Zinda Or Murde Barabaar Nahi Quraan Aayat Ki Tafseer

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aur Zinda Or Murde Barabar Nahi Ho Sakte, Allah Jisko Chahta Hd Suna Deta He, Or Aap Unlogo Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabar Me He. Sura E Fatir Aayat-22

Is Aayat  Ko Wahabi Qabro Auliya Allah Par Fit Karte He, Iska Sahih Ma'ana W Tafseer Kya He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

وَ مَا یَسْتَوِی الْاَحْیَآءُ وَ لَا الْاَمْوَاتُ
Tarjama:Or Zinda Or Murde Barabar Nahi.
*📚(Sura E Fatir, Aayat-22)*

Is Aayat Me Zindo Se Murad Momineen Ya Aulma He Or Murdo Se Kuffar Ya Jahil Log Murad He, Inke Bare Me Farmaya Ki Ye Dono Barabar Nahi. Iske Baad Irshad Farmya Ki,
 إِنَّ اللَّهَ يُسْمِعُ مَن يَشَاءُ
Tarjama: Beshak Allah Sunata He Jise Chahta He.
*📚(Sura E Fatir, Aayat-22)*

Isse Murad Ye He Ki Jis Ki Hidayat Manzoor Ho Use Allah Ta'ala Iman Ki Taufiq Ata Farmata He.
*📚(Tafsire Khazin, Sura E Fatir, Aayat-19, J-3, S-533)*
*📚(Tafsire Jalalain, Sura E Fatir, Aayat-19, S-344)*

وَ مَاۤ اَنْتَ بِمُسْمِعٍ مَّنْ فِی الْقُبُوْرِ
Tarjama:Or Tum Nahi Sunane Wale Unhe Jo Qabro Me Pade He.
*📚(Sura E Fatir, Aayat-22)*

Aayat Ke Is Hisse Me Kuffar Ko Murdo Se Tashbiya Di Gai Ki Jis Tarah Murde Suni Hui Baat Se Nafa'a Nahi Utha Sakte Or Nasihat Qubool Nahi Kar Sakte, Bad Anjam Kuffar Ka Bhi Yahi Haal He Ki Vo Hidayat W Nasihat Se Faida Nahi Uthate.

Yaad Rahe Ki Is Aayat Se Murdo Ke Na Sunne Par Istedalal Karna Sahih Nahi He Kyu Ki Aayat Me Qabar Walo Se Murad Kuffar He Na Ki Murde Or Sunne Se Murad Vo Sunna He Jis Par Hidayat Ka Nafa'a Murattab Ho, Or Jahañ Tak Murdo Ke Sunne Ka Ta'alluq He To Ye Kaseer Ahadise Kaseera Se Sabit He.

Hazrat Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu Se Riwayat He Saiyedul Mursaleen  ﷺ Ne Irshad Farmaya, Jab Bande Ko Uski Qabar Me Rakh Diya Jata He Or Log Dafan Karke Palatte He To Beshak Vo Yaqeenan Tumhare Jutoñ Ki Aawaz Sunta He.
*📚(Bukhari, Kitabul Janaiz, Hadees-1338, J-1, S-450)*

Hazrat Umar Farooq RadiAllahu Anhu Farmate He, RasoolAllah ﷺ Hame Kuffare Badar Ki Qatl Gaahe Dikhate The Ki Yahañ Falañ Kafir Qatl Hoga Or Yahañ Falañ, Jahañ Jahañ Huzur E Aqdas  ﷺ Ne Bataya Tha Wahiñ Wahiñ Unki Laashe Giri, Fir Aap  ﷺ Ke Hukam Se Unki Lasheek Kunve Me Bhardi Gai. Sarkare Do Aalam  ﷺ Wahañ Tashreef Le Gaye Or Un Kuffar Ko Unka Or Un Ke Baap Ka Naam Le Kar Pukara Or Farmaya, Jo Sachcha Wa'ada Khuda Or Rasool Ne Tumhe Diya Tha Vo Tum Ne Bhi Pa Liya ? Kyu Ki Jo Haq Wa'ada Allah Ta'ala Ne Mujhe Diya Tha Mene To Use Pa Liya. Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Aap In Jismo Se Kyuñ Kar Kalam Karte He Jin Me Roohe Nahi. Irshad Farmaya, Jo Me Kah Raha Hu Use Tum Unse Kuchh Zyada Nahi Sunte Lekin Unhe Ye Taqat Nahi Ki Mujhe Lot Kar Jawab De.
*📚(Muslim, Safa-1536, Hadees-76 (2873)*

Jab Aam Murda Sun Sakta He To Auliya Allah Ki Shaan Ka Aalam Kya Hoga.

Jo Log Is Tarah Ki Aayat Ka Galat Mafhoom Pesh Karke Auliya Allah Oar Fit Karte He Vo Log Jahil Kam Aql Or Deen Ke Dushman He Aao Ayse Logo Se Door Rahe Or Ayse Na Ahlo Ke Munh Na Lage.

Note: Murdo Ke Sunne Se Muta'alliq Mas'ale Ki Mazeed Tafseel Janne Ke Liye *📚Fatawa Razviya Ki 9vi Jild Me Maujuda Risala 'Hayatul Mawaat Fee Bayane Simaa Il Amwaat'(murdo Ki Sama'at Ke Bayan Me Mufeed Risala)*  Ka Muta'ala Farmaye.

*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️12 April 2020 iswi, 17 Shaban 1441 Hijri*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts