yaad Rakkha Jaye Ki Aadmi Par Jitna Qarz Ho Us Qarz Ko Nikal Kar Jitni Raqam Bache Agar Vo Nisab Ke Barabar He Yaani Nisab Se Zyada He To Ab Uski Zakat Wajib Hogi, Or Agar Qarz Puri Ke Puri Raqam Ko Ger Le To Us Waqt Zakat Wajib Nahi Hogi.
Aysa Hi *📚Bahare Shariyat* Me He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️22 April 2020 Iswi, 27 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts